Its Request To You! Please Promote My Blog On Yours Facebook Account

Saturday 24 January 2015

Us Ny Muhabat Ko B Ek Tijarat Samjha

Us Ny Muhabat Ko B Ek Tijarat Samjha
Ek Dhoka Tha Me Ny Jisy Chahat Samjha

Wo Mery Dil Ko Tor Kar Khush Hota Raha
Me Kaisa Dewana Tha Jo Dard Ko B Rahat Samjha

Us Ny Samjha He Nehe Rishton K Taqadus Ko Kabi
Ye Faqat Khail The Me Ny Us Ki Aadat Samjha

Har Baar Us Ny Diya Mere Wafa Ko Faraib
Me Tha K Apny Pyar Ko Ek Ibadat Samjha..!!

Jab Guzar Jaye Ge Bahar Tu Kya Karo Gay

Jab Guzar Jaye Ge Bahar Tu Kya Karo Gay
Yaad Aye Ga Mera Pyar Tu Kya Karo Gay

Sataty Ho Aisy Jaisy Ajnabi Hoon Me
Jab Ruthy Ga Tum Sy Yaar Tu Kya Karo Gay

Apnao Gay Kisi Or Ko Mujhy Tanha Choor Kar
Usey Ho Ga Na Tum Sy Pyar Tu Kya Karo Gay

Aakhir Lout K Ao Gay Tum Mere Rahon Par
Pher Mily Ga Na Pehla Pyar Tu Kya Karo Gay..!!

Saturday 17 January 2015

Din Ko Din Raat Ko Raat Rehny Daita

Din Ko Din Raat Ko Raat Rehny Daita
Kya He Acha Tha Jo Mere Baat Rehny Daita

Us Ko Yaad Kar K Shaad Hoty Ham
DIl Ko Jo Pehly Sy Halaat Rehny Daita

Hoti Na Naseeb Sy Ham Ko Talkhiyan
Behtar Tha K Aj Wo Mulaqaat Rehny Daita

Es Tarah Kheanch Kar Daman Wo Dosto
Chorata Na Mery Hath Mein Kainaat Rehny Daita

Ba Khuda Daita Hai Saaye Kharaj Mein
Jhonka Ager Diye Mein Hayaat Rehny Daita

Kya Hoti Hai Dikhaty Taskheer_E_Kainaat
Wo Mery Hath Mein Jo Hath Rehny Daita

Ye Gham Nehe Lay Gaya Kyun Chaon Kaat Kar
Mery Sehan Mein Kooyal K Naghmaat Rehny Daita

Ye Soch Raha Hon Daikh Kar Nigahon K Sakoot
Wo Shehar K Naseeb Mein Fasadaat Rehny Daita

Haara Hon Jeet Kar Tu Khara Soch Raha Hon
Mery Naseeb Mein Maat Rehny Daita..!!

Apni Aankhon Mein Mera Khawab Rehny Do

Apni Aankhon Mein Mera Khawab Rehny Do
Kuch An_Kehy Sawalon K Jawab Rehny Do

Na Milo Es Tarah K Dharkanein Ho Jaien Be_Qabo
Abi Kuch Dair Zara Chehry Py Hijaab Rehny Do

Cheen Lo Bhaly Mujh Sy Mery Gugno Mery Khilony
Magar Abi Zara Mery Hathon Me Kitaab Rehny Do

Na Karo Aabiyari In Gulun Ki Nafraton K Pani Sy
Abi Inky Dilon Mein Muhabaton Ka Nisaab Rehny Do

Pher Kabi Mily Tu Sochein Gay Kya Khoya Kya Paya
Abi Nai Manzil Hai Dono Ki Purany Hisaab Rehny Do..!!

Zindagi Jis Ki Azzab Daikhi Hai

Zindagi Jis Ki Azzab Daikhi Hai
Us K Hathon Mein Sharab Daikhi Hai

Aap Hoty Tu Mar Gaye Hoty Hein
Jo Ghari Ham Ny Janab Daikhi Hai

Har Warq Soch Mein Dooba Hua Hai
Us K Rukh Ki Kitaab Daikhi Hai

Dewangi Shehar_E_Ishq Mein Yaro
Ham Ny Sada He Nawab Daikhi Hai

Arz_E_Tamanna Py Ham Ny Zindagi
Muhh Pay Daiti Jawab Daikhi Hai

Dard Seh Kar B Uff Nehe Karta
Zulfi Mein Aadat Kharab Daikhi Hai..!!

Labon Py Harf Na Koi Sawal Rakhta Tha

Labon Py Harf Na Koi Sawal Rakhta Tha
Kabi Me Zabat Mein Itna Kamal Rakhta Tha

Khabar Kya The Mujy He Bhool Jaye Ga
Ek Ek Cheez Jo Mere Sambhaal Rakhta Tha

Bicherty Waqat Bazahir To Kuch Na Bola Tha
Magar Nigah Mein Soo Soo Sawal Rakhta Tha

Suna Hai Log Usy Ab B Bohat Satatay Hein
Jis Aik Shakhas Ka Me Itna Khyaal Rakhta Tha..!!

Laiq_E_Deed Wo Nazara Tha

Laiq_E_Deed Wo Nazara Tha
Laakh Naizey They Sar Hamara Tha

Ek Aandhee Se Kyun Badan Mein hai
Us Ny Shayad Hamein Pukara Hai

Shukriya Reshmi Dilasay Ka
Teer To Aap Ny B Maara Hai

Baadbaan Sy Uljh Gaye Langer
Or Do Haath Par Kinara Hai

Aamaan Bojh He Kuch Aisa Hai
Sar Jhukana Kissy Ganwara Hai

Ab Namak Tak Nehe Hai Zakhmo Par
Doston Sy Bara Sahara Hai..!!

Har Haqeeqat Majaaz Ho jaye

Har Haqeeqat Majaaz Ho jaye
Kaafiron Ki Nemaaz Ho jaye

Minnat_E_Chaara_Saaz Kon Kary
Dard Jab Jaan Nawaaz Ho Jaye

Ishq Mein Me Rehy Ruswa Ho
Lab Py Aaye Tu Naraaz Ho Jaye

Lutf Ka Intezaar Karta Hon
Jo Taa Had_E_Naaz Ho Jaye

Umer BeSood Katt Rehe Hai
Kaash Afshaa_E_Raaz Ho jaye..!!

Kahen Aarzo-E-Safar Nahe Kahen Manzilon Ko Khabar Nahe

Kahen Aarzo-E-Safar Nahe Kahen Manzilon Ko Khabar Nahe
Kahen Raasta He Andhear Hai Kahen Paa Nahe Kahen Par Nahe

Mujhy Izteraab Ki Chaah Thi Mujhy Be_Kali Ki Talaash Thi
Un He Khwahishaat K Jurm Mein Koi Ghar Nahe Koi Dar Nahe

Koi Chaand Tootay Ya Dil Jalay Ya Zameen Kahen Saey Ubal Parray
Hum Aaseer Surat-E-Haal Hain Hamein Hadsaat Ka Dar Nahe

Aye Hawa-E-Ghum Zara Mery Saath Reh Mery Saath Chal
Mery Saath Mery Qadam Nahen Mery Saath Meri Nazar Nahe

Ye Umar Bhar Ki Riazatein Ye Nagar Nagar Ki Musafatein
Ye Rog Hain Mah-O-Saal K Ye Gardishein Hain Safar Nahe...!!

