Usko Fursat Hi Nahi Waqt Nikaly Mohsin
Aise Hote Hain Bhala Chahny Waly Mohsin
Yaad K Dasht Mein Phirta Hon Main Nangy Paon
Daikh To Aa K Kabhi Paon K Chahly Mohsin
Kho Gayi Subha Ki Ummeed Aur Ab Lagta Hai
Hum Nahi Hon Gay K Jab Hon Gay Ujale Mohsin
Khaak Ko Bhi Nahi Pohanchy Ga Koi Karbala Ki
Ab Bhaly Aik Jahan Khoon Mein Naha Lay Mohsin
Me Kahan Hakim-e-Waqt Kahan, Adal Kahan
Kyon Na Khalqat Ki Zuban Par Lagain Taale Mohsin
Wo Jo Ik Shakhs Mata-e-Dil-o-Jaan Tha Na Raha
Ab Bhala Kon Mery Dard Sambhaly Mohsin..!!
No comments:
Post a Comment