Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa Sham Ke Baad
Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Sham Ke Baad
Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua Sham Ke Baad
Aanhen Bharti Hai Shab-E-Hijr Yateemon Ki Tarah
Sard Ho Jaati Hai Har Roz Hawa Sham Ke Baad
Sham Tak Qaid Raha Karte Hain Dil Ke Andar
Dard Ho Jate Hain Saare Hi Rehaa Sham Ke Baad
Log Thak Haar Ke So Jate Hain Lekin Janaa
Hum Ne Khush Ho Ke Tera Dard Saha Sham Ke Baad
Chand Jab Ro Ke Sitaaron Se Galay Milta Hai
Ik Ajab Rang Ki Hoti Hai Fizaa Sham Ke Baad
Hum Ne Tanhaai Se Pucha Ke Milo Gi Kab Tak
Us Ne Be-Chaini Se Foran Hi Kaha Sham Ke Baad
Tum Gaye Ho To Siyah Rang Ke Kapre Pehne
Phirti Rehti Hai Mere Ghar Mai Qaza Sham Ke Baad
Maar Deta Hai Ujarr Jaane Ka Dohra Ehsaas
Kash Ho Koi Kisi Se Na Judaa Sham Ke Baad..!!
Fantastic data. Thanks with regard to offering us all a real valuable data. Sustain the nice do the job and go on offering us all far more quality data every once in awhile.Meri Kahani Meri Zubani
ReplyDelete