Us Ko Juda Huay Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kya Kehein Ye Qissa Purana Bohat Hua
Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab -e- Firaq
Ay Marg -e- Nagahaan Tera Aana Bohat Hua
Hum Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ay Khuda
Itne Se Waqiye Ka Fasana Bohat Hua
Ab Hum Hain Aur Saaray Zamaanay Ki Dushmani
Us Se Zara Rabt Barhana Bohat Hua
Ab Kiyun Na Zindagi Pay Mohabbat Ko Waar Dain
Is Aashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua
To Dil Ka Dik Se Ta'arruf Na Ho Saka
Maana K Us Se Milna Milana Bohat Hua
Kya Kya Na Hum kharab Huay Hain Magar Ye Dil
Ay Yaad -e- Yaar Tera Thikana Bohat Hua
Kaha Tha Naasehon Se Mere Moonh Na Aaiyo
Phir Kya Tha Ek Hu Ka Bahana Bohat Hua
Lo Phir Tere Labon Pay Usi Be-Wafa Ka Zikr
Ahmed Faraz Tujh Se Kaha Na Bohat Hua ......
No comments:
Post a Comment