Its Request To You! Please Promote My Blog On Yours Facebook Account

Monday, 24 November 2014

Aaj Roothay Huay Sajan Ko Bohat Yaad Kiya

Aaj Roothay Huay Sajan Ko Bohat Yaad Kiya
 Apnay Ujray Huay Gulshan Ko Bohat Yaad Kiya

Jab Kabhi Gardish-e- Taqdeer Ne Gheara Hai Hamain
 Gaisua-e- Yaar Ki Uljhan Ko Bohat Yaad Kiya

Shama Ki Jot Pe Jaltay Huay Parwanon Ny
 Ik Tere Shola Daman Ko Bohat Yaad Kiya

Jis Ke Mathay Py Nayee Subah Ka Jhoomar Hoga
 Hum Ne Uss Waqt Ki Dulhan Ko Bohat Yaad Kiya

Aaj Tootay Huay Sapnon Ki Bohat Yaad Aayee
 Aaj Beetay Huay Sawan Ko Bohat Yaad Kiya

Hum Sar-e- Tor Bhi Mayoos-e- Tajalli Hi Rahay
 Is Dar-e- Yaar Ki Chilman Ko Bohat Yaad Kiya

Mutmayeen Ho Hi Gaye Dam-o- Qafas Main Saghar
 Hum Aseeron Ne Nasheman Ko Bohat Yaad Kiya..!!

1 comment:

  1. hi
    yar, at least post the name of a poet who written such a wonderful peace of art. Sir saghar siddiqui ki likha hain.

    ReplyDelete

Follow Me