Its Request To You! Please Promote My Blog On Yours Facebook Account

Saturday 18 January 2014

Tery Galy Mein Jo

Tery Galy Mein Jo Banhon Ko Daal Raktey Hein
Tujy Manany Ka Kaisa Kamaal Raktey Hein

Tujy Khabar Hai Tujy Sochny Ki Khatir
Bohat Se Kaam Muqadar Pe Taal Rakhtey Hein

Koi Bhe Faisla Ham Soch Kar Nehe Kartey
Tumhary Naam Ka Sikka Uchaal Rakhtey Hein

Tumhary Baad Ye Adat Se Ho Gai hai Apni
Bikherty Sokhtey Pattey Sambhal Raktey Hein

Khushi Se Milti Hai Khud Ko Aziyatein De Kar
So Jan Bojh Kar Dil Ko Nidhaal Rakhtey Hein

Kabi Kabi Wo Mujh Ko Hans Ke Daikh Laitey Hein
Kabi Kabi Mera Be Had Khyaal Rakhtey Hein

Tumhary Hijar Mein Ye Haal Ho Gaya Hai Apna
Kisi Ka Khat Ho Ussy Bhe Sambhal Raktey Hein

Khushi Mily Tu Tery Baad Khush Nehe Hotey
Ham Apni Aankh Mein Har Dam Malal Rakhtey Hein

Zamany Bhar Se Chupa Kar Wo Apny Aanchal Mein
Mery Wajood Ke Tukrey Sambhal Rakhtey Hein

Kuch Ess Liye Bhi Tu Behaal Ho Gay Ham Log
Tumhari Yaad Ka Be Had Khyal Raktey Hein..!!

No comments:

Post a Comment

Follow Me