Its Request To You! Please Promote My Blog On Yours Facebook Account

Thursday, 23 January 2014

Tery Naam Se Tere Zaat Se

Tery Naam Se Tere Zaat Se Mery Hamsafar Koi Gela Nehe
Jo Zakham Mila Tery Hijar Se Wo Pher Kabi Sela Nehe

Bary Shoq Se Bary Chaoo Se Me Ne Naam Tera Rakha Wafa
Mery Ham_Nasheen Mery Ham Nawaan Tu Ne Ki Mager Wafa Nehe

Tere Yad Mein Ham Dar_Ba_Dar Tujhy Dhondta Mein Shehar Shehar
Kisi Or Ka Na Me Ho Saka Jab Tu He Mujh Ke Mela Nehe

Kal Raat Mere Chaand Se Batein Tere Hoti Rehen
Wo Bhe Raat Bhar Jaga Raha Me Bhe Raat Bhar Soya Nehe..!!

Tere Sorat Ko

Tere Sorat Ko Nigahon Mein Basa Kar Rakhon
Dil Ye Karta Hai Tujy Tujh Se Chura Kar Rakhon

Tujhy Daikhon Tujhy Chahon Tujhe Se Pyar Karon
Tere Rang_O_Roop Mein Sab Se Chupa Kar Rakhon

Kar Lon Qaid Apny Dil Mein Tery Jevan Ko
Tujhy Me Ishq Ki Zanjeer Pehna Kar Rakhon

Koi Bhe Jaan Na Paye Tere Aankhon Ki Gehraii
Me Tujhy Aisi Kanwal Jheel Bana Kar Rakhon

Dil Ye Kehta Hai Ke Tery Baad Koi Tujh Sa Na Ho
Me Tujhy Aakhri Tehreer Bana Kar Rakhon..!!

Apna Tu Chahton Mein


Apna Tu Chahton Mein Yehe Ek Asool Hai
Tere Bhala Bura Sab Kuch Qabool Hai

Ye Umer Bhar Ka Jaagna Bekaar Na Reh Jaye
Tu Na Mila Tu Sari Riyazat Fazool Hai

Khud He Kaha Tha Tum Ne Mere Jaan Choor Dey
Ab Chor De Hai Tu Kyun Tere Chehra Malool Hai

Aii Jo Tere Yaad Tu Aankhein Baras Paren
Es Waqat Terey Dard Ka Dil Pe Nazool Hai

Ek Dosrey Ke Liye Dono Baney Hein
Guldaan Mera Dil Tere Yaad Phool Hein..!!

Tanhai Ke Sehraa Mein


Tanhai Ke Sehraa Mein Youn Choor Kar Chal Dena
Choti Se Shikayat Par Monh Mor Kar Chal Dena

Ye Kaisi Muhabat Hai
Ye Kaisi Rafaqat Hai

Ager Pass_E_Wafa Rakh Kar Tum Maan Barhaa Daitey
Be Los Rafaqat Par Emaan Barha Daitey

Me Fakhar Se Pher Kehta
Tum Jan_E_Rafaqat Ho Tum Baab_E_Muhabat Ho

Tehreer_E_Sadaqat Ho Ye Sab Hai Mager Tab Bhe
Hai Mujke Yaqeen Ab Bhe Jo Kuch Bhe Kaha Me Ne

Shikwa Hai Shikayat Hai Lekin Ye Haqeeqat Hai
Bass Tum Se Muhabat The Or Tum Se Muhabat Hai..!!

Wafa Ki Daastan_E_Gham


Wafa Ki Daastan_E_Gham Chalo Tum Ko Sunata Hon
Jo Dil Pe Daagh Hein Apny Sabhi Tum Ko Deakhata Hon

Sunoo Neandein Nehe Aaten Ke Dil Betaab Rehta Hai
Kabi Title Ke Kachy Rang Kabi Jugno Satatey Hein

Sunoo Jab Shaam Hoti Hai Andhearon Se Khafa Ho Kar
Kisi Ki Yaadon Ke Gher Mein Charag_E_Shabb Jalatey Hein

Bohat Khud Pe Jabar Kar Ke Mohabat Ka Safar Kar Ke
Bass Itna Jaan Paaye Hein
Muhabat Mar Nehe Sakti Muhabat Mar Daiti Hai..!!

Kabi Gham Ki Aag Mein Jal Uthay

Kabi Gham Ki Aag Mein Jal Uthye
Kabi Dagh_E_Dil Ne Jala Diya

Aay Janoon_E_Ishq Bata Zara
Mujy Kyun Tamasha Bana Diya

Gham_E_Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai

Kabi Ashq Palkon Pe Ruk Gaye
Kabi Pura Darya Baha Diya

Abi Kar Raha Hai Wo Ibtedaa
Keh Raha Hai Ye Dil Mera

Ussy Zindagi Ki Hai Aarzoo
Mujy Zindagi Ne Mitta Diya..!!

