Its Request To You! Please Promote My Blog On Yours Facebook Account

Saturday 29 November 2014

Ham Sy Kya Pochtay Ho Hijar Mein Kya Karty Ho

Ham Sy Kya Pochtay Ho Hijar Mein Kya Karty Ho
Tery Lout Aany Ki Din Raat Dua Karty Hein

Ab Koi Hoont Nehe In Ko Churany Aaty
Mere Aankhon Mein agar Ashk Hua Karty Hein

Tere Tu Jany Par Aaye Jan_E_Tamana Hum To
Saans K Sath Tujy Yaad Kiya Karty Hein

Kabi Yaadon Mein Tujy Bahon Mein Bhar Laity Hein
Kabi Khwabon Mein Tujy Choom Liya Karty Hein

Tere Tasweer Laga Laity Hein Ham Seenay Sy
Pher Tery Khat Sy Tere Baat Kya Karty Hein

Gar Tujy Chorny Ki Soch Bhe Aaye Dil Mein
Hum Tu Khud Ko Bhe Wahein Choor Diya karty Hein..!!

Door Tujh Sy Guzri Har Ghari Likh Raha Hon

Door Tujh Sy Guzri Har Ghari Likh Raha Hon
Jo Beeta Hai Mujh Par Wo Sabhi Kuch Likh Raha Hon

Tu Ne Ghamoon Mein Uljhaya Hai Bohat
Me Naam Tery Apni Har Khushi Likh Raha Hon

Ye Umer Bhar Ka Bandhan Hai Do Chaar Din Ka Sath Nehe
Dil Mein Jitni Hai Chahat Sabhi Kuch Likh Raha Hon

Karo Mere Baat Ka Yaqeen Karty Karty Ho
Me Tery Liye Jo Kuch Bhe Hon Abi Likh Raha Hon

Nehe Kami Kisi Lafz Ki Ess Mein
Me Faqat Apni Ghazal Mein Tere Kami Likh Raha Hon

Shayad Tujhy Mera Acha Na Lagay Naam
Me Tery Liye Khud Ko Ajnabi Likh Raha Hon..!!

Latest Ghazal Urdu Poetry Poetry SMS Sad Ghazal Romantic Ghazal Funny Poetry

Kis Qadar Zulm Dhaya Karty Ho

Kis Qadar Zulm Dhaya Karty Ho
Ye Jo Tum Bhool Jaya Karty Ho

Kis Ka Ab Hath Rakh K Seeny Par
Dil Ki Dharkan Sunaya Karty Ho

Ham Jahan Chaye Peeny Jaty Thay
Kya Wahan Ab Bhi Aya Karty Ho

Kon Hai Ab K Jis K Chehray Par
Apni Palkon Ka Saaya Karty Ho

Kyun Mery Dil Mein Rakh Nehe Daity
Kis Liye Gham Uthaya Karty Ho

Phon Par Geet Jo Sunaty Thay
Ab Kis Ko Sunaya Karty Ho

Aakhiri Khat Mein Us Ny Likha Tha
Tum Mujhy Yaar Aaya Karty Ho..!!

Hijar Ki Pehli Shaam K Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay

Hijar Ki Pehli Shaam K Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay


Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
 Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay


Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Patt Jharr Ki
 Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay


Os Ne Kitnay Pyaar Sy Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
 Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Sy Karnay Aaye Thay


Kaisay Jati Mere Badan Sy Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mery Hamsaaye Thay..!!


Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh K Apny Saathi Ko
Pairr Py Bethi Ek Chirrya Ny Apny Per Phailaaye Thay


Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhain Os Ka Wo Kehna Haye
Qateel
Tum Ko Lout He Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay..!!

Ye Mojza B Muhabat Kabi Dikhaye Mujy

Ye Mojza B Muhabat Kabi Dikhaye Mujy
K Sang Tujh Py Girien Or Zakham Aye Mujy

Me Ghar Sy Tere Tamanna Jab Pehan K Niklon
Barhana Shehar Me Koi Nazar Na Aye Mujy

Wo Mera Dost Hai Sary Jahan Ko Hai Maloon
Dagha Karay Wo Kisi Sy To Sharam Aye Mujy

Wo Meharaban Hai To Iqraar Kyun Nehe Karta
Wo Badgumaan Hai To So Baar Aazmaye Mujy

Me Apni Zaat Mein Neelaam Ho Raha hon
Gham_E_Hayaat Sy Keh Do K Khareed Lain Mujy..!!

Tery Mehndi Lagy Hathon Py Mera Nam Likha Hai

Tery Mehndi Lagy Hathon Py Mera Nam Likha Hai
Zara Sy Lafz Mein Kitna Paigham Likha Hai

Ye Teri Shan K Shayaan Nahin Lakin Majbori
Teri Masti Bhari Ankhon Ko Me Ny Jaam Likha Hai

Mein Shayar Hon Magar Agay Na Barh Paye Riwayat Sy
Labon Ko Pankhrri Zulfon Ko Me Ny Sham Likha Hai

Muje Mout Aye Gi Jab Bhi Tery Pehlu Mein Aye Gi
Tere Gham Ny Bohat Acha Mera Anjam Likha Hai

Meri Qismat Mein Hai Ek Din Griftar-E-Wafa Hona
Mere Chehre Py Tery Pyar Ka Ilzam Likha Hai

Ek Khubsurt Bohat Hai Jiska Me Pojari Hon Qateel
Mery Mazhab K Khaney Me Magar Islam Likha Hai..!!

Friday 28 November 2014

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Ab Na Aayein Gy Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay

Kya Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon K Siwa ?
Aay Rait Py Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay

Sab Ny Pehna Tha Baray Shoq Sy Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay

Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Py Likha Jaye Ga
So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay

Dar-o-Deewaar Py Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay..!!

Tujh Ko Maloom Hai Kitni Tujhy Izzat Di Hai

Tujh Ko Maloom Hai Kitni Tujhy Izzat Di Hai
Sari Dunia Sy Juda Tujh Ko Muhabat Di Hai

Aankh Badlo Gay Ager Mujh Sy Tu Mar Jain Gay
Itni Hassas Mujy RAB Ny Tabiyat Di Hai

Chornna Chaho Jahan Sath Wahein Ruk Jana
Dil Na Maany Ga Magar Me Ne Ijaazat Di Hai

Tere Aankhon Ki Qasam Zindagi Samjha Hai Tujhy
Tujh Ko Kuch Soch K Sandoon Mein Sharakat Di Hai..!!

Kabi Ruk Gaye Kabi Chal Diye Kabi Chalty Chalty Bhatak Gay

Kabi Ruk Gaye Kabi Chal Diye Kabi Chalty Chalty Bhatak Gay
Yon He Umer Saari Guzar Di Yon He Zindagi K Sitam Sehay

Kabi Neend Mein Kabi Hosh  Mein Tu Jahan Mila Tujhy Daikh Kar
Na Nazar Mile Na Zubaan Hile Yon He Sar Jhuka K Guzar Gay

Kabi Zulf Par Kabi Chasham Par Kabi Tery Haseen Wajood Par
Jo Pasand They Mere Kitaab Mein Wo Shair Sary Bikhar Gay

Mujy Yaad They Kabi Aik They Magar Aj Hein Ham Jujda Juda
Gham_E_Aashiqi Tera Shukria Ham Kahan Kahan Sy Guzar Gay..!!

Mujy Khamoosh Rahon Mein Tera Sath Chahye

Mujy Khamoosh Rahon Mein Tera Sath Chahye
Tanha Hai Mera Hath Tera Hath Chahye

Muj Ko Mery Muqadar Par Itna Tu Yaqeen Hai
Tujh Ko Bhe Mery Lafz Mere Baat Chahye

Mujhe Khamosh Raho mai Tera saath chaihye
Tanha Hai Mera Hath tera Hath Chahiye!..

Ehsaas_E_Muhabat Tery He Wasty Hai Lekin
Junoon_E_Ishq Ko Tere Har Soghaat Chahye

Tu Mujh Ko Pany Ki Khahish Rakhta Hai Shyed
Mujhy Har Haal Mein Tera Sath Chahye..!!

Muhabat Tu Muhabat Hai

Muhabat Mein Shumaar Kaisa

Yaqeen Kaisa

Ghuman Kaisa

Arooj Kaisa

Zawaal Kaisa

Sawaal Kaisa

Jawaab Kaisa

Muhabat Tu  Muhabat Hai

Muhabat Mein Hisaab Kaisa..!!

Muhabat Ab Nehe Ho Ge

Sitary Jo Dhamaktay Hein
Kisi Ki Chashm_E_Hairaan Mein

Mulaqaatein Jo Hoti Hein
Jamaal_E_Aber_O_Baraan Mein

Ye Na Aabaad Waqtoon Mein
Dil_E_Naa Shaad Mein Ho Ge

Muhabat Ab Nehe Ho Ge

Ye Kuch Din Baad Mein Ho Ge
Guzer Jaien Gay Jab Ye Din

Ye In Ki Yaad Mein Ho Ge
Muhabat Ab Nehe Ho Ge..!!

Sad Petry Phiron Me Tery Liye Darbadar Naseeb Mera

Phiron Me Tery Liye Darbadar Naseeb Mera
Mery Khuda Ny Banaya Safar Naseeb Mera

Mera Wajood Hai Paani Mein Chand Ki Soorat
Samandron Ny Banaya Bhanwar Naseeb Mera

Bus Aik Lamhy Ko Palkein Jhapak Gayein Mere
Wo Mujh Ko Mil Tu Gaya Tha Mager Naseeb Mera

Ye Dukh Liye Nehe Me Ny Diye Gaye Mujh Ko
Ye Faasla Ye Thakan Ye Diggar Naseeb Mera

Me Dair Ka Safar Bandh Lon Ge Peron Mein
Hamesha Sath Rahy Ga Ager Naseeb Mera..!!

Daikh Laina K Kisi Dukh Ki Kahani Tu Nehe

Daikh Laina K Kisi Dukh Ki Kahani Tu Nehe
Ye Jo Aansoo Hein Kehein Us Ki Nishani Tu Nehe

Dikh Rehe Hai Jo Mujhy Saaf Tere Aankhon Mein
Tu Ne Ye Baat Kahein Mujh Sy Chupani Tu Nehe

Jis Tarah Shehar Sy Nikla Hoon Mein Beemar Tera
Ye Ujarna Hai Koi Nakal Makani Tu Nehe

Ye Jo Har Morr Py Aa Milti Hai Mujh Sy
Badnaseebi Bhe Kehein Mere Deewaani Tu Nehe..!!

Thursday 27 November 2014

Ab Jo Bikhry To Bikharne Ki Shikayat Kesi

Ab Jo Bikhry To Bikharne Ki Shikayat Kesi?
Khushk Patton Ki Hawaon Se Rafaqat Kesi?

Maine Her Dour Mein Bus Us Se Mohabbat Ki Hai
Jurm Sangeen Hai Ab Is Mein Riaayat Kesi?

Ek Patta Bhi Agar Shaakh Se Juda Hota Hai
Kya Kahun Dil Py Guzarti Hai Qayamat Kesi?

Zindagi Tujhko To Lamhon Ka Safar Kehte Thay
Raah Mein Aa Gaye Sadiyon Ki Musafat Kesi?

Hawa K Doush Pe Rakhe Hue Chiragh Thay Hum
Jo Bujh Gaye To Hawaon Se Shikayat Kesi?..!!

Tum Ne To Keh Diya Ke Muhabbat Nahi Mele

Tum Ne To Keh Diya Ke Muhabbat Nahi Mele
Mujh Ko To Ye Bhi Kehney Ki Mohlat Nahi Mele

Neendoon Ke Daiss Jatey Koi Khawab Dekhtey
Lakin Diya Jalaney Sy Fursat Nahi Mele

Tujh Ko To Shehar Ke Logoon Ka Khauff Tha
Aur Mujh Ko Apny Ghar Sy Ijazat Nahi Mele

Phir Ikhtilaf-e-Raye Ki Soorat Nikal Pari
Apni Yahan Kisi Sy Bhi Aadat Nahi Mele

Be Zaar Yun Hue Ke Tere Ehad Mein Hamein
Sab Kuch Mila Sukoon Ki Dolat Nahi Mele..!!

