Faraz Ab Zara Lehja Badal K Daikhty Hein
Judaeyaan To Muqaddar Hein Pher Aay Jaan_E_Safar
Kuch Or Door Zara Sath Chal k Daikhty Hein
Rah_E_Wafa Mein Hareef_E_Kharam Koi Tu Ho
So Apny Ap Se Aagay Nikal K Daikhty Hein
Tu Samny Hai To Pher Kyun Yaqeen Nehe Aata
Ye Baar Baar Jo Aankhien Mall K Daikhty Hein
Ye Koun Log Hein Mojood Tere Mehfil Mein
Jo Lalichoon Se Tujy Mujh Ko Jall K Daikhty Hein
Ye Qurb Kya Hai K Yakjaan Huye Na Door Huye
Hazaar Aik He Qalib Mein Dhall K Daikhty Hien
Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui Hai
So Ab K Dono He Chaalen Badal K Daikhty Hien
Ye Kon Hai Sar_E_Saahil K Doobnay Waly
Samandaroon Ki Tehon Se Ucchal K Daikhty Hein
Abi Talak To Na Kundan Huye Na Raakh Huye
Hum Apni Aag Mein Har Roz Jal K Daikhty Hein
Bohat Dino Se Nehe Hai Kuch Us Ki Khair Khabar
Chalo Faraz Kou_E_Yaar Chal K Daikhty Hein..!!
No comments:
Post a Comment