Wafaa Mein Ab Ye Hunar Ikhtiyaar Karna Hai

Wafaa Mein Ab Ye Hunar Ikhtiyaar Karna Hai
Wo Such Kehy Na Kehy Aibaar Karna Hai

Ye Tujh Ko Jaagty Rehny Ka Shooq Kab Sy Hua
Mujy Tu Khair Tera Intezaar Karna Hai

Hawa Ki Zadd Mein Jalany Hein Aansowon K Chiraagh
Kabi Ye Jashan Sar_E_Rah Guzar Karna Hai

Wo Muskura K Naye Waswason Mein Daal Gya
Khayal Tha K Usy Sharamsaar Karna Hai

Misaal_E_Shaakh_E_Barehna Khizaan Ki Rut Mein Kabi
Khud Apny Jism Ko Bay Rang_O_Baar Karna Hai

Tery Firaaq Mein Din Kis Tarhan Kattey Apny
Ke Shugal_E_Shab Tu Sitary Shumaar Karna Hai

Chalo Ye Ashk He Moti Samjh Kar Baich Aayein
Kisi Tarah To Hamein Roozgaar Karna Hai

Kabi To Dil MeiN Chupay Zakham B Numayan Hon
Qabba Samjh Ky Badan Taar Taar Karna Hai

Khuda Khabar Ye Koi Zidd K Shooq Hai
Khud Apni Jaan K Dushman Sy Pyaar Karna Hai..!!

Tuesday 13 January 2015

Garme-E-Hasrat-E-Nakam Sy Jal Jaty Hein

Garme-E-Hasrat-E-Nakam Sy Jal Jaty Hein
Ham Charagon Ki Tarah Sham Sy Jal Jaty Hien

Shamma Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish K Liye
Ham Usi Aag Mein Gumnaam Sy Jal Jaty Hein

Jab B Aata Hai Tera Naam Mery Naam k Sath
Jany Kyun Log Mery Naam Sy Jal Jaty Hein..!!

Ye Tajurba B Karon Ye B Kar Dikhon Me

Ye Tajurba B Karon Ye B Kar Dikhon Me
K Khud Ko Yaad Rakhon Us Ko Bhool Jaon Me

Fareb Kaar Mein Kuch Tu Hai Koi Baat To Hai
K Jaan Bojh  K Itna Faraib Khaon Me

Wo Pal Kahan Hein Jo Dunia Sy Jorta Tha Mujy
Jo Paon Tujh Ko Tu Sab K Qareeb Aaon Me

Kabi tu Ho Mery Ehsas_E_Kamtari Mein Kami
Kabi To Ho K Usy Khul K Aazmaon Me

Wo Shakhas Hai K Nasim_E_Shehar Ka Jhonka Hai
Bikhar He Jaon Jo Us Ko Galy Lagaon Me

Azaan K Baad Dua Ko Jo Hath Uthaye Wo
Apni Nemazein B Bhool Jaon Me..!!

Inkaar Mein Iqraar Ki Baat Aa He Gai Hai

Inkaar Mein Iqraar Ki Baat Aa He Gai Hai
Boton Mein Gham_E_Yaar Ki Baat Aa He Gai Hai

Aya Hai Kabi Zikar Ager Dar_O_Rasab Ja
Gesso_O_Qad_E_Yaar Ki Baat Aa He Gai Hai

Jab Surkhi_E_Gulshan Ka Kabi Zikar Hua Hai
Tery Lab_O_Rukhsaar Ki Baat Aa He Gai Hai

Dhonda Hai Ager Zakham_E_Tamana Ne Mudawa
Ek Nargis_E_Bimaar Ki Baat Aa He Gai Hai

Mil Baithy Hein Zandaan Mein Ager Sham Ko Ahbaab
Tery Dar_O_Dewaar Ki Baat Aa He Gai Hai

Cheara Hai Koi Talkh Fasana Jo Kisi Ny
Shirini_E_Guftaar Ki Baat Aa He Gai Hai..!!

Ye Dewany Kabi Pabandion Ka Gham Nehe Lain Gay

Ye Dewany Kabi Pabandion Ka Gham Nehe Lain Gay
Gerabaan Chaak Jab Tak Kar Na Lain Gay Dam Nehe Lain Gay

Laho Dain Gay Tu Lain Gay Pyar Moti Ham Nehe Lain Gay
Hamein Pholon K Badly Phool Do Shabnam Nehe Lain Gay

Muhabat Karny Waly B Ajab Khud_Daar Hoty Hein
Jigar Par Zakham Lain Gay Zakham Par Marham Nehe Lain Gay

Sanwary Ja Rehy hein Ham Tu Uljhe Jate Hein Zulfein
Tum Apny Zimma Lo Ab Ye Bakhairy Ham Nehe Lain Gay..!!

Kaleaja Thaam Lo Roodad_E_Gham Ham Ko Sunny Do

Kaleaja Thaam Lo Roodad_E_Gham Ham Ko Sunny Do
Tumhein Dukha Hua Dil Ham Dikhaty Hein Dikhany Do

Usi K Dam Sy Thori Roshni Hai Khana_E_Dil Mein
Bujhaty Kyun Ho Sham_E_Aarzo Ko Jhilmilany Do

Suna Hai Ishq Ka Meraaj Pinhan Hai Shahadat Mein
Chhuri Lao Mujy B Apni Qismat Aazmany Do

Na Dagh Aaye Ga Apny Daman_E_Husn_E_Tabiyat Par
Wafa Par Mere Jo Tohmat Lagaty Hein Lagany Do

Zamana Sabar Kar Laita hai Ham Kar Lain Gay
Khalish Dil Ki Mita Lany Ki Do Aanso Bahany Do..!!

Ye Samandar Hai Kinary He Kinary Jao

Ye Samandar Hai Kinary He Kinary Jao
Ishq Har Shakhas K Bass Ka Nehe Hai Pyary Jao

Yon To Maqtal Mein Tamashai Bohat Hein
Ao Us Waqat K Jis Waqat Pukary jao

Dil Ki Baazi Lagy Pher Jaan Ki Baazi Lag Jaye
Ishq Mein Haar K Abi Tu Nehe Haary Jao

Kaam Ban Gaya Ager Zulf Janoon Ban Jaye
Es Liye Us Ko Sanwaro K Sanwar Jao

Koi Rasta Koi Manzil Usy Dushwaar Nehe
Jis Jaga Jao Muhabat K Sahary Jao

Ham Tu Mitti Sy Ugain Gay Muhabat K Gulaab
Tum Ager Torny Jati Ho Sitary Jao

Doobna Hoga Ager Doobna Taqdeer Mein Hai
Chahy Kashti Py Raho Chahy Kinary jao

Tum He Socho Bhai Ye Shooq Koi Shooq Hai
Aaj Oonchai Py Baitho Kal Utary Jao

Mout Sy Khail K Karty Ho Muhabat
Mujh Ko Dar Hai Kehein Be_Mout Na Mary Jao..!!