Mohabbat Phool Hai Jana Kaho To Phool Ban Jaon

Mohabbat Phool Hai Jana Kaho To Phool Ban Jaon 

Tumhari Zindagi Ka AikHaseen Asool Ban Jaon 

Suna Hai Rait Pe Chal K Tum Aksar Mehek Jaty Ho 

Kaho To Abb K Bar Mein Zameen Ki Dhool Ban Jaon 

Buhut Nayab Hote Hen Jinhey Tum Apna Kehte Ho 

Ijazat Do K Mein Bhi Is Qadr Anmol Ban Jaoon..!!

Nazar-e-Mohabat Ka Kya Tawaan Chahte Ho

Nazar-e-Mohabat Ka Kya Tawaan Chahte Ho?
Dil Chahte Ho Ya Jaan Chahte Ho?

Parwa Nahi Anjam_E_Muhabbat Jo B Ho
Bus Ab Faisla Suna Do Jo Tum Chahtay Ho?

Phoolon Ki Gali Ho Ya Ho Kanton Ki Dagar
Le Jao Sanam Wahan Jahan Tum Chahte Ho

Be-His tum Nahi to Khamosh Q Ho?
Me Ne Kar Di Haan Ab Or Kiya Chahte Ho?..!!

Neend Aankhon Main Musallat Nahi Hone Deta

Neend Aankhon Main Musallat Nahi Hone Deta
Wo Mera Khwaab Mukammal Nahi Hone Deta

Aankh Ke Sheesh-Mehal Se Wo Kisi Bhi Lamhe
Apni Tasveer Ko Ojhal Nahi Hone Deta

Raabta Bhi Nahi Rakhta Hai Sar-e-Wasl Koi
Or Talluq Bhi Muattal Nahi Hone Deta

Wo Jo Aik Sheher Hai Pani Ke Kinaare
Apne Atraaf Main Dal-Dal Nahi Hone Deta

Dil Tou Kehta Hai Usse Lout Ke Aana Hai Yahan Hee
Ye Dilasa Hee Tou Hai Jo Mujhe Pagal Nahi Hone Deta..!!

Shikwy Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai

Shikwy Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai
 Is Dil Ko Magar Usse Mohabat Bhi Bohat Hai

Aa Jata Hai Milne Wo Tasawwoor Mai Hamare
 Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat Bhi Bohat Hai

Yeh Bhi Hai Tamanna Kai Use Dil Se Bhula Dein
 Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat Bhi Bohat Hai

Dekhein Tu Zara Pee Ke Hum Zehr-E-Mohabbat
 Sunte Hain Kai Is Zehr Mai Lazzat Bhi Bohat Hai..!!

Ye Kaisy Morrh Par Ly Aayi Hai Judayi Teri

Ye Kaisy Morrh Par Ly Aayi Hai Judayi Teri
Ab Maut Maangti Hai Mujhsy Tanhayi Meri

Main Zaat Ka Wafashaar Hoon Aye Jaan-E-Wafa
Meri Galti Ko Na Samajh Bewafai Meri

Mery Gunahon Ki Saza Mujh Tak Hi Rehne De
Ab Aur Na Dikha Mujhe Ruswai Meri

Ye Kaisy Mod Par Le Aayi Hai Judai Teri
Ab Maut Mangti Hai Mujhse Tanhayi Meri..!!

Ankhon Sy Mere Iss Liye Lali Nahi Jati

Ankhon Sy Mere Iss Liye Lali Nahi Jati
 Yadoon Sy Koi Raat Jo Khali Nahi Jati

 Ab Umar Na Mosam Na Woh Rasty Keh Palattay
 Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati

 Aya Koi Aaker Ya Tere Dard Sambhaley
 Hum Sy To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati

 Maloom Humay Bhe Haan Bohat Se Tery Qisay
 Har Baat Tere Hum Sy Uchali Nahe Jati

 Humrah Tere Phool Khilati Then Jo Dil Mein
 Abb Sham Woh Dard Sy Khali Nahe Jati

 Hum Jaan Sy Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi
 Tum Sy Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati..!!

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai
Mujhy To Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai

Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta
Mujhy To Apne Hi Yaaron Sy Khauf Aata Hai

Khiza Ka Jabar Tou Seeny Pay Rok Lete Hain
Hamein Udaas Bahaaron Sy Khauf Aata Hai

Mily Hain Dosto Besaakhiyon Sy Gham Itne
Mery Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai

Main Iltifaat Ki Khandaq Sy Door Rehta Hun
Taalluqaat K Gaaron Sy Khauf Aata Hai..!!

Tuesday 25 November 2014

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
 Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
 Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?

Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say
 Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi

Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain
 Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi

Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas
Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal
 Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi

Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali
 Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi
 Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi

Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi..!!

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
 Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
 Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
 Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Me Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah..!!

Monday 24 November 2014

Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
 Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
 Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai

Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
 Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai

Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
 Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai

Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
 Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai

Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
 Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai

Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Saghar
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai..!!

Wo Bulaayein To Kya Tamasha Ho

Wo Bulaayein To Kya Tamasha Ho
 Hum Na Jayein To Kya Tamasha ho

Ye kinaron Ye Khelne Wale
 Doob Jayein To Tia Tamasha Ho

Banda Parvar jo Hum Pe Guzri Hai
 Hum Batain To Kya Tamasha Ho

Aaj Hum Bhi Teri Wafaon Per
 Muskrain To Kya Tamasha Ho

Teri Surat jo Itefaq Se Hum
 Bhool Jayein To Kya Tamasha Ho

Wakt Ki Chand Saaaten Saghar
 Laut Ayein To Kya Tamasha Ho..!!

Aaj Roothay Huay Sajan Ko Bohat Yaad Kiya

Aaj Roothay Huay Sajan Ko Bohat Yaad Kiya
 Apnay Ujray Huay Gulshan Ko Bohat Yaad Kiya

Jab Kabhi Gardish-e- Taqdeer Ne Gheara Hai Hamain
 Gaisua-e- Yaar Ki Uljhan Ko Bohat Yaad Kiya

Shama Ki Jot Pe Jaltay Huay Parwanon Ny
 Ik Tere Shola Daman Ko Bohat Yaad Kiya

Jis Ke Mathay Py Nayee Subah Ka Jhoomar Hoga
 Hum Ne Uss Waqt Ki Dulhan Ko Bohat Yaad Kiya

Aaj Tootay Huay Sapnon Ki Bohat Yaad Aayee
 Aaj Beetay Huay Sawan Ko Bohat Yaad Kiya

Hum Sar-e- Tor Bhi Mayoos-e- Tajalli Hi Rahay
 Is Dar-e- Yaar Ki Chilman Ko Bohat Yaad Kiya

Mutmayeen Ho Hi Gaye Dam-o- Qafas Main Saghar
 Hum Aseeron Ne Nasheman Ko Bohat Yaad Kiya..!!

Usko Fursat Hi Nahi Waqt Nikaly Mohsin

Usko Fursat Hi Nahi Waqt Nikaly Mohsin
Aise Hote Hain Bhala Chahny Waly Mohsin

Yaad K Dasht Mein Phirta Hon Main Nangy Paon
Daikh To Aa K Kabhi Paon K Chahly Mohsin

Kho Gayi Subha Ki Ummeed Aur Ab Lagta Hai
Hum Nahi Hon Gay K Jab Hon Gay Ujale Mohsin

Khaak Ko Bhi Nahi Pohanchy Ga Koi Karbala Ki
Ab Bhaly Aik Jahan Khoon Mein Naha Lay Mohsin

Me Kahan Hakim-e-Waqt Kahan, Adal Kahan
Kyon Na Khalqat Ki Zuban Par Lagain Taale Mohsin

Wo Jo Ik Shakhs Mata-e-Dil-o-Jaan Tha Na Raha
Ab Bhala Kon  Mery Dard Sambhaly Mohsin..!!

Bharkain Mere Pyas Ko Akser Tere Aankhien

Bharkain Mere Pyas Ko Akser Tere Aankhien
Sehra Mera Chehra Hai Samandar Tere Aankhein

Pher Kon Bhal Dad_E_Tabasum Unhein Dain Gay
Roein Ge Bohat Mujh Sy Bichar Kar Tere Aankhein

Bojhal Nazar Aati Hein Bazaahir Mujy Lakin
Khilti Hein Bohat Dil Mein Uter kar Tere Aankhein

Ab Tak Mere Yaadon Sy Mitaye Nehe Mittay
Bheegi Hui Shaam Ka Manzar Tere Aankhein

Mumkin Ho Tu Ek Taza Ghazal Or Bhe Keh Lon
Pher Ooorah Na Lein Khawab Ki Chadar Tere Aankhein

Yon Daikhty Rehein Usay Acha Nehe Mohsin
Wo Kaanch Kar Paykar Hai Tu Pather Tere Aankhein..!!

Aay Kash K Wo Raat jaldi Sy Aaye

Aay Kash K Wo Raat jaldi Sy Aaye
Jab Tu Apni Unglion Sy Mery Baalon Ko Sehlaye

Me Dheery Dheery Juda Karon Libaas Tery Jism Sy
Or Tu Madhooshi Me Muj Sy Lipat Jaye

Me Choomo Tery Jism Ko Kuch Es Tarah
K Be_Khuddi Mein Tere Aaaah Nikal Jaye

Mery Jalty Hont Jab Milein Tery Honton Sy
Mery Dehakty Jism Me Halchal Se Mach Jaye..!!

Sunday 23 November 2014

Itna Tu Mery Haal Pe Ehsaan Kiya Kar

Itna Tu Mery Haal Pe Ehsaan Kiya Kar
Aankhon Sy Mera Dard Pehchaan Liya kar

Koi Sath Dy Safar Mein Bohat Thak Gaya Hon Me
Kuch Pal Hoon Tery Sath Mere Maan Liya Kar

Afsaany Mohabat K Adhooray Kabi Na Choor
Har Jurm_E_Wafa Ka Mujh Sy Bayaan Liya Kar

Muddat Hui Hai Es Aas Par Thehray Huye Hein
Bhooly Sy He Tou Kabi Mera Naam Liya Kar

Tu Apni Zaat Sy Wabasta Kar Mujy
Ho Kar Khafa Youn Muj Sy Na Mere Jaan Liya Kar..!!

Mujh Se Kehta Hy Kabhi DiL Mein Malaal Aatay Hain

Mujh Se Kehta Hy Kabhi DiL Mein Malaal Aatay Hain?
Kaisy Kaisy Mery Dushman Ko Sawal Aatay Hain

Ye Jo Hum Rotay Hain Chupi Kr Kabi Tanhai Mein
 Rafta Rafta Tujy Aankhon sy Nikaal Aatay Hain

 Hum Mohabat Pe B Ehsaan Koi Rakhty Nahi
 Naikiyan Krty Hain Daryaaon Mein Daal Aatay Hain

 Ye To Saanson K Ukharr Janay K Din Hain
 Aisay Mousam Mein Kahan Jaah-o-Jalaal Aatay Hain

 Bas Esi Khouf Se Soye Nahi Ek Muddat Se
 Hijar Milta Hy Agr Khawaab Wisaal Aatay Hain

 Phool Khil Jaen To us Shakhs Sy Km Km Milna
 Aisay Mousam Mein Mohabat Pe Zawaal Aatay Hain..!!

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do

Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do

Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do

Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do

Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do

Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do..!!

Koochay Sy Tery Uthaien Tu Pher Jain Kahan

Angrai B Wo Lainy Na Paaye Utha K Hath
Daikh Jo Muj Ko Chor Diya Mukura K Hath

Ye B Neya Sitam Hai Hina Tu Lagaien Ghair
Or Es Ki Daad Chahy Wo Muj Ko Dikha K Hath

Qaasid Tery Bayan Sy Dil Aisa Thehar Gaya
Goya Kisi Ny Rakh Diya Seeny Pay Mery Hath

Koochay Sy Tery Uthaien Tu Pher Jain Kahan
Baithy Hein Ye Dono Jahan Sy Utha K Hath..!!

Gazab Hai Tera Naqaab Saqi

Gazab Hai Tera Naqaab Saqi
Pila Dy Muj Ko Sharab Saqi

Inhe Ko Choony Ki Aarzo Hai
Ye Hont Hein Gulaab Saqi

Suna Hai Tery He Hath Sy Hai
Isi Ka Peena Sawaab Saqi

Hashar Mein Khud Toor Dain Gay
Ye Aap Apna Hijaab Saqi

Bary Dino Sy Piya Nehe Hai
Na Maang Muj Sy Hisaab Saqi

Ye Meay Kadda Hai Hazaar Fitny
Laa pilaa Dy Sharab Saqi..!!