Tuesday, 21 January 2014

Kab Nehe Naaz Uthaye Hein Me Ne Tumhary

Kab Nehe Naaz Uthaye Hein Me Na Tumhary
Daikho Aanchal Pe Sajaye Hein Sitary Me Ne

Wohi Lamhaat Asasa hein Mery Jevan Ka
Jo Tery Qurb Mein Guzary Hein Me Ne

Rooz aaty Hein Mujhy Yaad Tery Zulm_O_Sitam
Apny Seeny Se Lagaye Hein Tery Laarar Me Ne

Mery Pooroon Se Mehak Aati Rehti Hai Din Bhar
Job Bhe Khawaboon Mein Tery Baal Sanwary Me Ne

Tere Chokhat Pe Kai Baar Huye Mujh Ko Shikast
Tere Dehleez Pe Aansu Kai Haarey Me Ne

Mere Awaaz Akeli He Palat Kar Aai
Jab Museebat Mein Kabhe Yaar Pukary Me Ne..!!


Sunday, 19 January 2014

Ku Ba Ku Phail Gai

Ku Ba Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki 
Us Ne Khushbo Ki Tarah Mere Pazerai Ki

Kaisy Keh Don Ke Mujhy Chor Diya Hai Us Ne
Baat Tu Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki

Wo Kehein Bhe Gya Louta Tu Mery Pass Aya
Bass Yehe Baat Hai Ache Mery Harjaii Ki

Tera Pehlu Tery Dil Ki Tarah Aabaad Rehy
Tujh Pe Guzray Na Qayamat Shab_E_Tanhai Ki

Us Ne Jalti Hui Peashani Pe Jo Hath Rakha
Rooh Tak Aa Gai Taseer Masehai Ki..!!


Us Pe Khul Jati Mery Pyar Ki Shiddat

Us Pe Khul Jati Mery Shooq Ki Shiddat Sari
Daikhey Hoty Jo Mery Paon Mein Chhaly Us Ne

Jis Ka Har Aiab Zamaney Se Chupaya Me Ne
Mery He Qissay Sar_E_Bazar Uchhaly Us Ne

Jab Usy Mere Muhabat Pe Bharosa He Na Tha
Kyun Diye Mere Wafaon Ke Hawaly Us Ne

Mere Damm Torti Khahishon Ka Khyal Aa Na Saka
Apny Arman Hamesha He Nikaly Us Ne

Ek Mera He Tu Hath Na Thama Us Ne
Warna Gerty Huye Kitney He Sambhaly Us Ne..!!

Mukamal Do He Dano Par

Mukamal Do He Dano Par Ye Tasbeeh_E_Muhabat Hai
Jo Aye Teesra Dana Ye Dori Toot Jati Hai

Muqarar Waqat Hota Hai Muhabat Ki Nemazoon Ka
Adaa Jin Ki Nikal Jaye Qazza Bhe Choot Jati Hai

Muhabat Ki Nemazoon Mein Imamat Aik Ko Sonpo
Essy Takney Ussy Takney Se Niyat Toot Jati Hai

Muhabat Dil Ka Soda Hai Jo Hai Toheed Par Qayyam
Nazar Ke Shirk Walon Se Muhabat Roth Jati Hai

Saturday, 18 January 2014

Tery Galy Mein Jo

Tery Galy Mein Jo Banhon Ko Daal Raktey Hein
Tujy Manany Ka Kaisa Kamaal Raktey Hein

Tujy Khabar Hai Tujy Sochny Ki Khatir
Bohat Se Kaam Muqadar Pe Taal Rakhtey Hein

Koi Bhe Faisla Ham Soch Kar Nehe Kartey
Tumhary Naam Ka Sikka Uchaal Rakhtey Hein

Tumhary Baad Ye Adat Se Ho Gai hai Apni
Bikherty Sokhtey Pattey Sambhal Raktey Hein

Khushi Se Milti Hai Khud Ko Aziyatein De Kar
So Jan Bojh Kar Dil Ko Nidhaal Rakhtey Hein

Kabi Kabi Wo Mujh Ko Hans Ke Daikh Laitey Hein
Kabi Kabi Mera Be Had Khyaal Rakhtey Hein

Tumhary Hijar Mein Ye Haal Ho Gaya Hai Apna
Kisi Ka Khat Ho Ussy Bhe Sambhal Raktey Hein

Khushi Mily Tu Tery Baad Khush Nehe Hotey
Ham Apni Aankh Mein Har Dam Malal Rakhtey Hein

Zamany Bhar Se Chupa Kar Wo Apny Aanchal Mein
Mery Wajood Ke Tukrey Sambhal Rakhtey Hein

Kuch Ess Liye Bhi Tu Behaal Ho Gay Ham Log
Tumhari Yaad Ka Be Had Khyal Raktey Hein..!!