Sunday 11 January 2015

Wohi Dar Paish Hai Pher Zindagi Khawabon Khyalon K

Wohi Dar Paish Hai Pher Zindagi Khawabon Khyalon K
Kahan Hai Ab Tumhari Wo Muhabat Itney Salon Ki

Ager Mery Muqader Mein Andheara He Andheara Hai
Kahani Kyun Sunai The Mujy Tum Ne Ujalon Ki

Bara Hai Farq Dono Mein Mager Dilchasp Hein Dono
Tere Dunia Khawabon Ki Mere Dunia Sawalon Ki

Tumhein Jab Se Me Likhta Hon Tumhein Jab Se Me Parhta Hon
Zarorat He Nehe Parti Kitaabon Ke Khawalon Ki

Talluq Torna Or Jorna Tum Se Koi Seakhey
Kahan Se Aa Gai Tum Mein Maharat Aisi Chalon Ki

Dil Ko Rakha Hai Faqat Es Wastey
Zarorat Pher Na Par Jaye Tumhein Mere Misalon Ki..!!

Woh Log They Qadmon Se Zameen Cheen Rahy Hain

Woh Log They Qadmon Se Zameen Cheen Rahy Hain
Jo Log Mery Qad K Barabar Nahe Aaty

Ik Tum Ka Tymhary Liye Me B Mere Jaan B
Ik Me K Mujhay Tum B Muyassar Nahe Aaty

Jiss Shaan Sy Lotay Hain Ganwa K Dil-O-Jan Ham
Iss Tour Sy To Haaray Huay Lashkar Nahe Aaty

Koi To Khabar Ly Mery Dushman-E-Jan Ki
Kuch Din Sy Mery Sehan Main Pathar Nahe Aaty

Dil B Koi Aasaib Ki Nagri Hai K
Jo Iss Sy Nikal Jaty Hain Murr Kar Nahen Aatay..!!

Safha_E_Waqat Py Likhi Tehreer Badal Jati Hai

Safha_E_Waqat Py Likhi Tehreer Badal Jati Hai
Ayat_E_Hijjar Ki Har Tafseer Badal Jati Hai

Aisa Ek Waqat B Aata Hai Mere Neand Py Jab
Khwaab Sy Pehly He Taabeer Badal Jati Hai

Ab Tu Har Lamha Mera Qaid Mein Kat Jata Hai
Farq Sirf Itna Hai K Zanjeer Badal Jati Hai

Waqat Har Baat Ko Mehfooz Kar Laita Hai
Haan Magar Baat Ki Taaseer Badal Jati Hai

Parhta Rehta Hon Me Hathon Ki Lakeeron Ko Yon He
Me Ye Sunta Tha K Taqdeer Badal jati Hai..!!

Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya

Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya
Aa Raha Hai Mery Gumaan Mein Kya

Ab Mujhy Koi Tokta Bhi Nahin
Yahi Hota Hai Khaandaan Mein Kya

Bolte Kyon Nahin Mery Haq Mein
Aabale Par Gaye Zabaan Mein Kya

Mere Har Baat Be_Asar Hi Rahi
Nuks Hai Kuch Mery Bayaan Mein Kya

Wo Mily To Ye Poochna Hai Mujhy
Abhi Hoon Main Tere Amaan Mein Kya

Shaam Hi Se Dukaan-E-Deed Hai Band
Nahin Nuksaan Tak Dukaan Mein Kya

Yoon Jo Takta Hai Aasmaan Ko Tu
Koi Rehta Hai Aasmaan Mein Kya

Ye Mujhy Chain Kyun Nahin Parta
Ek Hi Shakhs Tha Jahaan Mein Kya..!!

Un Sy Nain Mila Kar Daikho

Un Sy Nain Mila Kar Daikho
Ye Dhoka B Kha Kar Daikho

Doori Mein Kya Bhaid Chupa Hai
Es Ki Khooj Laga Kar Daikho

Kisi Akeali Shaam Ki Chup Mein
Geet Purany Gaa Kar Daikho

Aaj Ki Raat Bohat Kaali Hai
Soch K Deep Jala Kar Daikho

Jaag Jaag Kar Umer Katti Hai
Neand Ki Dewaar Hila Kar Daikho..!!

Samaan-E-Tijarat Mera Imaan Nahi Hai

Samaan-E-Tijarat Mera Imaan Nahi Hai
Har Dar Py Jhuky Sar Ye Meri Shaan Nahi Hai

Har Lafz Ko Seeny Mein Basa Lo To Bany Baat
Taaqon Mein Sajany Ko Ye Quraan Nahi Hai

Allah! Mery Rizq Ki Barkat Na Chali Jaaye
Do Roz Se Ghar Mein Koi Mehman Nahi Hai

Ham Ne Banaye To Hain Samandar Mein Bhi Raaste
Yun Ham Ko Mitaana Koi Asaan Nahi Hai

Woh Jis Ko Buzurgon Ki Rivayat Na Rahe Yaad
Us Shakhs Ki Logo Koi Pehchaan Nahi Hai

Do Char Umeedon K Diye Ab Bhi Hai Roshan
Maazi Ki Haweli Abhi Veeran Nahi Hai

Main Tere Mohabbat Mein Giraftar Hoon Lekin
Tujh Ko Main Khuda Samjhun Ye Imkaan Nahi Hai

Phoolon Ki Jagah Jalty Huye Lafz Sachy Hain
Ab Meiz Pe Akhbaar Hai Guldaan Nahi Hai

Ye Mera Sher Mere Ahd Ki Tasveer
‘Ghalib’ Ki Ghazal ‘Mir’ Ka Divan Nahi Hai..!!

Hamesha Muskura K Aansoon Ko Chupaya

Hamesha Muskura K Aansoon Ko Chupaya
Ghum Ko Chupanay Ka Yehi Rasta Nazar Aaya

Kis Kis Ko Bataty Behtey Ashkon Ka Sabab
K Derd-E-Dil ! Dil Main Kis Ny Jagaya

Mehfilon Main Kahin B Maza Na Raha
Rakha Dil Py Pather To Khud Ko Sajaya

Baat Bay Baat Apni Aahain Daba Ker
Yaron K Dermiyan Kis Qadar Muskuraya

Na Thi Chah Kabhi Mujhy Maykashi Ki
Jaam-E-Wafa Kisi Bay Wafa Ny Pilaya

Kya Muqadar Sy Shikwa Kerty Rehain
Jo Qismat Main Tha Wohi Kuch To Paaya

Yeh Kis Mor Py Aagaee Hain Umeedain
K Saaya-E-Manzil Nazar Main Na Aaya

Apnoon Ny Palat K Daikha Tak Nahin
Ghairon Ny Aaker Galay Say Lagaaya

Acha Hua K Raaz Khul Hi Gaya
Dil-E-Nadaan Py Khanjar Kis Ny Chalaya

Shab-O-Roz Chahat Sila Ye Hai 
Dil K Tukrey Huay Wo Chunney Na Aaya..!!

