Hein Muhabat Par Inayat Par
K Be_Bunyaad Batein Hein
Sabi Rishty Sabi Naaty
Zaroorat Ki Hein Ejaadein
Kehein Koi Nehe Marta
Kisi K Waasty Janaaa
Sab Hai Phair lafzoon Ka
Hai Sara Khail Harfoon Ka
Na Hai Mehboob Koi Bhe
Sabi Jumlay Se Kasty Hein
Chalo Kuch Dair Hansty Hein
Ussi Ko Yaad Karty Hein
Jisy Ham Zeest Kehty Hein
K Laina Saans Bin Jis K
Hamein Ek Jurm Lagta Hai
K Sang Jis K Har Ek Lamha
Khush_O_Khurram Guzarta Hai
Jisy Ham Zindagi Kehty
Jisy Ham Shaeri Kehty
Ghazal Ka Qaafiya Tha Jo
Tha Jo Unwaan Nazmoo Ka
Wo Lehja Jab Badalta Tha
Qiyaamat Khaiz Lagta Tha
Balaa Ka Taiz Lagta Tha
Jo Sayaa Ban K Rehta Tha
Judaa Ab Us K Rasty Hein
Chalo Kuch Dair Hansty Hein
Chalo Kuch Dair Hansty Hein..!!
No comments:
Post a Comment