Kaho Tu Lout Jaty Hien
Abi Tu Baat Lamhon Tak Salon Tak Nehe Aai
Abi Muskano Ki Nobat Bi Nalon Tak Nehe Aai
Abi Tu Koi Majbori Khiyalon Tak Nehe Aai
Abi Tu Gard Peron Tak Hai Balon Tak Nehe Aai
Kaho Tu Lout Jaty Hein
Chalo Ek Faisla Karny Shajar Ki Oat Jaty Hein
Abi Kajal Ki Dori Surakh Galon Tak Nehe Aai
Zuban Danton Talak Hai Zehar Piyalon Tak Nehe Aai
Abi Tu Mushk_E_Kastoori Ghazalon Tak Nehe Aai
Abi Rodad_E_Be_Unwaan Hamary Darmiyan Hai
Dunia Walon Tak Nehe Aai
Kaho Tu Lout Jaty Hein
Abi Nazdeek Hai Gher Apna Or Manzil Door Hai Apni
Mubada Nar Ho Jaye Ye Hasti Noor Hai Apni
Kaho Tu Lout Jaty Hein
Ye Raasta Pyaar Ka Rasta
Rasan ka Dar Ka Rasta
Bohat Dushwaar Hai Jana
K Es Rasty Ka Har Zarra Bi Ek Kohsaar Hai Jana
Kaho Tu Lout Jaty Hein
Mery Bary Na Kuch Socho
Mujy Tu Sath tumhary Amar Hony Ki Hasrat Hai
Mujy Teh Karna Karna Aata Hai Rasan Ka Dar Ka Rasta
Ye Aasebon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta
Tumhary Gaisowon Ki Chaon Mil Jaye Tu Soraj Se Ulajhna Baat He Kya Hai
Utha Lo Apna Saya Tu Mere Okaat He Kya Hai
Tumhara Narm_O_Nazuk Hath Mery Hath Mein Ho Tu Me Ye Samjhon
K Jaisy Do Jahan Ho Mere Muthi Mein
Tumhara Qurb Ho Tu Mushkilein Kafoor Ho Jain
Ye Andhay Or Kaly Rasty Pur_Noor Ho Jain
Mujy Maloon Hai Itna K Dayam_E_Zindagi Posheeda Hai In Chaal Qadmon Mein
Bohat Rahtein Muzmir Hain In Dushwaar Raston Mein
Mery Bary Na Kuch Socho
Tum Apni Baat Batlao
Kaho Tu Chalty Rehty Hein
Kaho Tu Lout Jaty Hein..!!
No comments:
Post a Comment