Wo Dushman_E_Jan Jaan Sy Payara B Kabi Tha

Wo Dushman_E_Jan Jaan Sy Payara B Kabi Tha
Ab Kisi Sy Kehein Koi Hamara B Kabi Tha

Utra Hai Rad_O_Pai Mein Tu Dil Kat Sa Gaya
Ye Zehar_E_Judai K Ganwara B Kabi Tha

Har Dost Jahan Abr_E_Gurezaan Ki Tarah Hai
Ye Shehar Kabi Shehar Hamara B Kabi Tha

Titli K Taaqub Mein Koi Phool Sa Bacha
Aisa He Koi Khwaab Hamara B Kabi Tha

Ab Agly Zamany K Milein Log Tu Pochein
Jo Haal Hamara Hai Tumhara B Kabi Tha

Har Bazam Mein ham Ny Usay Afsurda He Daikha
Kehty Hein Anjuman_E_Aara b Kabi Tha..!!

Sunty Hein Pher Chhup Chhup Unky Gher Mein Aaty Jaty Ho

Sunty Hein Pher Chhup Chhup Unky Gher Mein Aaty Jaty Ho
Ary Saahib Nahaq Ji Ko Wahshat Mein Uljhaty Ho

Dil Ki Baat Chupani Mushkil Lekin Khoob Chupaty Ho
Ban Mein Daana Shehar K Andar Diwaany Kehlaty Ho

Be_Kal Be_Kal Rehty Ho Par Mehfil K Aadaab K Sath
Aankh Chura Kar Daikh B Laity Ho Bholy B Ban Jaty Ho

Peet Mein Aisy Lakh Jatan Hein Lekin Ek Din Sab Nakaam
Ap Jahan Mein Ruswa Hongy Waaz Hamein Farmaty Ho

Ham Se Naam Janoon Ka Qayam Ham Sy Dasht Ki Aabaadi
Ham Sy Dard Ka Shikwa Karty Ho Ham Ko Zakham Dikhaty Ho..!!

Tum Apny Khat Mein Yon Lafzon Ka Silsila Rakhna

Tum Apny Khat Mein Yon Lafzon Ka Silsila Rakhna
Har Ek Lafz Ka Mafhoom Doosara Rakhna

Tumhary Lab Ki Mehak Raaz Faash Kar Dy Ge
Lifaafa Band Na Karna Yon He Khula Rakhna

Na Itnaa Toot K Miliye K Dil Py Shak Guzray
Khaloos Mein B Zaroori Hai Faasla Rakhna

Me Zindagi Me Kehen Tum Sy Mil He Jaon Ga
Magar Ye Shart Hai Bicharny Ka Hoosla Rakhna

Ye Sooz_O_Qarab Mujy Tajarbon Ny Bakhshy Hein
Jalana Shama Tu Daman Sy Faasla Rakhna..!!

Dil Ney Wafa K Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiya

Dil Ney Wafa K Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiya
Khud Ko Halaak Kar Liyaa Khud Ko Fidaa Nahin Kiya

Kaisy Kahen K Tujh Ko Bhi Hamasy Hai Waastaa Koi
Tu ny To Hamasy Aaj Tak Koi Gilaa Nahin Kiya

Tu Bhi Kisiiy K Baab Mein Ahad-Shikan Ho Gaaliban
Ma Ne Bhi Ek Shakhs Ka Qarz Adaa Nahin Kiya

Jo Bhi Ho Tum Py Mautariz Us Ko Yahi Javaab Do
Aap Bahot Shariif Hain Ap Ny Kya Nahin Kiya

Jis Ko Bhi Shaikh-O-Shaah Ny Hukm-E-Khudaa Diya Qaraar
Hamany Nahin Kiya Wo Kaam Haan Baa-Khudaa Nahin Kiya

Nisbat-E-Ilm Hai Bahot Haakim-E-Waqt Ko Aziz
Us Ny To Kaar-E-Jehl Bhi Be-Ulaamaa Nahin Kiya..!!

Har Koi Dil Ki Hatheli Py Hai Sehra Rakhy

Har Koi Dil Ki Hatheli Py Hai Sehra Rakhy
Kisi Ko Sairaab Kary Wo Kisi Ko Payasa Rakhy

Umer Bhar Kon Nibhata Hai Taluk Itna
Aay Mere Jaan K Dushman Tujy Allah Rakhy

Ham Ko Acha Nehe Lagta Koi Hamnaam Tera
Koi Tujhsa Ho Tu Pher Naam Naam B Tujhsa Rakhy

Dil B Pagal Hai Us Shakhas Sy Wabasta Hai
Jo Kisy Or Ka Na Hony Dy Na Apna Rakhy

Kam Nehe Tamam_E_Ibaadat B Tu Hirs_E_Zar Sy
Kufar Tu Wo Hai K Deen Na Dunia Rakhy

Hans Na Itna B Faqeeron K Akealy Pan Par
Khuda Mere Tarah Tujh Ko b Tanha Rakhy

Ye Qannaat Hai Ittaat Hai K Chahat Hai
Ham Tu Razi Hein Wo Jis Haal Mein Jaisa Rakhy..!!

Dastaan_E_Zindagi Tu Bohat Khamosh Hai Magar

Dastaan_E_Zindagi Tu Bohat Khamosh Hai Magar
Behty Ashkon Ka Shoor Sunana Chahta Hon

Hai Ujla B Tu Subh_E_Kazib Ki Manind
Bass Ek Umeed Zaroor Dikhana Chahta Hon

Mujh Ko Maloom Hai Manzil Ki Haqeeqat Lekin
Parwana Ban Kar Urh Jana Chahta Hon

Jar Chehraa Naqaab Hai Nafraton K Ooper
Or Me Kyun Kar Un Sy Mohabatein Ly Jana Chahta Hon

Zindagi ka Safar Guzar Jany Par Gumaan Hua K
Me Makhlooq_E_Qabar Hon Magar Dunia Me Jeena Chahta Hon..!!

