Tujhy Izhar-E-Mohabbat Sy Agar Nafrat The
Tu Ny Honton Ko Laraznay Sy To Roka Hota
Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Ny Ghabra K Mera Naam Na Poocha Hota
Tery Buss Main The Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lou
Tery Rukhsaar Main Gulzaar Na Bharlaa Hota
Yon To Hawein Mujh Sy Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apny Tooty Huye Fiqron Ko To Parkha Hota
Yon He Bay Waja He Thaknay Ki Zarurat Kya The
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Na Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana jo Tera Andaz-e-jurm
DiL Na Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay Badly Meri Tasveer Nazar Aa jati
Tu Ny Us Waqt Agar Aaiena Daikha Hota
Hoosla Tujh Main Na Tha Mujh Sy juda Honay Ka
Warna Kaajal Tere Aankhon Main Na Pheala Hota..!!
No comments:
Post a Comment