Gulab Aankhein Sarab Aankhein

Gulab Aankhein Sarab Aankhein
Yehe Tu Hein Lajawab Aankhein



Inhe Mein Ulfat Inhe Mein Nafrat
Sawab Aankhein Azaab Aankhein

Kabi Nazar Mein Bala Ki Shokhi
Kabi Sarapa Hijaab Aankhein


Kabi Chupati Hein Raaz Dil Ke

Kabi Hein Dil Ki Kitaab Aankhein


Kisi Ne Daikhein Tu Jheel Jaisi

Kisi Ne Paaein Saraab Aankhein

Wo Aai Tu Log Mujhe Boly

Hazoor Aankhein Janab Aankhein

Ajab Tha Guftagu Ka Aalam

Sawal Aankhein Jawab Aankhein



Ruki Hui Hai abi Tak

Ruki Hui Hai Abi Tak Bahar Aankhon Mein
Shab_E_Wisaal Ka Jaisy Khumar Aankhon Mein

Mita Saky Ge Essy Gard_E_Mah_O_Saal Kahan
Khinchi Hui Hai Jo Tasveer_E_Yaar Aankhon Mein

Bass Ek Shab Ki Musafat The Or Ab Tak Hai
Ma-o-Najoom Ka Sara Ghubaar Ankho Mein

Hazaar Sahib Raksh Saba Mizaaj Aaye
Basa Hua Hai Wohi She Sawaar Ankhon Mein

Wo Aik Tha Per Es Ko Jab Teh_E_Talwaar
Tu Bat Gaya Wohe Chehra Hazaar Aankhon Mein

Uss Adda Se Bhe Hon

Uss Adda Se Bhe Hon Aashna Tujy Itna Jis Pe Garoor Hai

Me Jiyoon Ga Tery Bageir Bhe Mujy Zindagi Ka Shaour Hai

Na Hawas Hai Mujh Me Ap Ki Na Talab Saba_O_Shabab Ki

Tere Chasham_E_Naaz Ki Khear Ho Mujy Bin Piye He Saroor Hai

Jo Samajh Le Tujy Bewafa Tu Es Mein Tere Kya Khataa

Ye Khyal Hai Mery Demagh Ka Mere Nazar Ka Qasoor Kya

Me Nikal Bhe Tery Naam Se Na Giron Ga Apny Muqaam Se

Me Qatil_E_Sitam Sehe Mujy Tum Se Ishq Zaroor Hai..!!

Sab Kuch Luta Diya

Sub Kuch Luta Diya Tujh Pe Bharosa Kar Ke
Janey Kyun Bohat Roye Ham Aisa Kar Ke

Ye Bata Mere Be_Bassi Pe Mukurany Wala

Kya Mila Tujh Ko Mery Dukh Mein Ezzafa Kar Ke

Kya Tune Bhe Mujh Se Muhabat Ki The
Poch Zara Aaieney Mein Khud Ko Khara Kar Ke

Kash Tu Mery Dard Mein Hamdard Bana Hota
Par Tu Ne Mujy Chor Diya Tamasha Kar Ke..!!


Me Ne Daikhie Hein

Me Ne Daikhie Hein Chehra Shanas Aankhein
Kehein Be Parda Be Libaas Aankhein

Najaney Kyun Yahan Choor Gaya Hai
Mery Kamry Mein Mery Pass Aankhein

Najany Kyun Udaas Karti Hein
Mere Aankhon Ko Bhe Udaas Aankhein

Sajda Tu Jaizz Nehe Hai
Kitna Karti Hein Eltmaas Aankhein..!!

Friday, 17 January 2014

Aao Kisi Shab

Aao Kisi Shab Mujhey Toot Ke Bikharta Deaikho

Mere Ragon Mein Zehar Judai Ka Utarta Deaikho

Kis Kis Ada Se Tujhe Maanga Hai RAB Se

Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mein Sisakta Deaikho

Tere Talaash Mein Hum Ne Khud Ko Kho Diya Hai

Mat Aao Saamne Mgar Kahin Chup K Mujhe Tarapta Deaikho

Barey Shoq Se Mer Jaein Gey Hum Agar

Tum Saamne Baith Kr Saans Ka Tasalsul Toot'ta Deaikho..!!

Dukh De Kar Sawal Karty Ho

Dukh De Kar Sawal Karty Ho
Tum Bhe Jana Kamal Karty Ho

Dekh Kar Puch Liya Haal Mera
 Chalo Kuch Tu Khyaal Karty Ho

Shehar-e-Dil Mein Ye Udaasiyaan Kaisi
Ye Bhi Mujh Se Sawaal Karty Ho

Marna Chaahein To Mar Nehe Sakty
Tum Bhe Jeenaa Muhaal Karty Ho

Ab Kis Kis Ki Misaal Doon Tum Ko
Her Sitam Be-Misaal Karty Ho..!!

Mere Har Nazar Tere Muntazir

Mere Har Nazar Tere Muntazir
Tere Har Nazar Kisi Or Ki

Mere Zindagi Tere Bandagi

Tere Zindagi Kisi Or Ki
 
Kabi Waqat Jo Mily Tujhy
Zara Aa Ke Daikh Mery Haal Ko


Mere Har Ghari Tery Liye
Tere Har Ghari Kisi Or Ki

 
Mujy Sirf Tere Talab The
Par Janey Tu Mujke Ko Kyun Na Mila


Tu Ussy Mila Mery Sanam
Jissy The Talab Kisi Or Ki..!!