Jis Aagosh_E_Nakheel Ko Tum Ny Qaid_E_Tanhai Samjha

Jis Aagosh_E_Nakheel Ko Tum Ny Qaid_E_Tanhai Samjha
Wo Qila Janoon_E_Fitrat Sy Banaya Tha Me Ny

Ek Dunia Hasraton Ki Wahan B Basti The
Bass Tum Ko Nigah_E_Mukhalif Sy Chupaya Tha Me Ny

Bari Azaad Uraan Bharty Ho Mouj_E_Saba Mein
Par Ehsaas_E_Qurbat Ko Kuch Door Paya Tha Me Ny

Jin Rangon Ko Tum Ny Tabasum Ka Zarya Samjha
Jazbaat K Un Teelon Ko Khud He Giraya Tha Me Ny

Kuch Keh Dainy Ki Dastaras Tu Hasil Nehe
Bass Ek Bhara Hua Dil Basaya Tha Me Ny..!!

Khatir Sy Ya Lihaaz Sy Me Maan Tu Gaya

Khatir Sy Ya Lihaaz Sy Me Maan Tu Gaya
Jhooti Qasam Sy Ap Ka Imeen Tu Gaya

Dil Le K Muft Kehty Hein Kuch Kaam Ka Nehe
Ulti Shikayatein Rehen Ehsaan Tu Gaya

Afshay_E_Raaz_E_Ishq Mein Gi Zillatein Huein
Lekin Usy Jata Tu Dya Jaan Tu Gaya

Daikha Hai Butkady Mein Jo Aay Shaikh Kuch Na Kuch
Imaan Ki Tu Ye Hai Imaan Tu Gaya

Darta Hon Daikh Kar Dil_E_Be_Arzoo Ko Mein
Sunsaan Gher ye Kyun Na Ho Mehmaan Tu Gaya

Go Naamaabar Sy Kuch Na Hua Par Hazaar Shukar
Mujhko Ko Wo Mery Naam Sy Pehchaan Tu Gaya

Hosh_O_Hawas_O_Taab_O_Tavaan Daagh Ja Chuky
Ab Ham B Jany Waloy Hein Saamaan Tu Gaya..!!

Saturday 10 January 2015

Ishq K Lamhy Sharab Lagty Hein

Ishq K Lamhy Sharab Lagty Hein
Kuch Chehray Mahtaab Lagty Hein







Kukh Itna Hai Muhabat Mein Guzarny Sy
K Har Lamhy He Azaab Lagty Hein..!!

Qaabil Nehe Me Apky Ismein Tu Koi Shaq Nehe

Qaabil Nehe Me Apky Ismein Tu Koi Shaq Nehe
Dil Torny Ka Lekin Tum Ko B Koi Haq Nehe

Nazron Ki Pyaas Bujh Gai Dil Ko Mil Raha Sakoon
Honton Ko Choom Lainy Dy Banhon Ko Yon Jhatak Nehe

Bass Ek Pal Ki Baat The Kitni Haseen Raat The
Chadar Sarakny Dy Zara To Khud Tu Sarak Nehe

Tera Dil Be Be_Qaraar Hai Tujh Ko B Mujh Sy Pyaar Hai
Seeny Sy Aa K Lag B Jaa Ab Tu Yon Jhijhak Nehe..!!

Kasoor Ham Sy Dosto Ye Baar Baar Ho Gaya

Kasoor Ham Sy Dosto Ye Baar Baar Ho Gaya
Jahan Koi Haseen Mila Use Sy Pyaar Ho Gaya

Nammo The Ek Shakh Par Magar Mizaaj Alag Alag
Udhar Wo Phoool Ban Gay Idher Ye Khaar Ho Gaya

Wo Aankh Kuch Jhuki Hui Nazar Zara Ruki Hui
Wo Ek Teer He Jigar K Aar Paar Ho Gaya

Wisaal_O_Hijjar Ki Bohat Ajeeb Hein Kahanian
Usy Qaraar Mil Gaya Jo Be_Qaraar Ho Gaya

Yaqeen Ki Manzilon Mein B Khyaaal Ka Kamaal Hai
Jo Eatbaaar Kar Liya Tu Eatbaar Ho Gaya

Kisi Ka Zikar Aa Gaya Jo Us K Sher Mein
Tu Me B Aaj Shairon Mein Lo Shumaar Ho Gaya..!!

Shabnami Raat Suhani Hai Lout Aoo

Shabnami Raat Suhani Hai Lout Aoo
Ek Ghazal Tum Ko Sunani Hai Lout Aoo

Pher Neya Khwaab Daikhna Hai Seher Hony Tak
Pher Nei Shamma Jalani Hai Lout Aoo

Na Me Barbaad Hua Hon Na Ruswaa Tum
Na_Mukammal Ye Kahani Hai Lout Aoo

Tum Sy Mil Kar He Me Bichron Koi Laazim Tu Nehe
Pher B Ek Rasam Nibhani Hai Lout Aoo..!!

Dukh Dard K Maron Sy Mera Zikar Na Karna

Dukh Dard K Maron Sy Mera Zikar Na Karna
Gher Jao Tu Yaron Sy Mera Zikar Na Karna

Wo Zabat Na Kar Pain Gay Aankhon Ka Samandar
Tum Gham Guzaron Sy Mera Zikar Na Karna

Pholon K Nasheman Mein Raha Hon Sada Sy
Daikho Kabi Ghairon Sy Mera Zikar Na Karna

Shayad Ye Andheara He Mujy Rah Dikhaye
Ab Chand Sitaron Sy Mera Zikar Na Karna

Wo Mere Kahani Ko Koi Ghalat Rand Na Dy Daly
Afsana Nigaron Sy Mera Zikar Na Karna

Shayad Wo Mery Haal Py Be_Sakhta Roo Dy
Es Baar Baharon Sy Mera Zikar Na Karna

Ly Jain Gay Gehrai Mein Tum Ko B Baha Kar
Dariya K Kinaron Sy Mera Zikar Na Karna

Wo Shakhas Mily Tu Usy Har Baat Batana
Tum Sirf Ishaaron Sy Mera Zikar Na Karna..!!

Wo Jo Pee Kar Sharab Nikly Ga

Wo Jo Pee Kar Sharab Nikly Ga
Kis Tarah Aaftaab Nikly Ga

Jab Uthy Ga Jahan Sy Ye Naqaab
Tab He Es Ka Hijaab Nikly Ga

Tazkaray Sab K Pher Rehein Gay Dharay
Jab Mera Intahaab Nikly Ga

Tzkiry Sab K Phir Rahein Gay Dhare
Jab Mera Intekhaab Nikly Ga

Daikho Gay Rang Nargis Ka
Ab Jo Wo Mast_E_Khwaab Nikly Ga..!!

Chahat Ki Wo Puraani Sharab Chahta Hon

Me Usy Tu  Be_Hisaab Chahta Hon
Aashiqi Ka Koi Neya Khetaab Chahta Hon

Mujh Sy Pehly Jo Aashiqonn Ny Pee Hai
Chahat Ki Wo Puraani Sharab Chahta Hon

Band Aankhon Sy Sapny Daikhy Tu Kya Kaam Kiya
Mein Urri Neand K Daikhna Khwaab Chahta Hon

Wo Nikalta Hai Tu Kyun Chhup Jata Hai Mahtaab
Me Un Sy Es Ka Jawaab Chahta Hon

Lafz Lafz Jis Ka Wafa Ruh Mein Utar Jaye
Likhna Koi Aisi Ghazal Nayaab Chahta Hon..!!

