Aks-E-Khushboo Hun, Bikharne Se Na Rokey Koi
Aur Bikhar Jaaon To Mujh Ko Na Samaitey Koi
Kaanp Uthti Hun Mai Yeh Soch Ke Tanhaai Mai
Mere Chehre Pe Tera Naam Na Parh Le Koi
Jis Tarah Khuwab Mere Ho Gaye Reza Reza
Iss Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bokhrey Koi
Mai To Us Din Se Harasaan Hun Ke Jab Hukm Miley
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mai Na Rakhey Koi
Ab To Iss Raah Se Wo Shakhs Guzarta Bhi Nahi
Ab Kis Umeed Pe Darwaaze Se Jhankey Koi
Koi Aahat, Koi Aawaz, Koi Chaap Nahi
Dil Ki Galiyaan Bari Sunsaan Hain, Aaye Koi.!!
No comments:
Post a Comment