Abi Tu Ishq Mein Aisa Bhe Haal Hona Hai

Abi Tu Ishq Mein Aisa Bhe Haal Hona Hai
Ke Ashq Rokna Bhe Tumse Muhaal Hona Hai

Tumhein Khabar He Nehe Tum Tu Lout Jao Gai
Tumhary Hijar Mein Lamha Bhe Saal Hona Hai

Hamari Roh Pe Jab Bhe Azaab Utrein Gay
Tumhari Yaadon Ko Es Dil Ki Dhaal Hona Hai

Milein Ge Tumke Bhe Apny Naseeb Ki Khushian
Bass Intzaar Hai Ke Kab Ye Kamaal Hona Hai

Har Shakhas Chaly Ga Mery Naqsh_E_Qadam Par
Muhabbat Mein Hamein Wo Misaal Hona Hai

Mujh Ko Yaqeen Hai Wo Lout Aye Ga
Ussy Bhe Apny Kiye Ka Malaal Hona Hai

Urooj Par Hai Tumhara Mosam


Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Mein Tum Ko Khareed Lein Gay

Bano Gay Ham Se Rehamm Ke Talib
 Na Tum Ko Mohlat Mazeed Dein Gay

Adda Ke Qissay Huye Puraney
Jafa Ka Mosam Khatam He Samjhoo

Karein Gay Tum Se Hisaab Jana
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Dein Gay

Wafa Ki Lalach Mein Ham Ne Jana
Khoon Apna Jala Diya Hai

Faraib_O_Masti Ke Badlay Tum Ko
Saza Bhe Sun Lo Shadeed Deain Gay

Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Mein Tum Ko Khareed Lein Gay..!!

Beyaan Har Kisi Se

Beyaan Har Kisi Se Hijr_O_Wisaal Kartey Ho
Kyun Apna Es Shehar Mein Jeena Muhaal Kartey Ho

Bichar Ke Bhala Miley Hein Musafir Be
Kyun Apny Ap Ko Youn Nidhaal Kartey Ho

Suna Hai Wo Bhe Tumhein Pochta Hai Aisey He
Tum Uss Ke Barey Mein Jaisy Sawal Kartey Ho

Wo Aashnai Ussy Yaad He Na Ho Shayad
Wo Jis Ke Naam Pe Sabhe Mah_O_Saal Kartey Ho

Bohat Azeez Tha Wo Shayad Ess Liye
Bicharney Waly Ka Ab Tak Malaal Kartey Ho..!!

Aayat_E_Muhabat Ki

Aayat_E_Muhabat Ki Tilawat Nehe Kartey
Lagta Hai Yahan Log Muhabat Nehe Karty

Anjaam_E_Wafa Soch Ke Aagaz Karo
Chupkey Se Nikaney Ki Himaqat Nehe Kartey

Ye Qaid Seakha Daiti Hai Aadaab_E_Wafa
Pinjrey Mein Tu Parendey Bhe Shararat Nehe kartey

Wo Kon Hein Kis Wastey Es Darr Pe Parey Hein
Dewaney Kabhe Dasht Se Hijrat Nehe Kartey

Mitt Jatey Hein Dunia Se Wo Log
Jo Log Faqeeron Se Muhabat Nehe Kartey..!!

Wo Tum Na They Ek Khyal Tha

Wo Tum Na They Ek Khyal Tha
Mere Soch Ka He Kamaal Tha

Wo Muhabataein Wo Chahtein
Mere Uljanoo Ka Jaal Tha

Mery Dil Mein Theen Jo Roonkein
Wo Tera He Husan_O_Jamaal Tha

Jawab Jiska Mila Nehe
Wo Aisa He Ek Sawal Tha

Wo Ajj Mila Tu Youn Laga
Yehe Tu Hai Jiska Intzaar Tha

Ussy Yaad Kaisy Na Kary Koi
Ussy Bholna Tu Muhaal Tha

Ab Uski Kya Me Misaal Don
Wo Khud Bara BeMisaal Tha

Ussy Apny Rishton Ki Fiqar The

Ussy Apny Rishton Ki Fiqar The
Wo Je Mera Waqif_E_Haal Tha

Wo Jo Us Ki Shab_E_Arooj The
Wo Mera Waqat_E_Zawaal Tha

Mere Baat Kaisy Wo Manta
Mera Dard Kaisy Wo Janta

Wo Tu Khud Fanna Ke Safar Pe Tha
Ussy Rokna Tu Muhaal Tha

Kahan Jao Gey Mujhy Choor Kar
Me Ye Poch Poch Kar Thak Gaya

Wo Jawab Mujhko Na De Saka
Wo Tu Khud Sarapa_E_Sawal Tha

Wo Mila Tu Sadiyon Ke Baad Bhe
Merey Lab Pe Koi Gila Na Tha

Ussy Mere Chup Ne Rula Diya
Jissy Guftagu Mein Kamaal Tha..!!

