Hijar Ki Pehli Shaam K Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay
Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Patt Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay
Os Ne Kitnay Pyaar Sy Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Sy Karnay Aaye Thay
Kaisay Jati Mere Badan Sy Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mery Hamsaaye Thay..!!
Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh K Apny Saathi Ko
Pairr Py Bethi Ek Chirrya Ny Apny Per Phailaaye Thay
Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhain Os Ka Wo Kehna Haye
“Qateel”
Tum Ko Lout He Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay..!!
No comments:
Post a Comment