Aankh Mein Paani Rakho Honton Pe Chingari Rakho
Zinda Rehna Hai To Tarqeebein Bohat Sari Rakho
Raah K Pathar Sy Barh Kar Kuch Nehe Hein Manzilein
Raasta Awaaz Daity Hain Safar Jari Rakho
Ek Hi Nadi K Hein Ye Do Kinary Dosto
Dostana Zindagi Sy Mout Sy Yaari Rakho
Aaty Jaty Pal Ye Kehty Hein Hamary Kaan Mein
Kooch Ka Elaan Hony Ko Hai Tiyaari Rakho
Ye Zaroori Hai K Aankhon Ka Bharam Qayam Rehy
Neend Rakho Ya Na Rakho Khawab Meyaari Rakho
Ye Hawaien Urr Na Jain Le K Kagaz Ka Badan
Dosto Mujh Per Koi Pathar Zara Bhari Rakho
Le To Aaye Shayari Bazaar Mein Rahat Miyan
Kya Zaroori Hai K Lehjy Ko Baazaari Rakho.......
No comments:
Post a Comment