Kabi Es Tarah Merey Hamsafar

Kabi Es Tarah Merey Hamsafar Sabhi Chahein Merey Naam Kar
Agar Ho Sakey Tu Kabi Merey Naam Bhe Koi Shaam Kar

Merey Dil Ke Saaye Mein Aa Zara
Mere Dharkanoo Mein Qayyam Kar

Ye Jo Lafzoon Ke Phool Hein
Terey Raastey Ki Dhool Hein

Kabhi Inn Se Sun Mere Daastaan
Kabhe Inn Se Tu Qalaam Kar..!!

Khafa Ke Mujy Pareshan Karta Hai

Khafa Ho Ke Mujy Pareshan Karta Hai
Ajab Shakhas Hai Khud Se Badguman Karta Hai

Na Mere Parwa Na Mery Haal Ki Kuch Khabar
Salook Wo Karney Laga Hai Jaisy Anjan Karta Hai

Pehly Tu Mujh Se Milna He Inaam Tha Jis Ke Liye
Ab Milta Hai Tu Ehsaan Karta hai

Tark_E_Taluk Karna Hai Tu Aa Kar Keh De Mujh Se
Kiyun Aisi Batein Ghaeron Se Bayan Karta Hai..!!

Wafa Ke Qaid Khano Mein

Wafa Ke Qaid Khano Mein Sazaein Kab Badalti Hein
Badalta Dil Ka Mosam Hai Hawaein Kab Badalti Hein

Libadah Orh Ke Gham Ka Nikal Jate Hein Sehra Mein
Jawab Aye Ke Na Aye Sadaein Kab Badalti Hein

Mere Sari Duaein Tum Se He Mansoob Hein Jana
Muhabat Ho Ager Sachi Duaein Kab Badalti Hein

Koi Pa Kar Nibhata Hai Koi Kho Kar Nibhata Hai
Nayee Andaz Hotey Hein Wafaein Kab Badalti Hein

Gunahon Ko Hamara Aik He MALIK Bakhsta Hai
Aata Us Ki Purani Hai Khataein Kab Badalti Hein..!!

Thursday, 16 January 2014

Ye Zara Zara Se Baat Par

Ye Zara Zara Se Baat Par Tarah Tarah Ke Azab Kyun
Jo Kisi Se Bhe Khafa Na Ho Mujhy Us Khuda Ki Talash Hai

Mujhe Laghzishon Pe Har Ghari Koi Tokta Hai Bar Bar
Jise Kar Ke Dil Ko Dukh Na Ho Mujhe Us Gunah Ki Talash Hai

Mein Dhondta Hon Wo Khizaan Jise Gulshanon Se Pyar Ho
Jise Kisi Charagh Se Na Bair Ho Mujhe Us Hawa Ki Talash Hai

Mujhe Us Nagar Ki Hai Justaju Jahan Koi Chahta Nehe Lahoo
Jahan Hiran Ko Sher Se Darr Na Ho Mujhe Us Jagah Ki Talash Hai

Yahan Ek Lamhe Ka Parraoo Mein Mery Sary Phool Jhulas Gaye
Ab Jahan Talkhion Ki Tapish Na Ho Mujhe Us Fizza Ki Talash Hai

Mujhy Daikh Kar Jo Ek Nazar Mery Sary Dard Samjh Sakey
Jo Es Qadar Ho Chara Gar Mujhe Us Nigah Ki Talash Hai..!!

Ajab Khwaab Ki Tabeer

Ajab Khwaab Ki Tabeer Usne Mange Hai
Mery Wajood Ki Zanjeer Usne Mange Hai

Us Ki Qaid Mein Rehta Hon Me Pehle Bhe
Najane Pher Kyun Zanjeer Usne Mange Hai

Gumaan Hota Hai Wo Bhool Sakta Hai Mujy
Kyun Ke Ajj Mere Tasweer Usne Mange Hai

Mery Khuda Mujhy Uske Naseeb Mein Likh De
Ke Mujhse Mere Taqdeer Usne Mange Hai..!!

Baton Baton Mein Bicharney Ka

Baton Baton Mein Bicharney Ka Ishara Kar Ke
Khud Be Roya Bohat Ham Se Kinara Kar Ke

Sochta Rehta Hon Tanhai Mein Anjam_E_Khaloos
Pher Ussi Jurm_E_Muhabat Ko Dobara Kar Ke

Daikh Laita Hon Chalo Hosla Apne Dil Ka
Aor Kuch Roz Tery Sath Guzara Kar Ke

Ek He Shehar Mein Rehna Magar Milna Nehe
Daikhtey Hein Ye Aziyat Bhe Gawara Kar Ke..!!