Choom Laiti Hai Latak Kar Kabi Chehra Kabi Lab

Chasham_E_Saqi Ne Kya Kaiel Racha Rakha Hai
Koi Zahid Koi Mae_Khwaar Bana Rakha Hai

Jo Phansa Pher Na Kabi Us Ny Rehaai Mangi
Tere Zulfon Ne Ajab Jaal Bicha Rakha Hai

Husan Ishq Ho Dono Ka Asar Yaksaan Hai
Cheez Hai Aik Magar Naam Juda Rakha Hai

Choom Laiti Hai Latak Kar Kabi Chehra Kabi Lab
Tum Ny Zulfon Ko Bohat Sar Par Charha Rakha Hai

Tere Makhmoor Nigahon Sy Hai Ronak Sari Warna
Saqi Tery Mae Khaany Mein Kya Rakha Hai..!!

Khamoshi Bol Uthe, To Har Nazar Paighaam Ho Jaye

Khamoshi Bol Uthe  To Har Nazar Paighaam Ho Jaye
Ye Sannata Agar Had Se Badhe To Kohraam Ho Jaye

Sitaray Mashalein Le Kar Mujhy Bhi Dhoondny Niklain
Mein Rasta Bhool Jaoon To Junglon Mein Shaam Ho Jaye

Men Wo Adam-E-Guzedaan Hoon Jo Tanhai K Sehra Mein
Khud Apni Chaap Sun Kar Larza Bar-Andaam Ho Jaye

Misaal Aisi Hai Is Daur-E-Khirad K Hosh Mandon Ki
Na Ho Daaman Mein Zar’ra Aur Sehra Naam Ho Jaye

Apny Tarruf Ke Liye Ye Baat Kaafi Hai
Hum Is Se Bach Ke Chalte Hen Jo Rasta Aam Ho..!!

Tuesday 18 November 2014

Sukoon-E-Jaan K Liye Dua Kaisy Karon

Sukoon-E-Jaan K Liye Dua Kaisy Karon

Dard To Usny Diya Hai Gilaa Kaisy Karon

Aksar Lout Aata Hon Manzil Se Ye Soch Kar

Mukammal Ye Safar Usky Bina Kaisy Karon

Thi Koi Mery Hi Hathon Ki Lakeeron Mein Kami

Apni Taqdeer Ka Us Sy Gila Kaisy Karon

Ab Munasib Hai Yahi Usko Bhula Doon

Par Apni Rooh Ko Jism Sy Juda Kaisy Karon

Sochta Hon K Main Hi Mar Jaoon

Lekin Us Ko Zamany Mein Akela Kaisy Karon...!!

Rishty Jo Pyaar K They

Rishty Jo Pyaar K They Sabhi Chootty Gaye
Bandhan Bhe Saar Zabt K Pher Tootty Gaye

Khawab_O_Khyaal Ban Gaien Yaaron Ki Mehfilien
Ek Ek Kar K Yaar Sabhi Roothty Gaye

Sab Dard Dil Mein Bhar Liye Suckh Ki Talash Mein
Hamdard Ban K Log Hamein Lootty Gaye

Milti Rahein Sazaaein Hamein Pyaar K Eawazz
Apni Khahishoon Ka Galla Ghontty Gaye..!!

Mera Kya Tha Tery Hisaab Mein

Mera Kya Tha Tery Hisaab Mein
Mera Har Saans Udhaar Tha

Jo Guzar Gaya Wo Waqat Tha
Jo Bacha Raha Wo Gubaar Tha

Tere Aarzoo Mein Ury They
Chand Khusk Patty Channar K

Jo Hawaa K Doch Sy Gir Pary
Un Mein Aik Ye Khaksaar

Wo Udaas Udaas Ek Shaam The
Ek Chehra Tha Ek Charagh Tha

Or Kuch Nehe Tha Zameen Par
Aik Aasman Ka Ghubaar Tha

Bare Soofion Se Khayal The
Or Biyan Bhe Us Ka Kamal Tha

Kaha Me Ny Kab K Wali The Wo
Ek Shakhs Tha Badda Khaar Tha..!!

Dost Milty Hein Yahan Dil Ko Dukhany K Liye

Dost Milty Hein Yahan Dil Ko Dukhany K Liye
Ungliyaan Rakhty Hein Wo Ham Uthany K Liye

Kya Kasoor Un Ka Ye Ek Rasam Chalii Ai Hai
Tohmatein Hoti Hein Duniya Mein Lagany K Liye

Naa Khudaa Maan K Baithy Hein Jin Ki Kashti Mein
Wo Hamein Moujon Mein Lay Aye They Douboony K Liye

Wo Hawaaon Ki Tarah Rukh Ko Badal Laity Hien
Ham Naseebon Sy Lary They Jinhein Paany K Liye..!!

Pather Bana Diya Mujy Roony Nehe Diya

Pather Bana Diya Mujy Roony Nehe Diya
Daman Bhe Tery Gham Ne Bhegoony Nehe Diya

Tanhaiyan Tumhara Pata Pochti Rehein
Shab Bhar Tumhari Yaad Ne Sony Nehe Diya

Aankhon Mein Aa K Baith Gaye Ashkoon Ki Lehar
Palkoon Py Koi Khwaab Piroony Nehe Diya

Dil To Tumhary Naam K Aansoo Aziz They
Duniya Ka Koi Dard Samoony Nehe Diya

Youn Us Ki Yaad Chali Hath Thaam K
Mealy Mein Ess Jahan K Khony Nehe Diya..!!

Ma Ne Haq-E-Mohabat Ada kiya,

Ma Ne Haq-E-Mohabat Ada kiya,
Na kabhi kisi Se Gila kiya

Mujhay Ajab iska Sila Mila,
Mujhay Dil Se Uss Ne Bhula Diya

Mohabaton ki kitaab ka,
Har Ek Warq jala Diya

Wo jo Aarzu ka Chiraag Tha,
Usay Nafratoon Se Bujha Diya

Mujhay Zakhm phir Ek Nyaa Diya,
Mujhay iss MOHABAT Ne kya Diya

Wo jo kehtey Thay khush Raho..
Wo jo kehtay Thay Meri jaan Ho Tum..
Her Lamha Hansa karo..

Mujhay Aaj Unhoon Ne Rula Diya,
Mera Nishaan Tak Mita Diya...!!

Tum Pocho Or Ham Na Batein Ab Aisy Tu Halaat Hehe

Tum Pocho Or Ham Na Batein Ab Aisy Tu Halaat Hehe

Bass Aik Zara Sa Dil Toota Hai Or To Koi Baat Nehe

Kiss Ko Khabar The Sanwaly Badal Bin Barsay Urr Jaty Hein

Sawan Aya Tha Par Shayed Apni Qismat Mein Barsaat Nehe

Mery Ghamgeen Hony Par Ahbaad Sabhi Hein Heyrat Mein

Jaisa Pather Hoon Me Mery Koi Jazbaat Nehe

Gham K Andheary Mein Tuj Ko Apna Sath Kya Manoon

Tu Pher Tu Hai Mera Saaya Bhe Mery Sath Nehe..!!

Sunday 16 November 2014

Chahoo Jo Mere Khataon Ki Saza Do Muj Ko

Chahoo Jo Mere Khataon Ki Saza Do Muj Ko
Par Khata Kya Hai Zara Itna Bata Do Muj Ko

Meny Chaha Tha Tumhein Aisy Tu Aakhir Kyun Kar
In Wafaon K Sily Aisi Wafa Do Muj Ko

Bhoolna Tum Ko Hamary Liye Namumkin Hai
Jo Ho Saky Tu Sanam Tum He Bhula Do Muj Ko

Ab Ager Soch He Liya Hai  Jo Qatta Ka
Me Mar He Jaon Koi Aisi Saza Do Muj Ko..!!

Sad Poetry|Meri Ankhon Ke Smndar Men Jalan Kaisi Hai

Meri Ankhon Ke Smndar Men Jalan Kaisi Hai
Phir Dil ko Tarpne Ki Lagan Kaisi Hai

Barf K Rup Mein Dhal Jayengy Rishtey
Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai!

Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahin
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai

Me Teray Wisaal Ki Khuwahish Ko Na Marny Doonga
Mausam-E-Hijar K Lehjy Mein Thakan Kaisi Hai

Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida
Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai

Mujhy Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata Hai
Usey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai..!!

Latest Poetry Urdu Ghazal Romentic Poetry Latest Ghazal

Teri Wafa Wafa Jana
Meri Mohabbat Kuch Bhi Nahi?

Tera Dard Dard Thehra
Merz Zakham Kuch Bhi Nahi?

Tumhari Baat Pathar Ki Lakeer
Meri Iltija Kuch Bhi Nahi?

Tujh Mein Ana Samandar jesi

Mere Maan Kuch Bhi Nahi?

Tera Gham Gham Hua
Kya Mere Aansu Kuch bhi Nahi?

Tera Wajood Sab Kuch Jana
Kya Meri Hasti Kuch Bhi Nahi..!!

Saturday 15 November 2014

Teri Nigah Ke Jaadoo Bikhartey Jate Hain

Teri Nigah Ke Jaadoo Bikhartey Jate Hain
Jo Zakhm Dil Ko Miley The Wo Bhartey Jate Hain

Tere Baghair Wo Din Bhi Guzar Gaye Akhir
Tere Baghair Yeh Din Bhi Guzarty Jate Hain

Liye Chalo Mujhe Dariya-E-Shauq Ki Maujon!
Ke Humsafar To Mere Paar Utartey Jate Hain

Tamam Umr Jahan Hanstey Kheltey Guzri
Ab Us Gali Mai Bhi Hum Dartey Dartey Jate Hain

Mai Khuwahishon Ke Gharondey Banaaye Jata Hun
Wo Mehnatein Meri Barbaad Kiye Jate Hain..!!

Koi Surat Aashna Apna Na Begana Koi

Koi Surat Aashna Apna Na Begana Koi
Kuch Kaho Yaaron Yeh Basti Hai Ke Weerana Koi

Subha-Dum Dekha To Sara Bagh Tha Gul Ki Tarah
Shama Ke Taaboot Par Roya Na Parwaana Koi

Khilwaton Mai Roye Gi Chup Chup Ke Laila-E-Ghazal
Is Bayabaan Mai Na Ab Aye Ga Deewaana Koi

Hum-Nasheen Khamosh, Deewarein Bhi Sunti Hain Yahan
Raat Dhal Jaye To Phir Chairenge Afsaana Koi..!!

Yeh Na Thi Hamari Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota

Yeh Na Thi Hamari Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeetey Rehte, Yahi Intizar Hota

Tere Wadey Par Jiye Hum, To Yeh Jaan Jhoot Jana
Ke Khushi Se Mar Na Jate Agar Aetibaar Hota

Teri Nazuki Hai Jana Ke Bandha Tha Ehd Booda
Kabhi Tu Na Torr Sakta, Agar Ustawaar Hota

Koi Mere Dil Se Pooche, Tere Teer-E-Neemkash Ka
Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota

Yeh Kahan Ki Dosti Hai Ke Bane Hai Dost Naseh
Koi Chara Saaz Hota, Koi Gham Gusaar Hota

Rag-E-Sang Se Tapakta Wo Lahoo Ke Phir Na Thamta
Jise Gham Samajh Rahe Ho Yeh Agar Sharaar Hota

Gham Agarcha Jaan-Gusal Hai, Yeh Bachpan Kahan Ke Dil Hai!
Gham-E-Ishq Gar Na Hota, Gham-E-Rozgaar Hota

Kahun Kis Se Mai Ke Kiya Hai, Shab-E-Gham Buri Bala Hai
Mujhe Kiya Bura Tha Marna, Agar Ek Baar Hota

Hue Mar Ke Hum Jo Ruswaa Kiyu Na Gharq-E-Dariya
Na Kabhi Janaza Uthtey, Na Kahin Mazaar Hota

Isse Kon Dekh Sakta Ke Yagana Hai Wo Yaktaa
Jo Doii Ki Boo Bhi Hoti To Kahin Do’chaar Hota

Yeh Masail-E-Tasawuf, Yeh Tera Bayaan Ghalib
Tujhe Hum Wali Samajhte Jo Na Bada-Khuwar Hota..!!

