Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui
Phir Sham Usko Main Kahoon Ya K Kahoon Main Zindagi
Payar Ho Challka Hua Teri K Jaam Se
Surmaai Sa Phelta Ho Rang Uffaq Per Shaam Se
Bazooun Ki Qaid Main Ho Ik Badan Simta Hua
Khamoshi Main Goonjti Ho Do Dilon Ki Ik Sada
Ho Ulajhti Saans Main Jesay Shararat Saans Ki
Rooh Ko Choonay Lagay Jesay Hararat Saans Ki
Hath Main Ho Chooriyon Ki Dheemi Dheemi Si Khannak
Madham Madham Roshni Main Narm Anchal Ki Dhannak
Hont Hoon Tere Gulaabi Chalki Chagal Ki Tarah
Surmaai Si Phail Jaye Shaam Kajal Ki Tarah
kash So Jao Kabhi Tum Rakh k Sar Aghosh Main
Doob Ker Ankhon Main Teri Ham Rahain Na Hosh Main
Kaash K Mujhko Atta Kar Do koi Aisa Hi Kal
Kaash Tham Jain Wo Lamhay Or Tham Jain Wo Pal
Wassal K Lamhay Atta Kar Do Mujhay Ik Din Kabhi
Yoon Milain Tum Se K Phir Na Hoon Juda Tum Se Kabhi
Phir Chalay Janay Ki Jana Baat Na Aye Kabhi
Buss Aik Shaam Day Do Phir Raat Na Aaye Kabhi ..!!
No comments:
Post a Comment