Roodaad-e-Muhabbat Kya Kehiye Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gay
Do Din Ki Musarrat Kya Kehiye Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gay
Jab Jaam Diya Tha Saqi Nay Jab Daur Chala Tha Mehfil Mein
Ik Hosh Ki Saaat Kya Kehiye Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye
Ab Waqt K Naazuk Honton Par Majrooh Tarannum Raqsaan Hai
Biyaad-e-Mushiyat Kya Kehiye Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye
Ehsaas K Mai-Khanay Mein Kahan Ab Fikr-o-Nazar Ki Qandeelein
Aalaam Ki Shiddat Kya Kehiye Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye
Kuch Haal K Andhay Saathi Thay, Kuch Maazi K Aiyaar Sajjan
Ahbaad Ki Chahat Kya Kehiye Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye
Kaanton Say Bhara Hai Daman-e-Dil Shabnam Say Sulagti Hain Palkein
Phoolon Ki Sakhaawat Kya Kehiye Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gay
Ab Apni Haqeeqat Bhi SAGAR Be-Rabt Kahani Lagti Hai
Duniya Ki Haqeeqat Kya Kehiye Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gay......
No comments:
Post a Comment