Ye Hum Jo Hijr Mai Deewar-O-Dar Ko Dekhte Hain

Ye Hum Jo Hijr Mai Deewar-O-Dar Ko Dekhte Hain
Kabhi Saba Ko Kabhi Nama’bar Ko Dekhte Hain

Wo Aaen Ghar Mai Hamare Khuda Ki Qudrat Hai
Kabhi Hum Un Ko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain

Nazar Lage Na Kahin Us Ke Dast-O-Zaboo Ko
Yeh Log Kiyu Mere Zakhm-E-Jigar Ko Dekhte Hain

Tere Jawahir-E-Taraf-E-Kala Ko Kiya Dekhen
Hum Uuj-E-Talaa-E-Laal-O-Gohar Ko Dekhte Hain..!!

Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Na Hota To Khuda Hota

Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Na Hota To Khuda Hota
Duboya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Mai To Kiya Hota

Hua Jab Gham Se Yun Be’hiss To Gham Kiya Sar Ke Katne Ka
Na Hota Gar Judaa Tann Se To Zaanoo Par Dhara Hota

Hui Muddat Ke Ghalib Mar Gaya, Par Yaad Aata Hai
Wo Har Ik Baat Par Kehna Ke Yun Hota To Kiya Hota..!!

Dil-E-Naadan Tujhe Hua Kiya Hai Akhir Is Dard Ki Dawa Kiya Hai

Dil-E-Naadan Tujhe Hua Kiya Hai
Akhir Is Dard Ki Dawa Kiya Hai

Hum Hain Mushtaq Aur Wo Bezaar
Ya Ellahi Yeh Maajra Kiya Hai

Mai Bhi Mu Mai Zubaan Rakhta Hun
Kaash Poocho Ke Mudda Kiya Hai

Jab Ke Tujh Bin Nahi Koi Mojood
Phir Yeh Hangama Aey Khuda Kiya Hai

Yeh Pari Chehra Log Kaise Hain
Ghamza-O-Ishwa-O-Adaa Kiya Hai

Shikan-E-Zulf-E-Ambreen Kiyu Hai
Nigah-E-Chashm-E-Surma Sa Kiya Hai

Sabza-O-Gul Kahan Se Aaye Hain
Abr Kiya Cheez Hai, Hawa Kiya Hai

Hum Ko Un Se Wafa Ki Hai Umeed
Jo Nahi Jaante Wafa Kiya Hai

Haan Bhala Kar Tera Bhala Ho Ga
Aur Darwesh Ki Sada Kiya Hai

Jaan Tum Par Nisar Karta Hun
Mai Nahi Jaanta Dua Kiya Hai

Mai Ne Maana Ke Kuch Nahi Ghalib
Muft Hath Aye To Bura Kiya Hai..!!

Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona

Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
Aadmi Ko Bhi Mayassar Nahi Insaan Hona

Giryaa Chahe Hai Kharabi Mere Kashaane Ki
Dar-O-Deewar Se Tapke Hai Bayabaan Hona

Waye Deewangi-E-Shauq Ke Har Dum Mujh Ko
Aap Jana Udhar Aur Aap Hi Hairaan Hona

Ishrat-E-Qatal Ke Ahl-E-Tamanna Mat Pooch
Eid-E-Nazara Hai Shamsheer Ka Uriyaan Hona

Le Gaye Khaak Mai Hum Daag-E-Tamanna Aey Nishat
Tu Ho Aur Aap Ba’sad Rang-E-Gulistaan Hona

Ki Mere Qatal Ke Baad Us Ne Jafa Se Toba
Haye Is Zood Pashaiman Ka Pashaiman Hona

Haif Is Chaara’gar Kapre Ki Qismat Ghalib!
Jis Ki Qismat Mai Ho Aashiq Ka Girebaan Hona..!!

Hazaron Dukh Paren Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti

Hazaron Dukh Paren Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti

Hai Tum Se Bas Yahi Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti

Tera Har Baar Mere Khat Ko Parhna Aur Ro Dena

Mera Har Baar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti

Kiya Tha Hum Ne Campus Ki Nadi Par Ik Haseen Wada

Bhale Hum Ko Pare Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti

Jahan Mai Jab Talak Panchi Chehekte Urte Phirte Hain

Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti

Puraane Aihd Ko Jab Zinda Karne Ka Khayal Aaye

Mujhe Bas Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti

Wo Tera Hijr Ki Shab Phone Rakhne Se Zara Pehle

Bohot Rote Hue Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti

Agar Hum Hasraton Ki Qabr Mai Hi Dafan Ho Jayen

To Yeh Katbon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti

Puraane Raabton Ko Phir Naye Waadey Ki Khuwahish Hai

Zara Ek Baar To Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti

Gaye Lamhaat Fursat Ke Kahan Se Dhondh Kar Laaon

Wo Pehron Haath Par Likhna Mohabbat Mar Nahi Sakti..!!

Tujh Se To Koi Gila Nahi Hai

Tujh Se To Koi Gila Nahi Hai

Qismat Mai Meri, Sila Nahi Hai

Bichrey To Najane Haal Kiya Ho

Jo Shakhs Abhi Mila Nahi Hai

Jeene Ki Aarzoo Hi Kab Thi

Marne Ka Bhi Hosla Nahi Hai

Jo Zeest Ko Motabar Bana De

Aesa Koi Silsila Nahi Hai

Khushboo Ka Hisaab Ho Chuka Hai

Aur Phool Abhi Khila Nahi Hai

Sarshaari Rehbari Mai Dekha

Peeche Mere Qaafla Nahi Hai

Ik Thes Pe Dil Ka Phoot Behna

Choone Mai To Aabla Nahi Hai..!!

Dil Pe Ek Tarfa Qayamat Karna

Dil Pe Ek Tarfa Qayamat Karna

Muskuratey Hue Rukhsat Karna

Achi Aankhen Jo Mili Hain Us Ko

Kuch To Lazim Hua Wehshat Karna

Jurm Kis Ka Tha, Saza Kis Ko Mili

Kiya Gai Baat Pe Hujjat Karna

Kon Chahe Ga Tumhen Meri Tarah

Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna

Ghar Ka Darwaaza Khula Rakha Hai

Waqt Mil Jaye To Zehmat Karna..!!

Aks-E-Khushboo Hun, Bikharne Se Na Rokey Koi

Aks-E-Khushboo Hun, Bikharne Se Na Rokey Koi

Aur Bikhar Jaaon To Mujh Ko Na Samaitey Koi

Kaanp Uthti Hun Mai Yeh Soch Ke Tanhaai Mai

Mere Chehre Pe Tera Naam Na Parh Le Koi

Jis Tarah Khuwab Mere Ho Gaye Reza Reza

Iss Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bokhrey Koi

Mai To Us Din Se Harasaan Hun Ke Jab Hukm Miley

Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mai Na Rakhey Koi

Ab To Iss Raah Se Wo Shakhs Guzarta Bhi Nahi

Ab Kis Umeed Pe Darwaaze Se Jhankey Koi

Koi Aahat, Koi Aawaz, Koi Chaap Nahi

Dil Ki Galiyaan Bari Sunsaan Hain, Aaye Koi.!!

Kaha Mai Ne Kahan Ho Tum

Kaha Mai Ne Kahan Ho Tum

Jawab Aya Jahan Ho Tum

Mere Jeewan Se Zahir Ho

Mere Gham Mai Nihaan Ho Tum

Meri To Sari Duniya Ho

Mera Sara Jahan Ho Tum

Meri Sochon Ka Mehwar Ho

Mera Zor-E-Bayan Ho Tum

Mai Hun Lafz Mohabbat Hon

Magar Meri Zubaan Ho Tum..!!

Is Ghareebi Mai Guzara Nahi Hota Moula

Is Ghareebi Mai Guzara Nahi Hota Moula

Ghaib Se Koi Ishara Nahi Hota Moula

Mujh Ko Hijrat Ki Koi Raah Sujha Himmat De

Mujh Se Yeh Shehr Gawara Nahi Hota Moula

Jab Mai Ghar Jata Hun Amboh-E-Masaib Mai Kabhi

Tujh Bina Koi Sahara Nahi Hota Moula

Sochta Hun To Har Ik Simt Samandar Hi Miley

Dekhta Hun To Kinara Nahi Hota Moula

Kuch Na Kuch Phir Bhi Kami Rehti Hai

Chand Hota Hai Sitara Nahi Hota Moula..!!

Ab Yahi Aakhri Sahara Hai

Ab Yahi Aakhri Sahara Hai

Mai Tera, Tu Mera Kinara Hai

Lautna Ab Nahi Raha Mumkin

Tu Ne Kis Morr Par Pukaara Hai

Kiya Tumhen Ab Bhi Yaad Aata Hai

“Chand Ke Paas Jo Sitaara Hai”

Yeh To Sajta Hai Aasmanon Par

Tu Ne Palkon Pe Kiyu Utaara Hai

Maut Ke Saamne Haqeeqat Mai

Hijr To Ik Zara Ishaara Hai

Hum Koi Khas Khush Nahi

Zindagi Kiya Hai Bas Guzaara Hai..!!

Aankh Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Sham Ke Baad

Aankh Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Sham Ke Baad

Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa Sham Ke Baad

Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Sham Ke Baad

Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua Sham Ke Baad

Aanhen Bharti Hai Shab-E-Hijr Yateemon Ki Tarah

Sard Ho Jaati Hai Har Roz Hawa Sham Ke Baad

Sham Tak Qaid Raha Karte Hain Dil Ke Andar

Dard Ho Jate Hain Saare Hi Rehaa Sham Ke Baad

Log Thak Haar Ke So Jate Hain Lekin Janaa

Hum Ne Khush Ho Ke Tera Dard Saha Sham Ke Baad

Chand Jab Ro Ke Sitaaron Se Galay Milta Hai

Ik Ajab Rang Ki Hoti Hai Fizaa Sham Ke Baad

Hum Ne Tanhaai Se Pucha Ke Milo Gi Kab Tak

Us Ne Be-Chaini Se Foran Hi Kaha Sham Ke Baad

Tum Gaye Ho To Siyah Rang Ke Kapre Pehne

Phirti Rehti Hai Mere Ghar Mai Qaza Sham Ke Baad

Maar Deta Hai Ujarr Jaane Ka Dohra Ehsaas

Kash Ho Koi Kisi Se Na Judaa Sham Ke Baad..!!
 

Qurbaton Mein Bhe Judaii K Zamany Mangay

Qurbaton Mein Bhe Judaii K Zamany Mangay
Dil Wo Be_Mehar K Roony K Bahany Mangay

Ham Na Hoty Tu Kisi Or K Charchay Hoty
Khalqat_E_Shehar Tu Kehnay Ko Fasanay Mangay

Yehe Dil Tha K Tarasta Tha Marasim K Liye
Ab Yehe Tark_E_Taluk K Bahanay Mangay

Apna Ye Haal K Jee Haar Chukay Lut Bhe Chukay
Or Mohabat WOhi Andaaz Purany Mangay

Dil Kisi Haal Py Raazi Nehe
Mil Gaye Tum Bhe Tu Kya Or Na Jaanay Managay..!!

Me Jhoom Jaon Tu Sharabi Na Samjhna

Me Jhoom Jaon Tu Sharabi Na Samjhna
Gerr Jaon Jo Sajday Mein Tu Namazi Na Samjhna

Thora Sa Behak Gya Hon Mohabat Mein
Jo Aagy Barhon Tu Shikari Na Samjhna

Muj Sy Cheen Li Hein Khushiyaan Mery apno Ny
Hath Jo Phealon Tu Bhikari Na Samjhna

Mujy Aata Hai Ab Bhe Mohabat Ka Khail
Bohat Kuch Khoya Hai Me Ny Anaari Na Samjhna

Ek Nasihat Mere Yaad Rakhna Mere Jaan
Mohabat Ko Kabi Tum Bimaari Na Samjhna..!!

