Urr Jaayein Gay Tasweer K Rangon Ki Tarah Hain
Hum Waqt Ki Tehni Pay Prindon Ki Tarah Hein
Tum Sahil Pay Kharray Huey Phoolon Ki Tarah Ho
Hum Rait Pay Likhay Huey Harfon Ki Tarah Hein
Tum Aaj Bhi Aainda Zamanon Ki Jhalak Ho
Hum Aaj Bhi Guzray Huey Lamhon Ki Tarah Hein
Tanhaai K Yakh Lamhon Mein Aayein Gay Tere Kaam
Ashaar Mery Sardi Mein Shaalon Ki Tarah Hein
Ik Umar Tarastay Hein Kisi Aik Khushi Ko
Hum Log Bhi Banjar Zameeno Ki Tarah Hein
Duniya K Liye Kuch Bhi Sahi Tere Liye Hum
Mukhlis Kisi Maa Ki Duaon Ki Tarah Hein
Taareekh Ki Nazron Mein Hum Ek Umar Say MOHSIN
School Say Bhaagay Huwe Bachon Ki Tarah Hein......
No comments:
Post a Comment