Har Roz Bhual Daitey Ho

Har Roz Bhula Daitey Ho
Kamal Kartey Ho

Hanstey Ko Rula Daitey Ho
Kamal Kartey Ho

Nehe Hai Muhabat Tu Saaf Keh Do
Kyun Umeed Barha Daitey Ho Kamal Kartey Ho

Ham Tumhein Bhulaney Lagtey Hein Jab Bhi
Aa Kar Pyar Jata Daitey Ho Kamal Kartey Ho

Jantey Bhi Ho Ke Aik He Diya Hai Mery Ghar Mein
Pher Bhi Hawa Daitey Ho Kamal Kartey Ho

Bholney Ka Jo Mujhy Har Kehtey Ho
Youn Yaad Dila Daitey Ho Kamal Kartey Ho

Khud He Kehtey Ho Ke Nasha Haram Hai
Or Jaan Thama Daitey Ho Kamal Kartey Ho..!!

Kabi Tum Lout Ke Ao

Kabi Tum Lout Ke Ao
Mujhe Bass Itna Samjhao

Kahan Se Seakh Li Tum Ne
Adaa Mujko Bhulane Ki

Tumhein Mujse Jo Shikwa Tha
Ya Koi Shikayat The

Zehmat Tu Zara Se The
Na Ki Koshish Bataney Ki

Bhala Youn Chor Kar Apna
Koi Apno Ko Jata Hai

Musalsal Dukh Ki Barish Mein
Jeewan Bhar Rulata Hai

Abi Tu Rait Geeli Hai
Abi Sab Naqash Baqi Hein

Gaye Qadmon Pe Lout Ao
Mujhe Bass Itna Samjhao

Kahan Se Seakh Li Tum Ne
Adda Mujke Bhulaney Ki..!!

Kab Kon Kisi Ka Hota Hai

Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Sab Jhotey Rishtey Naatey Hein

Sab Dil Rakhney Ki Batein Hein
Sab Asli Roop Chupatey Hein

Ikhlaaq Se Khali Log Yahan
Lafzoon Ke Teer Chalatey Hein

Ek Baar Nigahon Mein Aa Kar
Pher Sari Umer Rulatey Hein

Wo Jisney Diye Hein Ashq Hamein
Ab Us Ko Bhool Hi Jatey Hein..!!

Najane Dhondtey Ho Kya

Najnae Dhondtey Ho Kya Mere Wearan Ankhon Mein
Chupa Rakhey Hein Ham Ne Tu Kai Tufaan Ankhon Mein

Kahan Wo Shokhian Pehly Se
Aor Ab Kuch Bhe Nehe Baqi

Chaley Aye Ho Tum Kya Khojney Be_Jaan Aankhon Mein
Kisi Ka Hath Le Kar Hath Mein Tum Miley Ham Se
Tu Kaisy Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein

Na Samjho Chup Hein Ham Tu Us Se Koi Shikwa Nehe
Ham Apne Dard Ki Nehe Rakhtey Pehchan Ankhon Mein..!!

Samandar Pur Sakon Hai

Samandar Pur Sakoon Hai Par Kinarey Shor Kartey Hein
Mere Itraaf Bass Rangeen Nazarey Shor Kartey Hein

Aor Ab Ye Chandni Ratein Mujy Ache Nehe Lagti
Sakoon Se So Nehe Sakta Ke Tarey Shor Kartey Hein

Me Jab Khamosh Rehta Hon Tu Sab Khamosh Rehtey Hein
Ager Ek Lafz Be Bolon Tu Sary Shor Kartey Hein

Bohat Muddat Hui Jab Tum Merey Kuchey Se Guzrey Thay
Par Qadmon Ke Nishan Ab Tak Tumharey Shor Kartey Hein..!!

Sange_E_Mar Mar Se Tarasha

Sang_E_Mar Mar Se Tarasha Hua Ye Shokh Badan
Itna Dilkash Hai Ke Apnane Ko Ge Chahta Hai

Surkh Honton Mein Tharkti Hai Wo Rangeen Sharab
Jise Pe Kar Behak Jane Ko Ge Chahta Hai

Naram Seene Mein Dharktey Hein Wo Nazuk Tufaan
Jin Ki Lehroon Mein Utar Jane Ko Ge Chahta Hai

Tum Se Kya Rishta Hai Kab Se Hai Ye Maloom Nehe
Lekin Es Husan Par Mar Jane Ko Ge Chahta Hai

Rakh Lay Kal Ke Liye Ye Dosri Paazeab Dil
Kal Ki Bazam Mein Pher Aaney Ko Ge Chahta Hai

Be_Khabar Soye Hein Wo Lout Ke Neandein Mere
Jazba_E_Dil Pe Taras Khany Ko Ge Chahta Hai

Kab Se Khamosh Ho Ay Jane Jahan Kuch Tu Bolo
Kya Abhe Bhe Sitam Or Dhaney Ko Ge Chahta Hai

Choor Kar Tum Ko Kahan Chain Miley Ga Ham Ko
Daikh Kar Daikhtey Rehny Ko Ge Chahta Hai

Noor He Noor Jhalakta Hai Haseen Chahehery Se
Tum Ko Chu Kar Kasam Ye Khane Ko Ge Chahta Hai

Chand Chehra Hai Tera Or Nazar Hai Bijli
Ap Ke Kadmoon Mein Mitt Jane Ko Ge Chahta Hai..!!

