Ye Zara Zara Se Baat Par Tarah Tarah Ke Azab Kyun
Jo Kisi Se Bhe Khafa Na Ho Mujhy Us Khuda Ki Talash Hai
Mujhe Laghzishon Pe Har Ghari Koi Tokta Hai Bar Bar
Jise Kar Ke Dil Ko Dukh Na Ho Mujhe Us Gunah Ki Talash Hai
Mein Dhondta Hon Wo Khizaan Jise Gulshanon Se Pyar Ho
Jise Kisi Charagh Se Na Bair Ho Mujhe Us Hawa Ki Talash Hai
Mujhe Us Nagar Ki Hai Justaju Jahan Koi Chahta Nehe Lahoo
Jahan Hiran Ko Sher Se Darr Na Ho Mujhe Us Jagah Ki Talash Hai
Yahan Ek Lamhe Ka Parraoo Mein Mery Sary Phool Jhulas Gaye
Ab Jahan Talkhion Ki Tapish Na Ho Mujhe Us Fizza Ki Talash Hai
Mujhy Daikh Kar Jo Ek Nazar Mery Sary Dard Samjh Sakey
Jo Es Qadar Ho Chara Gar Mujhe Us Nigah Ki Talash Hai..!!

No comments:
Post a Comment