Ye Sharab Shoq Hai Mere Adat Nahi

Ye Sharab Shoq Hai Mere Adat Nahi
Ye Jazbaat Jagati Hai Tabhi Peeta Hun

Aadhi Raat K Waqt Mein Pagal To Nahe
Teri Yaad Sataeti Hai Tabhi Peeta Hun

Iss Jaam Mein Fazeelat To Koi Nahe
Ye Fikar Mitati Hai Tabhi Peeta Hun

Mein Janta Hon Mujhy Kuch Nahi Milna Is Sy
Ye Mere Umer Ghatati Hai Tabhi Peeta Hun..!!



Sharabi Ghazal 

Sharab Poetry

Sharab Shayri

Shararat Na Hoti Shikayat Na Hoti

Shararat Na Hoti Shikayat Na Hoti
Nainon Mein Kisi K Nazakat na Hoti

Na Hoti Bekarari Na Hoty Ham Tanha
Jo Jahan Mein Kambakhat Muhabat Na Hoti

Na Hoty Ye Sapny Ye Khwabon Ki Dunia
Kisi Ko Chahat Ki Tammana Na Hoti

Na Zulfon Ki Chaya Na Pholon Ki Khushbo
Yadon Mein Unki Ye Raatein Na Katti

Jo Na Hoti Muhabat Ye Aanso Na Hota
Dil B Na Khota Aaj Tanha Na Rota

Majno Se Apni Ye Halat Na Hoti
Jo Jahan Mein Kambakhat Muhabat Na Hoti..!!





Dhoka Poetry 

Latest Poetry

Sad Poetry

Sharabi Poetry

Romantic Poetry

Urdu Ghazal

Ghazal2015

Hindi Poetry

Urdu Long Ghazal

Short Poetry

Aanso Poetry

Hont Poetry

Sexy Poetry

Hindi Ghazal

Roona Bhi Jo Chahain To Wo Ronay Nehe Daita

Roona Bhi Jo Chahain To Wo Ronay Nehe Daita
Woh Shaks To Palkain Bhi Bhigonay Nehe Daita

Wo Roz Rulaata Hai Hamaain Khuaab Main Aakar
Sona Bhi Chahain To Sonay Nehe Daita

Ye Kis K Isharay Pay Umaad Aaye Hain Badal
Hai Kon Jo Barish Kabhi Honay Nehe Daita

Aata Hay Khayalon Main Mery Kon Ye Aksar
Jo Mujh Ko Kisi Or Ka Honay Nehe Daita

Is Dar Say K Tor K Aansoo Na Baahain
Bachoon Ko Mitti Kay Khiloonay Nehe Daita

Aik Shaks Hai Aaisa Mere Basti Main Abhi Tak
Jo Bojh Akelay Mujhey Dhonay Nehe Daita

Me Hun K Baahata Hoon Tere Yaad Main Aansoo
Tu Hai K Ashkoon Ko Piroonay Nehe Daita

Wo Chehra Ajab Hay Jisey Paakar Main Abhi Tak
Khoona Bhi Chahoon To Wo Khooney Nehe Daita..!!

Barish Ka Ye Mousam Kuch Yaad Dilata Hai

Barish Ka Ye Mousam Kuch Yaad Dilata Hai
Kisi K Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai

Fizza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hain
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai

Bheegi Hoye Raatain Khamosh Se Baatain
Aisay Main Kuch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai

Barsat Ki Hain Bondain Bondon Main Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai

Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam To Pal Bhar Main Beet Jata Hai..!!

Wo Samny Aye To Nazron Ko Jhuka Lon Ga

Wo Samny Aye To Nazron Ko Jhuka Lon Ga
Daikhon Ga Nehe Pher B Tasweer Bana Lon Ga

Aana Ho To Aa Jao Ruswai Nehe Ho Ge
Daikhy Ga Nehe Koi Palkon Mein Chupa Lon Ga

Jo Ham Par Guzrni Hai Ek Baar Guzar Jaye
Har Gham Ki Tarah Tujh Ko Seeny Sy Laga Lon ga

Weeran Ager Dil Ho Aankhon Mein Andeara Ho
Yaadon K Diye Apni Palkon Py Saja Laina

Manzoor Ager Ho Ge Ruswai Tere Mujh Ko
Me Baith K Sahil Sy Tofaan Utha Don Ga

Naraaz Ager Wo Hein Mery Nasheman Sy
Me Apny Nasheman K Tinkon Ko Hata Don Ga

Kyun Mujh Sy Khafa Ho Kar Wo Door Gaye
Banhon Mein Wo Aa Jaien Me Unko Mana Lon Ga..!!

Tum Rooth Jao Mujhsy Aisa Kabhi Na Karna

Tum Rooth Jao Mujhsy
Aisa Kabhi Na Karna

Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Karna

Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar K

Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna

Mujhsy Hi Mil Ke Hansna
Mujhsy Hi Mil Ke Rona

Mujhsy Bichhar K Jee Lo
Aisa Kabhi Na Karna

Tum Chand Ban K Rehna
Main Dekhta Rahunga

Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna

Tum Chale Jao Jab Bhi
To Daikhon  Tumhara Rasta

Tum Lout Ke Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna..!!

Lamha Lamha Tery Wajood Mein Basar Hota

Lamha Lamha Tery Wajood Mein Basar Hota
Kya Khoob Hota Jo Me Tere Roh Ka Mehwar Hota

Tere In Jheel Sy Aankhon Mein Mera Ghar Hota
Tere Aankhein Jo Daikhti Me Wo Manzar Hota

Kabi Pat Jhar To Kabi RimJim
Kabi Sawan Tu Kabi Badal
Kabi Panchi Tu Kabi Ambar Hota

Tere Umeed Ka Hasil Tere Khwahish Ka Sila
Me Tery Ishq Tery Sabar Ka Samar Hota

Kya Khoob Hota Jo Me Tere Roh Ka Mehwar Hota
Lamha Lamha Tery Wajood Me Basar Hota..!!

Har Taraf Zulm Yahan Hai Yaro

Har Taraf Zulm Yahan Hai Yaro
Adat_O_Insaaf Kahan Hai Yaro

Lab Py Laye Hein Hal_E_Dil Tu Kya
Haal Chehrey Sy Ayaan Hai Yaro

Sher Kehna Ghazal Suna Daina
Ye B Andaz_E_Fughan Hai Yaro

Kar Raha Hon Kalam Sy Zulm Py Waar
Jab Talak Jism Mein Jaan Hai Yaro

Dhal Gai Mere Jawaani To Kya
Aaj B Ishq Jawaan Hai Yaro..!!