Mizaaj Berham Khafa Sa Lehja

Mizaaj Berham Khafa Sa Lehja
Udas Chehra Naraz Aankhein

Waja Jo Poche Me Ne Us Sey

Jaan Mere Udas Kyun Ho

Kyun Ho Berhan Naraz Kyun Ho

Bhar Ke Uchli Aankhein Us Ki
Lerkhara Ke Galey Se Lag Kar

Mujh Se Boli Kahan Gaey They
Kyun Gaye They Mujy Batao

Tumharey Bin Jo Bebasi The
Elaaj Uska Bata Ke Jatey

Suraag apna Bataa Ke Jatey
Tumhein Pata Tha Tumharey Bin Me
Ek Pal Bhe Reh Ne Sakti

Chahye Bichrey Dunia Sari
Tere Judai Seh Ne Sakti

Tumhein Qasam Hai Ab Na Jana..!!
Mar Jaon Ge Tumharey Bin Me

Chalo Ab Mujh Se Wada Kar Lo
Kehen Bhe Jao Kabi Bhe Jao
Sath Mujhko Le Ke Jana..!!

Chehrey Pe Tery Jab Chand Ka Haala Daikha

Chehrey Pe Tery Jab Chand Ka Haala Daikha
Sham Ke Pehlo Mein Chamkta Hua Ujala Daikha

Wo Mera Jab Raat Ko Lout Kar Gher Aana
Apney Aangan Ko Tery Hussan Ka Rakhwala Daikha

Phool Kaliyon Ne Bhi Gulshan Mein Kiya Charcha Tere
Ham Na Har Mosam Ko Tery Roop Ka Matwala Daikha

Tery Aanchal Pe Fareshton Ne Namazein Jo Parheen
Ham Ne Aankhon Mein Tere Zam Zam Ka Piyaala Daikha..!!

Tasavor Mein Jab

Tasavur Mein Jab Tasweer_E_Yaar Hoti Hai
Zindagi Tab Khushguwaar Hoti Hai

Zindagi Zindagi Nehe Rehti
Muflise Ka Jab Shikaar Hoti Hai

Jigar Ke Tukrey They Kisi Ke Jo Jal Gaye
Zindagi Younhe Sharmsaar Hoti Hai

Heavaniat Panapti Rehi Dorti Car Mein
Zindagi Tab Laachaar Hoti Hai

Soch Samajh Kar Zindagi Kharach Ki Ham Ne
Kuch Na Hath Laga Ye Negavaar Hoti Hai

Aadmi Aadmi Nehe Rehta
Zindagi Jab Dagdaar Hoti Hai

Kuch Na De Dekhai Dolat Ke Siwa
Zindagi Tab Beemaar Hoti Hai..!!

Wednesday, 15 January 2014

Kahan Hotey Ho

Hijar Mein Khoon Rulatey Ho Kahan Hotey Ho
Lout Kar Kyun Nehe Aatey Ho Kahan Hotey Ho

Ham Sey Bichrey Ho Tu Mehboobe_E_Nazar Ho Kis Ke
Aaj Kal Kis Ko Manatey Ho Kahan Hotey Ho


Yaad Aati Hein akeiley Mein Tumhari Neandein
Kis Tarah Khud Ko Sulatey Ho Kahan Hotey Ho

Ham Tu Bichrey They Khushion Ki Rafaqat Ke Liye
Ab Kyun Ashq Bahatey Ho Kahan Hotey Ho

Shehar Ke Logon Se Ab Kartey Hein Yehe Sawal
 
Tum Bohat Kam Nazar Aatey Ho Kahan Hotey Ho..!!


Bicharna Hai Tu Khushi Se Bichroo

Bicharna Hai Tu Khushi Sey Bichroo

Sawal Kaisey Jawab Choro

Kisey Mile Hein Jahan Ki Khushian

Miley Hein Kis Ko Azaab Choro

Neye Safar Pe Jo Chal Parey Ho

Mujhy Khabar Hai Ke Khush Barey Ho

Hai Kon Ujraa Tumharey Peachy

Ya Kis Ke Tootey Hein Khawab Choro

Muhabaton Ke Tammam Wadey

Nibhaye Kis Ne Bhulaye Kis Ne

Tumhein Pareshani Ho Ge Sahib


Jo Mere Manoo Hisaab Choroo..!!

Suno Logo Mere Aankhein Khareedo Gey

Suno logo

Mere Ankhein Khareedo Gay Bohat Majobor Halat Mein


Mujhey Nelaam Karni Hein Koi Mujsey Naqad Le Ley


Me Thorey Daam Kar Don Ga Jo Pehle Boli De Dy Ga


Usi Ke Naam Kar Don Ga

Mujhy Bazar Waley Keh Rehy Hein Kam Aqal Tajir

Ary Sunsan Logon Mein Nehe Hun Hirz Ka Khawhaan

Nafa Nuqsaan Ki Shatranj Nehe Me Khealney Ayaa

Koi Mujsey Kehy Na Manchala Sa Be Hunar Tajir

Bataa Paon Tumhen Kaisey Kis Tashvesh Mein Rakhon

Suno Logo

Bari Mehboob Tar Hein Mujhko Ko Mere Neem Tar Aankhein

Magar Ab Baichta Hon Ke Mujhy Ek Khwab Ka Tawan Bharna Hai

Inheen Neelam Karna Hai

Suno Logo

Mere Aankhein Khareedo Gey Bohat Majboor Halat Mein


Mujhey Neelam Karni Hein..!!