Me Apny Hathon Sy Us Ki Dulhan Sajaaon Ge

Kamal_E_Zabat Ko Khud Bhe Tu Aazmaaon Ge
Me Apny Hathon Sy Us Ki Dulhan Sajaaon Ge

Supurd Kar K Usy Chandani K Hathon
Me Apny Gher K Andhearon Mein Lout Aaoun Ge

Badan K Karb Ko Wo Bhe Na Samajh Paye Gaa
Me Dil Mein Rooun Ge Aankhon Sy Muskuraon Ge

Wo Kya Gaya Ka Rafaqat K Sary Lutf Gaye
Me Kis Sy Rooth Sakon Me Kis Ko Manaaon Ge

Wo Aik Rishta_E_Be_Naam Bhe Nehe Lekin
Me ab Bhe Us K Ishaaron Py Sar Jhukaon Ge

Bichaa Diya Tha Gulaabon K Sath Apna Wajood
Wo Soo K Uthay Tu Khwaabon Ki Raakh Uthaaon Ge

Ab Ka Fan Tu Kisi Or Sy Mansoob Hua
Me Kis Ki Nazam Akealy Gun Gunaaon Ge

Jawaaz Dhondh Raha Tha Neii Mohabat Ka
Wo Keh Raha Tha Me Us Ko Bhool Jaoon Ge

Smaatoon Me Ghany Jangalon Ki Saansein Hein
Me Ab Kabhi Tere Aawaaz Sun Na Paaon Ge..!!

Friday 14 November 2014

Pehly Tu Wohi Dushman Pher Us Ki Adda Dushman

Pehly Tu Wohi Dushman Pher Us Ki Adda Dushman
Darkaar Nehe Ham Ko Ab Koi Neya Dushman

Har Shakhas Mukhtalik Tha Jab Uss Sy Marasam Thay
Ab Uss K Bichartey He Koi Na Raha Dushman

Toba Tu Nehe Mushkil Mushkil Hai Tu Bass Ye He Hai
Ham Jaam Ager Torain Ban Jaye Ghataa Dushman

Kiya Husn_E_Zan Apna Tha Uss Shakhas K Baray Mein
Jis Dost Ne Samjhaya Wo Ham Ko Laga Dushman

Koi Bhe Un Ki Pehchan Kar Paya
Kiya Rang Badalty Hein Ye Dost Numaa Dushman..!!

Apny Hathon Ki Lakeeron Mein Basa Lay Muj Ko

Apny Hathon Ki Lakeeron Mein Basa Lay Muj Ko
Me Hon Tera Naseeb Apna Bana Lay Muj Ko

Muj Sy Tu Pochnay Aya Hai Wafa Ka Maenii
Ye Tere Saadi Delli Ma Na Daly Muj Ko

Me Samandar Bhe Hon Moti Bhe Hon Ghota Zan Bhe
Koi Bhe Naam Mera Lay Kar Bula Lay Muj Ko

Tu Ne Daikha Nehe aainey Sy Aagy Kuch Bhe
Khud Parasti Mein Kehein Tu Na Ganwaa Lay Muj Ko

Kal Ki Baat Or Hai Mein Ab Sa Rahon Ya Na Rahon
Jitna Gee Chahy Tera Ajj Sata Lay Muj Ko

Khud Ko Me Kehein Baanat Na Dalon Daman Daman
Kar Diya Tu Ny Ager Mery Hawaaly Muj Ko

Me Jo Kaanta Hon Tu Chal Muj Sy Bacha Kar Daman
Me Hon Gar Phool Tu Jooray Mein Saja Lay Muj Ko

Me Khulay Dar K Kisi Gher Ka Hon Saman Pyary
Tu Dabay Paon Kabhi Aa K Churaa Lay Muj Ko

Tark_E_Ulfat Ki Qasam Bhe Koi Hoti Hai Qasam
Tu Kabi Yaad Tu Kar Bhulany Waly Muj Ko

Sharab Pher Sharab hai Mein Zehar Bhe Pee Lon Ga
Sharat Ye Hai Koi Koi Banhon Mein Sambhaly Muj Ko..!!

Ye Jo Chehray Se Tumhein Lagty Hein Bemaar Sy Ham

Ye Jo Chehray Se Tumhein Lagty Hein Bemaar Sy Ham
Khoob Roye Hein Dar_O_Deewaar Sy Lipat Kar Ham

Yaar Ki Aankh Mein Nafrat Ne Hamien Qatal Kiya
Kon Kehta Hai Kattay Yaar Ki Talwaar Sy Ham

Ranj Har Rang Ki Jholi Mein Bhary Hein Ham Ne
Jab Bhe Guzray Hein Kisi Dard K Bazaar Sy Ham

Ishq Mein Hukam Adooli Bhe Hamein Aati Hai
Talny Waly Tu Nehe Hein Tery Inkaar Sy Ham..!!

Juda Hony K Mosam MeiN Juda Hona Zarori Tha

Juda Hony K Mosam MeiN Juda Hona Zarori Tha
Najaany Q Kisi Ka Bewafa Hona Zaroori Tha

Mery Dil Ne Jo Us Ko Poojnay Ki Intehaa Kar De
Tu Pher Us Be_wafa Ka Be Khuda Hona Zaroori Tha

Kisi Se Koi Bhe Shikwa Na Koi Shikayat Hai
Jo Mery Sath Chahat Mein Hua,Hona Zaroori Tha

Bohat Nazdeek They Dil Es Liye Doorian Bhe Hein
Bilon K Darmiyan Kuch Faasla Hona Zaroori Tha

Usy Bhe Dard Dainy Ka Bohat He Shok Tha
Hamein Bhe Dard_O_Gham Sy Aashna Hona Zaroori Tha..!!

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Phailny Lagi Hai Raat Wasi

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Phailny Lagi Hai Raat Wasi
Qatra Qatra Baras Rahe Hai Ashkon Ki Barsaat Wasi

Tery Baad Ye Duniya Waly Mujh Ko Pagel Kar Dain Gay
Khusboo K Dais Mein Mujh Ko Ley Chal Apny Sath Wasi

Youn He Chup Ki Mohar Laga Kar Kab Tak Gum Sum Baitho Gay
Khamoshi Se Damm Ghutta Hai Chearo Koi Baat Wasi

Ajj Tu Us Ka Chehra Bhe Kuch Badla Badla Lagta Hai
Mosam Badla Duniya Badli Badal Gaye Halaat Wasi

Mery Gher Khushiyon Ka Ye Raqass Usi K Damm Se Hai
Us k Sath Chali Jaye Ge Pholon Ki Baraat Wasi

Chor Wasi Ab Us Ki Yedein Tujh Ko Pagel Kar Dain Ge
Tu Qatra Hai Wo Darya Hai Daikh Apni Okaat Wasi..!!

Wo Mujy Mehnadi Lagy HatH Dikha Kar Roi

Wo Mujy Mehnadi Lagy HatH Dikha Kar Roi
Me Kisi Or Ki Hon Bass Itna Bata Kar Roi
Umer Bhar Judai Ka Khyaal Aya Tha Shayed
Mujy Pass Apny Dair Tak Bitha Kar Roi

Ab K Na Sehe Zaroor Hashar Mein Milein Gay
Yak Ja Hony K Dilasay Dila Kar Roi
Kabi Kehti The K Mein Nahe Ge Paon Ge Tumhary Bin
Aour Ajj Pher Wo Ye Baat Dohra Kar Roi

Mujh Se Zayada Bicharny Ka Gham Usay Tha
Waqat_E_Rukhsat Wo Mujy Seeny Sy Laga Kar Roi
Mein Be_Kasoor Hon Qudrat Ka Faisla Hai Ye
Lipat K Mujh Se Bass Itna Bata Kar Roi

Mujh Per Aik Qurb Ka Toofaan Ho Gaya Hai
Jab Mery Samny Mere Khat Jalla Kar Roi
Mere Nafrat Or Adawat Pighal Gai Aik Pal Mein
Wo Be-Wafa Hai Tou Kyun Mujy Rula kar Roi

Sab Shikway Mery Ek Pal Mein badal Gaye
Jheel Se Aankhon Mein Jab Aansu Saja Kar Roi
Kaisy Us Ki Mohabat Par Shaq Karein Ham
Bhari Mehfil Mein Wo Mujy Galy Laga Kar Roi


Wo muje Mehndi lage hath dikha kr Roi
Wo muje Mehndi lage hath dikha kr Roi..!!

Chamakty Chand Ko Toota Howa Tara Bana Dala

Chamakty Chand Ko Toota Howa Tara Bana Dala
Meri Aawargi Ne Mujh Ko Aawara Bana Dala

Yahan Par Hain Hazaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain
Mujhe Is Shehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Dala

Main Is Duniya Ko Aksar Dekh Kar Heraan Hota Hoon
Na Mujh Se Ban Saka Chota Sa Ghar Din Raat Rota Hoon

Khuda Tune Kaise Yeh Jahan Sara Bana Dala
Mere Malik Mera Dil Kyoun Tarapta Hai Sulagta Hai

Teri Marzi Teri Marzi Pe Kiska Zor Chalta Hai
Kisi Ko Gul Kisi Ko Tune Angara Bana Dal..!!

Bahar Rut Mein Ujaar Rasty

Bahar Rut Mein Ujaar Rasty
Takaa Karo Gey Tu Ro Paroo Gay

Kisi Se Milny Ko Jab Bhe
Saja Karo Gay Tou Ro Paroo Gay

Tumhary Wadon Ne Yaar Mujh Ko
Tabah Kiya Hai Kuch Es Tarah Sy

Zindagi Mein Jo Pher Kisi Sy
Dagha Karo Gay Tu Ro Paro Gay

Me Janta Hon Mere Mohabat
Ujjaar Dy Ge Tumhein Bhe Aisa

K Chand Raaton Mein Ab Kisi Se
Mila Karo Gay Tu Ro Paro Gay

Barasti Barish Mein Yaad Rakhna
Tumhein Satayien Ge Mere Aankhein

Kisi Wali K Mizaar Par Tum
Dua Karo Gay Tu Ro Paro Gay..!!

Wafa Es Ko Nehe Kehty Wafa Kuch Or Hoti Hai

Wafa Es Ko Nehe Kehty
Wafa Kuch Or Hoti Hai

Mohabat Karny Walon Ki
Adda Kuch Or Hoti Hai

Tumhein Daikha Tumhein Chaha
Tumhe Se Pyar Kar Baithy

Suno Pather K Dil Walo
Mohabat Aisi B Hoti Hai

Me Chahy Gham Ka Maraa Hon
Mager Tum Ko Na Bholon Ga

K Dewaano K Honton Pey
Dua Kuch Or Hoti Hai

Tarap Uthay Ge Ye Dunia
Roye Ga Jab Dil Mera

Dil Jo Pher Jo Nikalti Hai
Bad_Dua Kuch Or Hoti Hai..!!

Wednesday 12 November 2014

Tum Pyar Karo Gay Kitny Mein

Tum Pyar Karo Gay Kitny Mein

Izhaar Karo Gay Kitny Hein

Har Cheez Yahan Par Bikti Hai

Har Shyy Ka Sooda Hota Hai

Har Fard Yahan Par Tajir Hai

Har Waqt Tijarat Hoti Hai

Tum Aap Hi Apny Daam Kaho

Chupp K Nahi Sar-e-Aam Kaho

Kia Lo Gay Apni Yaari Ka ?

Kia Lo Gay Tum Dil Dari Ka?

Gham Khwaaar Bano Gay Kitny Mein?

Tum Pyar Karo Gay Kitny Mein?

Sab Jazby Mery Naam Karo

Hum Naam Tum Apny Daam Kaho?

Par Daam Chukany Ki Khatir

Hum Apna Daftar Kholain To

Hum Apni Jaib Tatolain To

Bas Pyar Mily Ga Thora Sa

Izhaar Mily Ga Thora Sa

Ye Sikky Yahan Kab Chalty Hain

Kia Udhaar Mily Ga Thora Sa?

Ye Dunia Be Aitbari Ki Ye Arzz Hai Har Beyo Paari Ki

Chal Chor Tamana Jazbon Ki

Hum Khali Hath Hi Aaye Thay

Chal Khali Hath Hi Chalte Hain ...!!

Yahan Khaloos Bikta Hai Yahan Pyaar Bikta Hai

Yahan Khaloos Bikta Hai Yahan Pyaar Bikta Hai
Yahan Dushman K Hathoon Yaar Bikta Hai

Yahan Insaan Ka Qatil Insaan Milta Hai
Yahan Oonchay Logon Ka Mizaar Bikta Hai

Yahan Lagty Hein baazaaroon Mein Sharab Ka Thealy
Yahan Khuda Ki Khudaai Ka Ikhtiyaar Bikta Hai

Yahan Khaa K Bhe Sab Kisi K Pait Nehe Bharty
Yahan Insaaniyat Bikti Hai Yahan Meyyaar Bikta Hai..!!