Muhabat Kar K Daikho Tu Muhabat Kya Nehe Karti

Muhabat Kar K Daikho Tu
Muhabat Kya Nehe Karti
Muhabat Khud B Hoti Hai
Muhabat Khud Ho Jati Hai

Muhabat Khud Banati Hai
Muhabat Khud B Banti Hai
Muhabat Khud B Andhi Hai
Muhabat Andha B Karti Hai

Muhabat Jhuk B Sakti Hai
Muhabat Jhuka B Daiti Hai
Muhabat Khud B Nafrat Hai
Muhabat Pyar B Karti Hai

Muhabat Pyar Hai Dil Ka
Muhabat Esaar B Karti Hai
Muhabat Kaam Hai Dukh Ka
Muhabat Naam Hai Sukh Ka

Muhabat Naam Hai Es Ka
Muhabat Es Hi Ko Kehty Hein
Muhabat Kar K Daikho Tu
Muhabat Kya Nehe Karti..!!

Shaam Hony Sy Pehly Lout Ana

Shaam Hony Sy Pehly Lout Ana
Kisi K Naam Hony Sy Pehly Lout Ana

Ham Tery Intzaar Mein Hein
Anjaan Hony Sy Pehly Lout Ana

Suboh Shaam Rehti Hai Tery Dedaar Ki Umeed
Din Khatam Hony Sy Pehly Lout Ana

Ager Na Lout Pao Tu Bass Itna Kar Daina
Mere Zindagi Khatam Hony Sy Pehly Lout Ana..!!

Me Ny Poocha Kaisy Ho Badly Ho Ya Waisy Ho

Me Ny Poocha Kaisy Ho
Badly Ho Ya Waisy Ho

Roop Wohi Andaaz Wohi
Ya Pher Us Mein Koi Kami

Hijjar Ka Ehsaas Tu Ho Ga
Koi Tumhary Pass Tu Ho Ga

Me Bichra Ye Majboori The
Kab Manzoor Mujy Ye Doori The

Saath Hamara Kab Choota Hai
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai

Aankh Sy Jo Aanso Behty Hein
Tum Ko Khabar Hai Kya Kehty Hein

Me Ny Kaha Aawaaz Tumhari
Aaj B Hai Hamraaz Hamari

Phool Wafa K Khil Jain Gay
Ek Din Pher Ham Mil Jain Gay..!!

Zara Se Dair Ko Aaya Tha Khawab Aankhon Mein

Zara Se Dair Ko Aaya Tha Khawab Aankhon Mein
Pher Us K Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein

Wo Jis K Naam Ke Nisbat Sy Roshan Tha Wajood
Khatak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein

Jinhein Mata_E_Dil_O_Jaan Samah Rehy Thy Ham
Wo Aainy Be Huye Be_Hijaab Aankhon Mein

Ajab Tarah Ka Hai Mosam K Khak Urti Hai
Wo Din Be They K Khily The Gulaab Aankhon Mein

Mere Gazal Tere Wahshaton K Khair Ki Hai
Bohat Dinon Sy Bohat Iztaraab Aankhoon Mein

Na Jany Kaisi Qayamat Ka Paishkhema Hai
Ye Uljhanein Tere Be_Intasaab Aankhon Mein..!!

Saturday 3 January 2015

Jab Raat Ki Tanhai Dil Ban K Dharakti Hai

Jab Raat Ki Tanhai Dil Ban K Dharakti Hai
Yaadon K Jharokon Mein Chilman Se Sirakti Hai

Lobaan Mein Chingaari Jaisay Koi Rakh Jaaye
Yon Yaad Tere Shab Bhar Seenay Mein Sulagti Hai

Yon Pyaar Nahe Chhupta Palkon Ke Jhukaanay Sy
Aankhon K Lifaafon Mein Tehreer Chamakti Hai

Khush Rang Parindon K Lout Aanay K Din Aaye
Bichray Howay Miltay Hain Jab Barf Pighalti Hai

Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar K Tamasha Hai
Jis Daal Py Baithay Ho Wo Toot Bhi Sakti Hai..!!

Doosron Ko Hamari Sazaaien Na Dy

Doosron Ko Hamari Sazaaien Na Dy
Chandni Raat Ko Bad_Duaien Na Dy

Phool Sy Aashiqi Ka Hunar Seakh Ly
Titliyan Khud Rukein Ge Sadaien Na Dy

Motion Ko Chupaa Sipiyon Ki Tarah
BeWafaon Ko Apni Wafaien Na Dy

Me Bikhar Jaon Asowon Ki Tarah
Es Qadar Pyar Sy Bad_Duaien Na Dy..!!

Tum Or Faraib Khao Bayan_E_Raqeeb Sy

Tum Or Faraib Khao Bayan_E_Raqeeb Sy
Tum Sy Tu Kam Gila Hai Ziyada Hai Naseeb Sy

Goya Tumhari Yad He Mera Ilaaj Hai
Hota Hai Pahron Zikar Tumhara Tabeeb Sy

Barbad_E_Dil Ka Aakhri Sarmaya The Umeed
Wo B Tu Tum Ny Cheen Liya Mujh Gareeb Sy

Dhundhla Chali Nigah Dam_E_Wapasi Hai Ab
Aa Pass Aa K Daikh Lon Tujh Ko Qareeb Sy..!!

Hisaar-E-Lafz-O-Bayaan Mein Gum Hun

Hisaar-E-Lafz-O-Bayaan Mein Gum Hun
Abhi Tere Daastan Mein Gum Hun

Mein Daikh Sakti Hun Doston Ko
Magar Saf-E-Dushmanaan Mein Gum Hun

Badan Ka Apna Azaab Hai Or
Isi Azaab-E-Ziaan Mein Gum Hun

Ye Loog Ghar Keh Rahay Hain Jisko
Mein Aisay Makaan Mein Gum Hun

Kahan Wo Lazzat Musaafaton Ki
Mein Manzilon K Nishaan Mein Gum Hun

Khabar Nahi Mauj-E-Dast-E-Jaan Ki
Hawaa Hun Or Baadbaan Mein Gum Hun

Abhi Kahan Fursat-E-Mohabbat
Abhi Mein Kaar-E-Jahaan Mein Gum Hun..!!

Rukta Bhi Nahi Theek Sy Chalta Bhi Nahi Hai

Rukta Bhi Nahi Theek Sy Chalta Bhi Nahi Hai
Ye Dil K Tery Baad Sambhalta Bhi Nahi Hai

Ye Sheher Kisi Aina Kirdaar Badan Par
ilzam Lagate Hoye Darta Bhi Nahi Hai

Ik Umar Sy Hum Is Ki Tamanna Mai Hain Be-Khwaab
Wo Chaand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai

Phir Dil Mein Teri Yaad K Manzar Hain Firozaan
Aisay Mein Koi Daikhnay Waala Bhi Nahi Hai

Is Umar K Sehra Main Tere Yaad Ka Baadal
Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai

Hamraah Bhi Khwaahish Sy Nahi Rehta Hamary
Aur Baam-E-Rafaaqat Sy Utarta Bhi Nahi Hai..!!

Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay

Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay
Acha Mola  Tere Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhay

Khail Ye Kaisa Khail Rahe Hai Dil Se Tere Mohabbat
Ik Pal Sarshaari De Or Dinon Malaal Mein Rakhay

Mein Ne Saari Khushbooain Aanchal Se Baandh Ke Rakheen
Shaayad In Ka Zikr Tu apnay Kisi Sawaal Mein Rakhay

Kisi Sy Tery Aanay Ki Sargoshi Ko Suntay He
Mein Ne Kitnay Phool Chunay Or Apni Shaal Mein Rakhay

Mushkil Bun Kar Toot Pari Hai Dil Per Ye Tanhai
Ab Jaanay Ye Kab Tak Isko Apnay Jaal Mein Rakhay..!!

Ye Kaisa Khoof Tha Rakht_E_Safar B Bhool Gaye

Ye Kaisa Khoof Tha Rakht_E_Safar B Bhool Gaye
Wo Kon Log They Jo Apny Gher B Bhool Gaye

Ye Kaisi Qowat_E_Parwaaz Dar Ny Paida Ki
Parinday Urrty Huye Apny Parr B Bhool Gaye

Dukhon Ny Cheen Le Aankhon Ki Saari Beynaai
Ham Us K Shehar To Kiya Rahguzar B Bhool Gaye

Khyaal Tha K Sunaien Gy Haal_E_Dil Lekin
Ham Us K Saamny Arz_E_Hunar B Bhool Gaye

Juda Huye Tu Khula Hai Tumhari Basti Mein
Ham Aik Dil He Nehe Chasham_E_Tarr B Bhool Gaye..!!

Yehi Nahe K Toofan Mere Talaash Mein Hai

Yehi Nahe K Toofan Mere Talaash Mein Hai
Ke Mausam-E-Gham-E-Jaanan Mere Talaash Mein Hai

Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai
Sitaarah-E-Shab-E-Hijraan Mere Talaash Mein Hai

Mein Faislay Ki Ghari Sy Guzar Chali Hun
Kisi Ki Deeda-E-Hairaan Mere Talaash Mein Hai

Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai
Ke Ik Qirya-E-Veeran Mere Talaash Mein Hai

Mein Teergi Mein Mohabbat Ki Ik Kahani Hun
Koi Charaagh Sa Unwaan Mere Talaash Mein Hai

Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko
Ke Ik Shakhas Pareshaan Mere Talaash Mein Hai..!!

Har Zarra-E-Umeed Se Khushbuu Nikal Aaye

Har Zarra-E-Umeed Se Khushbuu Nikal Aaye
Tanhai K Sehra Mein Agar Tu Nikal Aaye

Kaisa Lagay Is Baar Agar Mausam-E-Gul Mein
Titli Ka Badan Oorh Kar Jugnuu Nikal Aaye

Phir Din Teri Yaadon Ki Mundairon Pe Guzra
Phir Shaam Hoi Aankh Sy Aansoo Nikal Aaye

Be-Chain Kye Rehta Hai Dharka Yehi Ji Ko
Tujh Mein Na Zamanay Ki Koi Khu Nikal Aaye

Phir Dil Ne Kya Tark-E-Talluq Ka Iraada
Phir Tujh Sy Mulaqaat K Pehlu Nikal Aaye..!!

Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Me

Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Me
Ghubaar-e-Shab Ki Udasi Mein Dhal Rahi Huun Me

Ajeeb Barf Ki Barish Badan Pe Utri Hai
Ke Jis Ki Aag Mein Chup Chaap Jal Rahi Hun Me

Phir Ik Charaagh Jala Shaam Ki Haveli Mein
Phir Ik Dard Sy Aakhir Sambhal Rahi Hun Me

Ye Rakh Rakhaao Usay Jaanay Naheen Dy Ga
Ke Apny Aap Mein Kaisay Pighal Rahi Hun Me

Ye Ishq Sach Sy Juda Kaisay Ho Gaya Jaana
Ab Is Sawaal Sy Bahar Nikal Rahi Hun Me

Bas Ik Ishq Mere Zaat Per Saheefa Ho
Mery Khuda! Ye Aqeeda Badal Rahi Hun Me..!!

Ye Umar Bhar Ka Safar Or Ye Raaigaani Tere

Ye Umar Bhar Ka Safar Or Ye Raaigaani Tere
Kahan Gai Ay Mery Dil Wo Khush Gumaani Tere

Yahan Py Kon Andheron Mein Saath Chalta Hai
Tu Ab Be Saath Mery Hai Ye Meherbaani Tere

Tujhe Khabar Nahe Hum Daikh Kar Bohat Roye
Nai Kitaab Mein Tasweer Ik Puraani Tere

Abhe Sy Aablay Parnay Lagay Hain Paon Mein
Abhe Tu Door Hai Manzil Safar Kahaani Tere

Bhulaaye Baithay Hain Or Apny Haal Mein Khush Hain
Tu aake Daikh K Kbi Hum Ny Baat Maani Tere..!!

Mohabat Sy Rihaa Hona Zarori Ho Gaya Hai

Mohabat Sy Rihaa Hona Zarori Ho Gaya Hai
Mera Tujh Sy Juda Hona Zaroori Ho Gaya Hai

Wafa K Tajurby Karty Huye Tu Umer Guzri
Zara Sa Bewafaa Hona Zaroori Ho Gaya Hai

Mere Aawaaz Tanhai Mein Marti Ja Rehe Hai
Kisi Ka Ham Nawaa Hona Zaroori Ho Gaya Hai

Azaab_E_Zulmat_E_Shab Hai K Ab Dil K Labon Par
Koi Harf_E_Dua Hona Zaroori Ho Gaya Hai..!!

Kya Kya Hamary Khwaab They Jany Kahan Py Kho Gaye

Kya Kya Hamary Khwaab They Jany Kahan Py Kho Gaye
Tum Kisi K Sath Ho Ham B Kisi K Ho Gaye

Jany Wo Kyon They Kon They Ayee They Kis Liye Yahan
Wo Jo Fashaar_E_Waqat Mein Bojh Sa Ek Dhoo Gaye

Us Ki Nazar Ny Yon Kiya Gard_E_Malal_E_Jaan Ko Saaf
Abar Baras K Jis Tarah Saary Chaman Ko Dho Gaye

Kaatny Sy Or Barhti Hai Uthey Huye Sarsoon Ki Fasal
Apny Laho Sy Ahl_E_Dil Beej Ye Kaisa Boo Gaye

Jin K Bagair Ek Pal Jeena Bhe Muhaal Tha
Shaklein B Un Ki Bujh Gain Naam B Un K Kho Gaye

Aankhon Mein Bhar K Rut Jagy Raston Ko Dy K Doorian
Wo Apny Hamsafar Kaisy Mazay Sy So Gaye..!!

Follow Me