Its Request To You! Please Promote My Blog On Yours Facebook Account

Monday, 24 November 2014

Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
 Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
 Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai

Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
 Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai

Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
 Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai

Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
 Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai

Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
 Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai

Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Saghar
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai..!!

No comments:

Post a Comment

Follow Me