Samaan-E-Tijarat Mera Imaan Nahi Hai
Har Dar Py Jhuky Sar Ye Meri Shaan Nahi Hai
Har Lafz Ko Seeny Mein Basa Lo To Bany Baat
Taaqon Mein Sajany Ko Ye Quraan Nahi Hai
Allah! Mery Rizq Ki Barkat Na Chali Jaaye
Do Roz Se Ghar Mein Koi Mehman Nahi Hai
Ham Ne Banaye To Hain Samandar Mein Bhi Raaste
Yun Ham Ko Mitaana Koi Asaan Nahi Hai
Woh Jis Ko Buzurgon Ki Rivayat Na Rahe Yaad
Us Shakhs Ki Logo Koi Pehchaan Nahi Hai
Do Char Umeedon K Diye Ab Bhi Hai Roshan
Maazi Ki Haweli Abhi Veeran Nahi Hai
Main Tere Mohabbat Mein Giraftar Hoon Lekin
Tujh Ko Main Khuda Samjhun Ye Imkaan Nahi Hai
Phoolon Ki Jagah Jalty Huye Lafz Sachy Hain
Ab Meiz Pe Akhbaar Hai Guldaan Nahi Hai
Ye Mera Sher Mere Ahd Ki Tasveer
‘Ghalib’ Ki Ghazal ‘Mir’ Ka Divan Nahi Hai..!!
No comments:
Post a Comment