Sar Taak-e-Jaan Na Charaag Hai Pas-e-Bam-e-Shab Na Sehar Koi
Ajab Aik Arsa-e-Dard Hai Na Gumaan Hai Na Khabar Koi
Nahi Ab Tou Koi Malaal B Kisi Wapsi ka Khayal B
Gham-e-Baikasi Ny Mita Diya Mere Dil Mein Tha B Agar Koi
Tujhy Kya Khabar Hai K Raat Bhar Tujhy Daikh Pany Ko Ik Nazar
Raha Sath Chaand K Muntazir Tere Khirrkiyon Sy Udhar Koi
Sar-e- Shaakh Jaan Tery Naam Ka Ajab Aik Taza Gulaab Tha
Jisay Aandhiyon Se Khatar Na Tha Jisay Tha Khizaan Ka Na Dar Koi
Tere Be-rukhi K Dayaar Mein Ghani Teergi K Hisaar Mein
Jalay Kis Tarha Sy Charag-e-Jaan Kary Kis Taraf Ko Safar Koi
Katay Waqt Chahey Azaab Mein Kisi Khuwab Mein Ya Saraab Mein
Jo Nazar Sy Door Nikal Gaya Usay Yaad Karta Hai Har Koi
Sar-e-Bazm Jitnyy Charaag Thay Woh Tamam Ramz Shanaas Thay
Tere Chashm-e-Khush K Lehaaz Sy Nahi Bolta Tha Magar Koi..!!
No comments:
Post a Comment