Its Request To You! Please Promote My Blog On Yours Facebook Account

Saturday 15 November 2014

Yeh Na Thi Hamari Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota

Yeh Na Thi Hamari Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeetey Rehte, Yahi Intizar Hota

Tere Wadey Par Jiye Hum, To Yeh Jaan Jhoot Jana
Ke Khushi Se Mar Na Jate Agar Aetibaar Hota

Teri Nazuki Hai Jana Ke Bandha Tha Ehd Booda
Kabhi Tu Na Torr Sakta, Agar Ustawaar Hota

Koi Mere Dil Se Pooche, Tere Teer-E-Neemkash Ka
Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota

Yeh Kahan Ki Dosti Hai Ke Bane Hai Dost Naseh
Koi Chara Saaz Hota, Koi Gham Gusaar Hota

Rag-E-Sang Se Tapakta Wo Lahoo Ke Phir Na Thamta
Jise Gham Samajh Rahe Ho Yeh Agar Sharaar Hota

Gham Agarcha Jaan-Gusal Hai, Yeh Bachpan Kahan Ke Dil Hai!
Gham-E-Ishq Gar Na Hota, Gham-E-Rozgaar Hota

Kahun Kis Se Mai Ke Kiya Hai, Shab-E-Gham Buri Bala Hai
Mujhe Kiya Bura Tha Marna, Agar Ek Baar Hota

Hue Mar Ke Hum Jo Ruswaa Kiyu Na Gharq-E-Dariya
Na Kabhi Janaza Uthtey, Na Kahin Mazaar Hota

Isse Kon Dekh Sakta Ke Yagana Hai Wo Yaktaa
Jo Doii Ki Boo Bhi Hoti To Kahin Do’chaar Hota

Yeh Masail-E-Tasawuf, Yeh Tera Bayaan Ghalib
Tujhe Hum Wali Samajhte Jo Na Bada-Khuwar Hota..!!

7 comments:

Follow Me