Sab Pe Ehsaan Hai Saqi Tery Mey Khany Ka

Sab Pe Ehsaan Hai Saqi Tery Mey Khany Ka
Nasha Har Rind Ko Hai Ek He Peamany Ka

Lutf Kar Zulm Sy Kabo Mein Nehe Aany Ka
Log Deakhein Na Tamasha Tery Dewany Ka

Mudda Kis Pe Ayan Ho Mery Afsany Ka
Raz Hon Mein Na Samjhney Ka Na Samjhaney Ka

Chasham_E_Saqi Hai Udhar Or Mera Dil Hai Ehhar
Aj Takrao Hai Peamany Se Peamany Ka

Apni He Aag Mein Jalny Ka Maza Hai Kuch Or
Hosla Shama Se Barh Kar Nehe Parwany Ka

Baat Be Baat Utha Daita Hai Ek Chhair Nei
Parr Gya Hai Ussy Chaska Mujy Tarpany Ka

Baat Kehta Hai Kuch Aisy Ke Ne Samjhey Koi
Ye Bhe Ek Ghor Talab Rang Hai Dewany Ka

Wo Bahaar Ai Or Wo Uthay Badal
Baat Jaam Ki Chaly Or Zikar Ho Mea Khany Ka..!!

Kaho Ager Tou Bhula Don Tum Ko

Kaho Ager Tou Bhula Don Tum Ko
Sab Kuch Bataa Kar Rulaa Don Tum Ko

Bohat Dushwaar Guzray Ga Mujh Par
Kaho Ager Tu Sazaa Don Khud Ko

Kyun Ab Roz Roz Ka Rona Rehy Aakhir
Ajj He Kyun Na Mitta Don Dukh Ko

Kahoo Ager Tou Bhula Don Tum Ko..!!

Mery Hamsafar Mery Saayeebaan

Mery Hamsafar Mery Saayeebaan
Mere Zindagi Mery Kul Jahan

Hein Rah_E_HIyaar K Silsily
Kabi Furqatein Kabi Faasley

Rehein Tery Sath Rawaan Dawaan
Mery Karwaan Mery Qaafily

Tu He Ru_Ba_Ru Tu He Hai Nihaan
Mery Hamsafar Mery Saayeebaan

Tere Mulaaqaat Ki Khahishein
Tere Aarzu Tere Chahtein

Shab_O_Roz Tere Justuju
Tujy Dhondta Pheron Ku Ba Ku

Tu Mera Yaqeen,Tou Kehein Gumaan
Mery Hamsafar MeiN Saayeebaan..!!

Na Wo Farista Ho Na Farishton Jaisa Ho

Na Wo Farista Ho Na Farishton Jaisa Ho
Mujy Talash Hai Uski Jo Mery Jaisa Ho

Jo Khwaab Deny Ko Qadir Ho Mere Aankhon Ko
Mere Muhabat Ko Pehchan Saky Wo Aisa Ho

Mere Khatir Marny Ko Hosla Rakhta Ho
Koi Bhe HO Kehein Bhe Ho Bass Aisa Ho

Ager Kabi Rooth Jaoon Mein Us Sy Tu
Muskuraa K Manaye Wo Aisa Ho

Jo Baat Kary To Wo Nibha Bhe Saky
Iraadon Mein Wo Apny Chattanoon Jaisa Ho..!!

Koi Imkaan Rehny Do

Jo Tum Ikhlaas Chahoo To
Farishtoon Se Nigah Kar Lo

Me Aadam Ki Nishani Hon
Mujy Insaan Rehny Do

Tumhari Kehkashaoon Mein
Mere Koii Jagaaa Kab The

Me Ek Ujrra Jazeera Hon
Mujy Veeraan Rehny Do


Jo Hota Hai Wohi Karna
Na Badlo Rasam Duniya Ki

Wo Tum Ya Koi Apna
Mujy Hearaan Rehny Do


Mera Dil Youn Sisakta Hai
Koi Ujraa Sa Mandir Ho

Mujy Wehshat Hai Ronaq Se
Mujy Sunsaan Rehny Do


Khuda Ka Kaar_Khaany Mein
Bura Kuch Bhe Nehe Hota

Khudaara Hosh MeiN Aaoo
Koi Imkaan Rehny Do..!!

Kuch Khud Bhe They Afsurda Sy

Kuch Khud Bhe They Afsurda Sy
Kuch Log Bhe Ham Sy Rooth Gaye

Kuch Khud Bhe Zakhm K Aadi They
Kuch Sheeshay Hath Se Toot Gaye


Kuch Khud Bhe They Hassas Bohat
Kuch Apny Muqaddar Rooth Gaye

Kuch Khud Bhe Itny Muhtaat Na They
Kuch Log Bhe Hamko Loot Gaye

Kuch Talkh Haqeeqatien Theen Itni
K Khwaab He Saary Toot Gaye..!!

Sunday 9 November 2014

Jamaa Tum Ho Nehe Sakty

Jamaa Tum Ho Nehe Sakty
Mujy Manfii Se Nafrat Hai

Tumhein Takseem Karta Hon
To Haasil Kuch Nehe Aata

Koi Qaaida Koi Kuliya
Na Laagu Tum Pe Ho Paaye

Zarb Tujh Ko Ager Doon To
Hisaabon Mein Khayaal Aaye

Ikaayi Ko Dahaayi Par
Mein Doon Nisbat Tu Kaisy Doon

Na Qaalib Ki Tarah Tum Ho
Na Al_Jabraa Se Lagty Ho

Umerr Ye Katt Gaye Mere
Tujhy Hamdam Samjhny Mein

Ho Hall Tera Ager Nikly
Tu Sab Kuch He Ulajh Jayee

Sifar The Ibtidaa Tere
Sifar He Talak Tum Ho

Sifar Zarb_E_Sifar Ho Tum
Na Jis Se Kuch Faraq Aaye..!!

Marhaly Ishq K Dushwaar Hua Karty Hein

Marhaly Ishq K Dushwaar Hua Karty Hein
Saaye B Raah Ki Dewaar Hua Karty Hein

Wo Jo Sach Bolty Rehny Ki Qasam Kahty Hein
Wo Adaalat Mein Gunah Gaar Hua Karty Hein

Sirf Hathon Ko Na Daikho Kabi Aanknein B Parhoo
Kuch Sawali Khudaar Hua Karty Hein

Wo Jo Pather Younhi Rasty Hein Pary Rehty Hein
Un K Seeny Mein B Shaah_Kaar Hua Karty Hein..!!

Kar K Jafaa Wo Pochty Hien Haal Hai Kaisa

Kar K Jafaa Wo Pochty Hien Haal Hai Kaisa
Andaaz Ye Kaisa Hai Ye Sawaal Kaisa Hai

Wo Tere Kabi The Nehe Unka Tu Na Tha
Unke Youn Roth Jany Se Malaal Hai Kaisa

Har Baat Bata Daiti Hai Bagawat Ki Ajj Kal
Hai Koi Kisi Ka Nehe Ye Saal Hai Kaisa

Ager Tu Nehe Qaatil To Shrik_E_Gunaah To Hai
Tu Itna Bata Chehra Tera Laal Hai Kaisa

Murday Ki Akarr Daita Hai Zindoon Koi Kai Baar
Karta Hai Amiroon Ko Aseer Ye Maal Kaisa Hai

Me Tu Shikaar Unky Khyaalon Ka Hun
Wajood Me Unke Nihaan Ye Jaal Ye Kaisa..!!

Chalo Kuch Dair Hansty

Chalo Kuch Dair Hansty

Hein Muhabat Par Inayat Par

K Be_Bunyaad Batein Hein

Sabi Rishty Sabi Naaty

Zaroorat Ki Hein Ejaadein

Kehein Koi Nehe Marta

Kisi K Waasty Janaaa

Sab Hai Phair lafzoon Ka

Hai Sara Khail Harfoon Ka

Na Hai Mehboob Koi Bhe

Sabi Jumlay Se Kasty Hein

Chalo Kuch Dair Hansty Hein

Ussi Ko Yaad Karty Hein

Jisy Ham Zeest Kehty Hein

K Laina Saans Bin Jis K

Hamein Ek Jurm Lagta Hai

K Sang Jis K Har Ek Lamha

Khush_O_Khurram Guzarta Hai

Jisy Ham Zindagi Kehty

Jisy Ham Shaeri Kehty

Ghazal Ka Qaafiya Tha Jo

Tha Jo Unwaan Nazmoo Ka

Wo Lehja Jab Badalta Tha

Qiyaamat Khaiz Lagta Tha

Balaa Ka Taiz Lagta Tha

Jo Sayaa Ban K Rehta Tha

Judaa Ab Us K Rasty Hein

Chalo Kuch Dair Hansty Hein
Chalo Kuch Dair Hansty Hein..!!


Latest Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Romantc Poetry,Ghazal Sms

Saturday 8 November 2014

Kaho Ab Kya Kahon Tum Se

Kaho Ab Kya Kahon Tum Se

Bataoo Kiya Likhon Tum Ko

Mujy Tamheed Do Koi Mujy Umeed Do Koi

Neyaa Ek Lafz Ho Koi

Jahan Se Baat Chal Nikly Mere Mushkil Ka Hall Nikly

Bataoo Lehja Kaisa Ho

K Tum Se Baat Karni Hai

Mujy Thora Ujala Do Basar Ek Raat Karni Hai

Tum Apni Roshan Aankhon Ko

Ager Kholo Tu Mein Likhon

Tumhari Aankh De Day Ge Takhatub Ko Nasheela Pan

Kaho Ab Kya Erada Hai

Mujy Izhaar Karna Hai

K Beytaabi Ziyada Hai

Kaho Ab Kya Kahon Tum Se..!!

Tum Khafa Kyun Ho Tumhein Mujh Se Gila Kya Hai

Tum Khafa Kyun Ho

Tumhein Muj Se Gila Kya Hai

Achanak Be_Rukhi Itni

Bataoo Tu Hua Kya Hai

Manaon Kis Tarah Tum Ko

Mujy Itna Tu Batlaa Do

Ager Ab Ho Saky Tum Se

Tu Ye Ehsaan Farma Do

Mere Manzil Muhabat Hai

Mujy Manzil Pe Pohancha Do

Tumhari Aankh Mein Aansoo

Mujy Achy Nehe Lagty

Tumhary Nerm Honton Par

Gily Achy Nehe Lagty

Tumhary Muskurany Se

Mera Dil Muskurata Hai

Tumhary Rooth Jany Se

Mera Dil Toot Jata Hai..!!

Ye Dil Ka Roog Ye Chaht Khuda Kisi Ko Na Day

Ye Dil Ka Roog Ye Chaht Khuda Kisi Ko Na Day
Buri Balla Hai Muhabat Khuda Kisi Ko Na Day

Tarrap Janoon Ye Ruswaaiyan Akeala Pan
Qadam Qadam Pe Museebat Khuda Kisi Ko Na Day

Zaroori Hai To Bohat Zindagi Mein Ishq Magar
Ye Jaan Leva Zaroorat Khuda Kisi Ko Na Day

Jo Dukh Tu Ne Mujh Ko Diya Koi Na Day Tujh Ko
Ye Bewafaai Ke Addat Khuda Kisi Ko Na Day..!!

Ajaeeb Wehshat Taari Hai Mujh Par Tery Bin

Ajaeeb Wehshat Taari Hai Mujh Par Tery Bin
K Saans Leena Bhaari Hai Mujh Par Tery Bin

Na Jee Sakein Na Mar He Sakein Judaai Mein
Ye Zulm Kesa Jaari Hai Mujh Par Tery Bin

Na Kuch Dikhai Deta Hai Na Soojhy Kuch
Andheir Dunia Saari Hai Mujh Par Tery Bin

K Choor Kar Jis Din Se Gaye Ho Tum Mujhy
Shadeed Aah_O_Zaari Hai Mujh Par Tery Bin

Me Bhool Baitha Hoon Apny App Ko Jaana
Tere Ajaara Daari Hai Mujh Par Tery Bin

Sadaa Guzaroon Kaisy Bahaar K Din Mein
Ye Zarb Ye Bhi Kaari Hai Mujh Par Tery Bin..!!


