Hisaar-E-Lafz-O-Bayaan Mein Gum Hun
Abhi Tere Daastan Mein Gum Hun
Mein Daikh Sakti Hun Doston Ko
Magar Saf-E-Dushmanaan Mein Gum Hun
Badan Ka Apna Azaab Hai Or
Isi Azaab-E-Ziaan Mein Gum Hun
Ye Loog Ghar Keh Rahay Hain Jisko
Mein Aisay Makaan Mein Gum Hun
Kahan Wo Lazzat Musaafaton Ki
Mein Manzilon K Nishaan Mein Gum Hun
Khabar Nahi Mauj-E-Dast-E-Jaan Ki
Hawaa Hun Or Baadbaan Mein Gum Hun
Abhi Kahan Fursat-E-Mohabbat
Abhi Mein Kaar-E-Jahaan Mein Gum Hun..!!
No comments:
Post a Comment