Its Request To You! Please Promote My Blog On Yours Facebook Account

Thursday, 8 October 2015

Tujhy Kho Kar Bhi Tujhy Paaun Jahaan Tak Daikhon

Tujhy Kho Kar Bhi Tujhy Paaun Jahaan Tak Daikhon
Husn-E-Yazdaan Se Tujhe Husn-E-Butaan Tak Daikhon

Tu Ne Yun Dekha Hai Jaise Kabhi Dekha Hi Na Tha
Me To Dil Mein Tery Qadmon Ke Nishaan Tak Daikhon

Sirf Is Shauq Se Poochi Hain Hazaaron Baatein
Main Tera Husn Tere Husn-E-Bayaan Tak Daikhon

Mere Veeraana-E-Jaan Mein Teri Yaadon Ke Tufail
Phool Khilte Nazar Aate Hain Jahaan Tak Daikhon

Waqt Ne Zehen Mein Dhundhla Diye Tere Khad-O-Khaal
Yun To Me Tootty Taaron Ka Dhuaan Tak Daikhon

Dil Gaya Tha To Yeh Aankhein Bhi Koi Le Jaata
Me Faqat Ek Hi Tasveer Kahaan Tak Daikhon

Ik Haqeeqat Sahi Firdaus Mein Hooron Ka Wajood
Husn-E-Insaan Se Nibat Loon To Wahaan Tak Daikhon......

No comments:

Post a Comment

Follow Me