Latest Poetry,Urdu Poetry,Sad Poetry,Ghazal Sms

Ya Rab Gham_E_Hijraan Mein Itna Tu Kiya Hota

Ya Rab Gham_E_Hijraan Mein Itna Tu Kiya Hota
Jo Hath Jigar Per Hai Wo Dast_E_Dua Hota

Ek Ishq Ka Gham Aafat Or Us Pe Ye Dil Aafat
Ya Ghan Na Diya Hota Ya Dil Na Diya Hota

Nakaam_E_Tamanna Dil Es Soch Mein Rehta Hai
Yoon Hota Tu Kya Hota Yoon Hota Tu Kya Hota

Umeed To Bandh Jati Taskeen To Ho Jati
Wada Na Wafa Karty Wada Tu Kiya Hota

Gharion Se Kaha Tum Ne Gharion Se Suna Tum Ne
Kuch Ham Se Kaha Hota Kuch Hum Se Suna Hota..!!

Abi Kuch Or Karishmey Ghazal K Daikhty Hein

Abi Kuch Or Karishmey Ghazal K Daikhty Hein
Faraz Ab Zara Lehja Badal K Daikhty Hein

Judaeyaan To Muqaddar Hein Pher Aay Jaan_E_Safar
Kuch Or Door Zara Sath Chal k Daikhty Hein

Rah_E_Wafa Mein Hareef_E_Kharam Koi Tu Ho
So Apny Ap Se Aagay Nikal K Daikhty Hein

Tu Samny Hai To Pher Kyun Yaqeen Nehe Aata
Ye Baar Baar Jo Aankhien Mall K Daikhty Hein

Ye Koun Log Hein Mojood Tere Mehfil Mein
Jo Lalichoon Se Tujy Mujh Ko Jall K Daikhty Hein

Ye Qurb Kya Hai K Yakjaan Huye Na Door Huye
Hazaar Aik He Qalib Mein Dhall K Daikhty Hien

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui Hai
So Ab K Dono He Chaalen Badal K Daikhty Hien

Ye Kon Hai Sar_E_Saahil K Doobnay Waly
Samandaroon Ki Tehon Se Ucchal K Daikhty Hein

Abi Talak To Na Kundan Huye Na Raakh Huye
Hum Apni Aag Mein Har Roz Jal K Daikhty Hein

Bohat Dino Se Nehe Hai Kuch Us Ki Khair Khabar
Chalo Faraz Kou_E_Yaar Chal K Daikhty Hein..!!


Latest Ghazal,Urdu Ghazal,Hindi Ghazal,Romantc Ghazal,Sad Poetry,

Friday 7 November 2014

Koi Raasta Sadaa Dushwaar Ho Aisa Nehe Hota

Jo Hua Ek Bar Wo Bar Bar Ho Asia Nehe Hota
Hamesha Aik He Se Pyaar Ho Aisa Nehe Hota

Har Ek Kashti Ka Apna He Tajurba Hota Hai Darya Mein
Safar Mein Rooz He Manjhdaar Ho Aisa Nehe Hota

Kahani Mein Tu Kirdaaron Ko Tu Jo Chahy Bana Dijiye
Haqeeqat Bhe Kahani Kaar Ho Aisa Nehe Hota

Kehen Tu Koi Hoga Jis Ko Apni Bhe Zaroorat Ho
Har Ek Baazi Mein Dil Ki Haar Ho Aisa Nehe Hota

Sekhaa Daiti Hein Thokrein Bhe Rahgeeron Ko
Koi Raasta Sadaa Dushwaar Ho Aisa Nehe Hota..!!

Khawaab Aankhon Se Gaye Neend Raton Say Gai

Khawaab Aankhon Se Gaye Neend Raton Say Gai
Wo Gya Tu Asa Laga Zindagi Hathon Se Gai

Sookhy The Phool Tery Janay K Baad
Ab Tu Khushbo Bhe Kitaabon Se Gai

Tery Aany Se Barhti The Jo Raftaar Dharkan Ki
Ab Tu Rawaani Bhe Mere Saansoo Se Gai

Kis Dour Mein Mohabat Ko Ilzaaal Dety Ho
Jis Dour Mein Hayaa Bhe Hijaboon Sy Gai..!!

Jahan Se Chali The Waheen Pe Kharri Hon

Jahan Se Chali The Waheen Pe Kharri Hon
Me Tere Mohabat Ki Aisi Gharri Hon

Tery Hath Mein The Mohabat Ki Gurriya
Jahan Py Rakha Tha Wahan Pe Parri Hon

Tujy Bhool Jany Ka Socha Tha Lekin
Barri Dair Tak Aaj Khud Se Larri Hon

Tery Sang Barish Mein Chattri K Neeachy
Mujy Youn Laga Jaisy Me B Jharri Hon

Tere Zaat Se Me Bhe Mansoob Ho Kar
Atoot_E_Ang Hon Zindagi Ki Karri Hon

Mera Bachpana Pan Hai Mohabat Mein Shamil
Mohabat Mein Qadd Se Ziyada Barri Hon

Hamein Ab Khoo K Kehta Hai Mujy Tum Yaad Aaty Ho

Hamein Ab Khoo K Kehta Hai Mujy Tum Yaad Aaty Ho
Kisi Ka Ho  K Kehta Hai Mujy Tum Yaad aaty Ho

Samandar Tha To Zor_O_Shoor Se Lehrein Bahaata Tha
Ab Qatra Qatra Ho K Kehta Hai Mujy Tum Yaad Aaty Ho

Bayaan Karty Jo Hal_E_Dil Tu Younhi Muskura Daita
Ab Wohi Ro K Kehta Hai Mujy Tum Yaad Aaty Ho

Na Pooch Tu Us Ki Babnaseebi Ka Aalam
K Sab Kuch Khoo K Kehta Hai Mujy Tum Yaad Aaty Ho..!!

Thursday 6 November 2014

Tumhary Khat Mein Neya Ek Salaam Kis Ka Tha

Tumhary Khat Mein Neya Ek Salaam Kis Ka Tha
Na Tha Raqueeb To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha

Raha Na Dil Mein Wo Bedard or Dard Raha
Mukeem Kon Hua Hai Mukaam Kis ka Tha

Wafaa karon ge Nibhaon ge Baat Manoon ge
Tumhe B Yaad Kuch Ye Kalaam Kis ka Tha

Wo Kattl Kar K Har Kisi Se Puchhaty Hain
Yeh Kaam Kis ne Kiya Ye Kaam Kis Ka Tha

Humary Khat K Tu Ne Purzy Kiya Parha B Nahi
Suna Jo Tum ne Baa-dil Wo Payaam Kis Ka Tha

Guzar Gaya Wo Zamana Kahoo To Kis Se Kahon
Khyaal Dil  Ko Mera Subah-O-Shaam Kis Ka Tha

Har Ek Se Kehaty Hain Kya DaaghE_E_Bewafa Nikla
Ye Puchhy In se Koi Wo Ghulam Kis Ka Tha..!!

Gulaab Aankhen Sharab Aankhen

Gulaab Aankhen Sharab Aankhen

Yehe Tu Hein La-jawaab Aankhen

Inhe Me Ulfat  Inhe Me Nafrat

Sawab Aankhen  Azaab Aankhen

Kbi Nazar Me Balaa Ki Shookhi

Kbi Sarapaa Hijaab Aankhen

Kbi Chhupaati Hn Raaz Dil K

Kbi Hn Dil Ki Kitaab Aankhen

Kisi Ne Daikhi To Jheeel Jaisi

Kisi Ne Payeen Saraab Aankhen.

Wo Aaye To Log Mujh Se Bolay

Hazoor Aankhen Janaab Aankhen

Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam

Sawal Koi Jawab Aankhen..!!

Hein Aankhein Jheel Se chehra Kitaab Jaisa Hai

Hein Aankhein Jheel Se chehra Kitaab Jaisa Hai
K Mery Yaar Ka Har Naqash Khwaad Jaisa Hai

Kisi B Baat Par Ab Bheegti Nehe Aankhien
K Apna Haal B Sookhay Chanaab Jaisa Hai

Ye aarzu Hai Kabi Tu Andheri Shab Meom Mily
Wo Ek Shakhs Jo Mahtaab Jaisa Hai
Ye Saaz_E_Jaan Tu Khamoosh Ek Umer Se Hai
Agerchay Lehja Abi Tak Rubaab Jaisa Hai

Mein Us K Husan Ki Tareef Kis Tarha Se Karon
Wo Aftaab Sa Wo Mahtaab Jaisa Hai

Ess Shehar Mein Aisi B Qayamat Na Hui The

Ess Shehar Mein Aisi B Qayamat Na Hui The
Tanha They Mager Khud Se Wehshat Na Hui The

Ye Din Hai K Yaron Ka Bharosa B Nehe Hai
Wo Din They K Dushman Sy B Nafrat Na Hui The

Ab Saans Ka Ehsaaas B Ek Baar_E_Giraan Hai
Khud Apny Khilaaf Aisi Baghawat Na Hui The

Ujrray Huye Ess Dil K Har Ek Zakham Se Pocho
Ess Shehar Mein Kis Kis Se Mohabat Na Hui The

Ab Tery Qareeb Aa K Be Kuch Soch Raha Hon
Pehly Tujhy Kho Kar B Nadamat Na Hui The

Khawabon Ki Hawaa Raas The jab Tak Mujy
Yoon Jaagty Rehna Mere Adat Na Hui The..

Nateeja Pher Wohi Ho Ga

Nateeja Pher Wohi Ho Ga
Suna Hai Chaal Badly Ga

Parinday B Wohi Hon Gay
Shikarai Jaal Bandly Ga

Badalny Hein Tu Dil Badloo
Badalty Ho Tu Hindsay He

Maheeney Pher Wohi Hon Gay
Beachaara Saal Badly Ga

Ager Ham Maan B  Lain
Maheena Sath Saalon Ka

Bataoo Kitny Saalon Mein
Hamara Haal Badly Ga..!!

Jab Se Ek Chaand Ki Chahat Mein Sitara Hua Hon

Jab Se Ek Chaand Ki Chahat Mein Sitara Hua Hon
Sheher_E_Shab Zaad Ki Aankhon Ka Sahara Hua Hon

Ayee Mery Dard K Daryaa Ki Rawaani Mujy Daikh
Mein Tery Qurb Se Katt Katt K Kinara Hua Hon


Zindagi Tujh Se Munaafiq B Koi Kya Ho Ga
Tera Shahkaar Hon Or Tera He Maara Hua Hon

Saamney Pher Mery Apny Hein Soo Mein Janta Hon
Jeet B Jaaon Ga Tu Ye Jang Mein Haraa Hua Hon

Zakham Gintaa Hon Sha_E_Hijjar Mein Or Sochta Hon
Mein Apna B Naa Thaa Kaisy Tumhara Hua Hon

Mein Payambarr Hon Na Ho Sakta Hon Pher B
Aisa Lagta Hai K Sar_E_Khaak Se Utara Hua Hon..!!

Kitni Aziyat Se Us Ne Mujy Bhulaya Ho Ga

Kitni Aziyat Se Us Ne Mujy Bhulaya Ho Ga
Mere Yaadon Ne Usey Khoob Rulaya Ho Ga

Baat_Be_Baat Aankh Us Ki Chalki Ho Ge
Us Ne Chehry Ko Baazowon Mein Chupaya Ho Ga

Socha Ho Ga Us Ne Din Mein Kain Baar Mujy
Naam Hatheeli Par B Likh Likh Kar Mitaya Ho Ga

Jab Us Ne Zikar Mera Suna Ho Ga Kisi Se
Us Aankhon Mein Koi Aansu Tu Aya Ho Ga

Raat Ke Bheegney Tak Neend Na Ai Ho Ge Usay
Us Takkiye Ko B Seeney Se Lagaya Ho Ga

Ho Ge Nidhaal Mere Yaadon Se Tu Ne Jaana
Mere Tasweer Pe Sar Apna Tikkaya Ho Ga

Pocha Ho Ga Jo Kisi Ne Tere Haalat Ka Sabab
Tu Baaton Mein Khoob Us Se Chupaya Ho Ga...!!

Wednesday 5 November 2014

Chuny Gaye Jab Se Mere Palkon Se Khwaab Sary

Chuny Gaye Jab Se Mere Palkon Se Khwaab Sary
Pareshaan Hein Dil_O_Nazar K Mahtaab Sary

Kis Qadar Ann_Khilly Or Be_Rang They
Dekho Ye Sard Mosamon K Gulaab Sary

Tum Tu Thehrey Sehal Raaston K Musafir
Wo Raasta Bhe To Azaab Sary

Fareb_E_Naza To Kabi Noor_E_Nazar
Bakhshay Hein Tu Ne He Tu Khitaab Sary

Tumhein Yaad Hein Chahton K Purany Sabaq
Hamari Bari Badal Gaye Nisaab Sary

Dori Mein Khyaal Ye Pardaa Acha Tha
Jo Barha Qurb Ho Gaye Khatam Hijaab Sary

Zindagi Ki Uljhan Se Uljy Hein Jab Se
Bikhar Gaye Hein Tamanaoon K Khwaab Sary

Jab Se Mila Ham Se Wo
Aankhon Se Utar Aye Saraab Sary..

Ham He Thehrey Saza Waar

Ham He Thehrey Saza Waar Or Khataa Kuch B Nehe
Tu Kya Samjhta Hai Tery Baad Hua Kuch B Nehe

Yaad Jab Ai Tere Yaad Rakha Kuch B Nehe
Dil Ne Bass aah Bhari Or Kaha Kuch B Nehe

Waqat Ki Tarah Ye Saansein B Rawaan Hein Ab Tak
Ek Bass Ashk Tha Mein Mein Or Ruka Kuch B Nehe

Hath Se Hath Churra Kar Gaye Jab Se Tum
Mene Us Waqat Se In Hathon Se Chunna Kuch B Nehe

Kash Tu Mujy Ked De Achaanak Aa Kar
K Tery Mery Jeevan Mein bacha Kuch B Nehe..!!


Kabhi Yaad Aye To Pochna Zara Apni Khalwat-E-Sham Se

Kabhi Yaad Aye To Pochna Zara Apni Khalwat-E-Sham Se
Kise Ishq Tha Teri Zaat  Kisa Pyar Tha Tere Naam Se

Zara Yaad Kar Ke Woh Kon Tha Kabhi Tujhe Bhi Aziz Tha
Woh Jo Mar Mitta Tere Naam Pe Woh Jee Utha Tere Naam Se

Humein Be_Rukhi Ka Nahin Gila, Ke Yehi Wafaaon Ka Hai Silla
Magar Asa Jurm Tha Konsa Ke Gaye Hum Duaa-O-Sallaam se

Na Kabhi Wisaal Ki Chaah Ki Na Kabhi Firaaq Main Aah Ki
Ke Mera Tareeka-E-Bandagi Hai Judaa Tareeka-E-Aam Se..!!



Latest Ghazal,Sharabi Ghazals,Mery Hamsafar

Tuesday 4 November 2014

Aap Ka Eatbaar Kon Kary

Aap Ka Eatbaar Kon Kary
Roz Ka Intzaar Kon Kary

Zikr_E_Mehr_O_Wafaa TU Ham Karty
Pher Tumhein Sharam_Saar Kon Kary

Ho Jo Us Chasham_E_MastSe Be_Khud
Pher Usay Hoshiyaar Kon Kehey

Tum Tu Ho Jaan Ek Zamaany Ki
Jaan Tum Par Nisaar Kon Kary

Aafat_E_Rozgaar Jab Tum Ho
Shikwa_E_Rozgaar Kon Kary

Apni Tabeeh Rehny De
Daana Daana Shumaar Kon Kary

Aankh Hai Tark_E_Zulf Hai Shayad
Dekhein Dil Ka Shikaar Kon Kary

Wada Karty Hein Ye Kehty Hein
Tujh Ko Umeed Waar Kon Kary

Daagh Ki Shakal Daikh kar Boly
Aise Shakl Ko Pyaar Kon Kary..!!



Apna Tu Chahton Mein Yehe Ek Asool Hai,Wo Tum Na Thay Ek Khyal Tha,Adat he Bana Li Hai Es Shehar K Logon Ne,



Bichar Gaya Tu Kabi Lout Kar Nehe Aya

Azaab Ye B Kisi Or Pe Nehe Aya
K Ek Umer Chaly Or Gher Nehe Aya

Es Khwaab Ki Hasrat Mein Jal Bujheen Aankhein
Wo Ek Khwaab K Ab Tak Nazar Nehe Aya

Karein Tu Kis Se Karein Na_Rasaion Ka Gila
Safar Tamaam Hua Hamsafar Nehe Aya

Dilon Ki Baat Badan Ki Zuban Se Keh Dety
Ye Chahty The Magar Dil Idhar Nehe Aya

Ajeeb Hi The Mery Dour_E_Gumrahi K Rafiq
Bichar Gaya Tu Kabi Lout Kar Nehe Aya..!!


Sad Poetry,Dukhi Ghazal,Dhoka Poetry,Qissa Abi Hijaab Se Aagy Nehe Barha,Ye Mast Mast Bemisaal Aankhein



Itna Pilaa Dey Aaj K Ji Bhar K Royein Ham

Rukhsaar Aisay TimTimaty Hein Janab K
Pehny Hon Jaisy Chand Ne Gajray Gulaab K

Likha Hai Tera Naam B Chahat K Khoon Se
Aao Warq Dikhaoon Apny Dil Ki Kitaab K

Itna Pilaa Dey Aaj K Ji Bhar K Royein Ham
Niklein Hamari Aankhon Se Aansoo Sharab K

Utraa Wo Es Tarah Se Samandar Ki Goad Mein
Jitna Bhanwar They So Gaye Pehlu Mein Aab K

Didaar_E_Yaar Bhala Kaisy Ho Aaj Kal
Pehray Hein Chaand Chehray Pe Naqaab K

Mil Kar Tamaan Raat Wo Pher B Na Mila
Sooraj Bata Gaya Ye Dhokay They Khwaaab Ke..!!


Sharabi Ghazal,Saqi Tery Meakhany Ka, Sharab La Sharab La,Sharabi Poetry

Kuch Na Soojhay Ga Tumhein Sham K Dhalty Dhalty

Ham Bohat Door Nikal Aye Hein Chalty Chalty
Ab Theher Jayen Kehein Sham K Dhalty Dhalty

Ab Gham_E_Zeest Se Ghabraa K Kahan Jayen Ham
Umar Guzri Hai Es Aag Mein Jalty Jalty

Raat K Baad Sheher Ho Ge Mager Kis K Liye
Ham He Shayed Na Rehein Raat K Dhalty Dhalty

Roshni Kam The Magar Itna Andhera Tu Na Tha
Shama_E_Umeed B Gull He Gai Jalty Jalty

Aap Waday Se Mukar Jayein Gy Rafta Rafta
Zehan Se Baat Utar Jati Hai Taltay Taltay

Toote Deewar Ka Saya B Bohat Hota Hai
Paaon Jal Jain Ager Dhoop Mein Jalty Jalty

Din Abi Baaki Hai Zara Taiz Chalo
Kuch Na Soojhay Ga Tumhein Sham K Dhalty Dhalty..!!


Karon Tu Kis Liye Akhir Malal Uska,Hosh Walon Se Kahan Tarz_E_Wafa Pao Gay, Shab_E_Aroosi Ki Kahani,Ham Ne Tu Tum Sy Shikayat Kabi Na Ki

Hai Tumhein Bulata Kon Hai

Aaj Kal Sach Pochiye Tu Muskurata Kon Hai
Khud Farebe Hai Faqat Hansta Hansaata Kon Hai

Mere Neendein Urr Gai Hein Ye Tu Keh Sakta Hon
Ye Magar Mat Pochiye Neendein Urata Kon Hai

Tum Nehe Aatey Na Aoo Tum Se Shikwa B Nehe
Tum Se Kehta Kon Hai Tumhein Bulata Kon Hai

Es Se Pehly B Kiya Hai Ham Ne Un Ka Eatbaar
Aisy Waday To Bohat Hoty Hein Magar Aata Kon Hai

Un Ki Mehfil Daikhny Ka Shok Tu Ham Ko B Hai
Ham Wahan Jaatey Magar Ham Ko Bulata Kon Hai..!!


Latest Ghazal,Urdu Ghazal,Romantic Poetry,Shab_E_Arosi

Saturday 1 November 2014

Apna Gher Chor K Hum Log Wahan

Apna Gher Chor K Hum Log Wahan Tak Pohanchay
Subah_E_Fardaa Ki Kiran B Na Jahan Tak Pohanchay

Me Ne Aankhon Mein Chupa Rakhy Hein Kuch Or Chiragh
Roshni Suboh Ki Shayad Na Yahan Tak Pohanchay

Bin Kehy Baat Samjh Lo Munasib Ho Ga
Es Se Pehly K Yehe Baat Zuban Tak Pohanchay

Tum Ne Ham Jaisy Musafir B Na Daikhy Hon Gy
Jo Baharon Se Chaly Or Khizaan Tak Pohanchay

Aaj Pandaar_E_Tamanna K Fasoon Toot Gaya
Chand Kamzarf Gily Jo Zubaan Tak Pohanchay..!!



Latest Ghazal,Hindi Poetry,Urdu Ghazal,Hindi Shaire

Bikhar Gai Hai Shehar Mein Khushboo Gali Gali

Bikhar Gai Hai Shehar Mein Khushboo Gali Gali
Guzra Hai Jaisy Koi Idhar Se Abi Abi

Itna Hansy K Aankhon Se Aansoo Nikal Pary
Hota Hai Khud Fareebi Mein Youn B kabi Kabi

Mehfil Mein Doston Ki Koi Ja Kar Kya Kary
Chehray Dhuwan Dhuwan Hein Nigahein Bujhi Bujhi

Kuch Ho Sakoon_E_Qalb Muyassar Tu Jaaniye
Batein Tu Sunty Aye Hein Ham B Bari Bari

Nikly They Gher Se Jis K Tahafuz K Wastey
Matti Mein Mil Gai Wo Bhe Sharafat Rehe Sehe..!!


Latest Ghazal,Hindi Ghazal,Urdu Ghazal,Parveen Shakir Poetry,Wasi Shah Poetry,Romantic Poetry

Darwaza Khula Rakha Hai

Be-Sabab Shikwa_E_Halaat Mein Kya Rakha Hai
Ham Ne Khud Zehar Halaat Mein Mila Rakha Hai

Gham Se Shikwa Hai Mujhy Aor Na Wajood_E_Gham Se
Mujy Tu Gham Khuwahon Ne Deewana Bana Rakha Hai

Ik Mosoom Se Umeed Hai Bunyaad_E_Hayaat
Ik Diya Zad Ki Hawaoon Pe Jalaa Rakha Hai

Un Se Kuch Or Chamak Jati Hai Ghar Ki Zulmat
Es Liye Me Ne Charaghon Ko Bujha Rakha Hai

Woh Suny Ga Tu Usay Muft Mazaamat Ho Ge
Haal_E_Dil Me Ne Esi Darr Sy Chupa Rakha Hai

Fikar Ye Hai K Pholon Se Bachy Ge Kaisy
Me Ne Kanton Se Tu Daman Ko Bacha Rakha Hai

Uska Wadaa K Mujy Pass Hai Us Ko Naa Sehe
Me Ne Raaton Ko B Darwaza Khula Rakha Hai..!!


Latest Ghazal,Urdu Shaire,Romanict Shaire,New Ghazal,Hot Ghazal

Ajj Mudat Baad Dedar_E_Yaar Hua Tha

Ajj Mudat Baad Dedar_E_Yaar Hua Tha
Wohi Galiyan Wohi Rasta Jahan Pyar Hua Tha

Daikha Usay Tu Yaad Aye Wo Beety Huye Lamhy
Jab Pyar K Jazbaat Ka Izhar Hua Tha

Kaisy Bhool Jaon Uski Bheege Bheege Nigahon Ko
Inhee Jheel Se Aankhon Mein Tu Me Giraftar Hua Tha

Wo Tu Choor Gaya Nigahein Phair K Mujy
Me He Ruswa Sar_E_Bazar Hua Tha

Uss Din Sy Bhatak Bhatak K Ge Raha Hon
Be_Wafa Jis Din Mera Yaar Hua Tha..!!


Urdu Ghazal,Romantic Ghazal,Hindi Poetry,Latest Ghazal,New Ghazal

Follow Me