Tum Pyar Karo Gey Kitney Mein

Har Shey Ka Soda Hota Hai
Har Cheez Bikaoo Hoti Hai

Har Fard Yahan Par Tajir Hai

Har Waqat Tijarat Hoti Hai

Tum Ap He Apna Daaam Kaho

Chup Kar Nehe Sar_E_Aam Kaho

Kya Lo Gey Apna Yari Ka?

Kya Lo Gey Tum Dil Dari Ka?

Gham Khaar Bago Gey Kitney Mein?

Tum Pyar Karo Gey Kitney Mein?
Sab Jazbay Mery Naam Karo

Hum Naam Tum Apna Daam Kaho

Par Daam Chukaney Ki Khatir

Ham Apna Daftar Kholein Tu

Hum Apni Jaib Tatolein Tu

Bass Pyar Mily Ga Thora Sa

Izhaar  Mily Ga Thora Sa

Ye Sikkey Yahan Kab Chaltey Hein

Kya Udhaar Mily Ga Thora Se

Ye Dunia Be Eatbaari Ki Ye Arz Hai Har Beyopari Ki

Chal Choor Tammana Jazbon Ki

Hum Khali Hath He Aye They

Chal Khali Hath He Chaltey Hein..!!

Bohat Muddat Sey Aisa Hai

Bohat Mudday Sey Aisa Hai

Ke Tum Khamosh Rehty Ho

Koi Gehra Gham Hai Shyed

Jisey Chup Chap Sehtey Ho

Younhe Chaltey Huye Akser

Koi Ghamgeen Sa Naghma

Tum Aker Gungunatey Ho

Doran_E_Guftagu Younhe

Milein Nazron Sey Jab Nazrein

Tu Batein Bhool Jatey Ho

Kisi Gum Sum Se Halat Mein

Ye Pher Barish Ke Mosam Mein

Faqat Itna He Kehtey Ho

Udasi Be Waja Se hai

Bohat Bojhal Tabeyat Hai

Bhala Sach Kyun Nehe Kehtey Tumhein Uss Sey Muhabat Hai..!!

Tum Khafaa Kyun Ho

Tumhein Mujh Sey Gila Kya Hai
Achanak Be_Rukhe Itni
Batao Tu Hua Kya Hai

Manaon Kis Tarah Tumk
Mujy Itna Tu Batlaa Do
Ager Ab Ho Saky Tum Sey
Tu Ye Ehsaan Farma Do

Mere Manzil Muhabat Hai
Mujy Manzil Pey Pohancha Do

Tumhari Aankh Mein Aansoo
Mujy Achy Nehe Lagtey
Tumharey Nerm Honton Par
Giley Achy Nehe Lagtey
Tumhary Muskuraney Sey
Mera Dil Mukurata Hai
Tumharey Routh Janey Sey
Mera Dil Toot Jata Hai..!!

Koi Baat Karo Janaa

Chup Chaap Bohat Ho Tum
Koi Baat Karo Janaa

Mehroom_E_Wafaa Hon Me
Tery Dar Pey Khara Hon Me

Khearat Karo Jana
Koi Baat Karo jana

Door Ho Ye Tanhai
Mery Khwaab Mein Ajaoo
Itna Tu Karo Jana
Koi Baat Karo Jana

Ye Hijar Ki Kali Raat
Mujy De Na Jaye Maat

Esy Sehar Karo Jana
Koi Baat Karo Jana

Dukh Sukh Ka Sathi Hon
Mery Sath Chalo Jana
Koi Baat Karo Jana

Me Kaisa Dewaana Hon 
Tere Tasweer Se Kehta Hon

Chup Chap Bohat Ho Tum
Koi Baat karo Jana..!!

Palkein Zara Utha Kar Ek Bar

Palkein Zara Uthaa Kar Ek Bar Daikhiye
Thora Sa Muskura Kar Ek Bar Daikhye

Aaye Mah Tab_E_Hussan Andheara Hai Chaar Soo
Rukh Sey Niqaab Hatta Kar Ek Baar Daikhiye

Chupney Laga Hai Chand Ghataon Ki Oat Mein
Zulfein Zara Hatta Kar Ek Baar Daikhiye

Bajney Lagey Ge Jaltarang Es Kainaat Mein
Koi Geet Gunguna Kar Ek Baar Daikhiye

De Dein Gey Jaan Ap Ke Qadmoon Mein Ham Hazoor
Sham_E_Wafa Jalaa Kar Ek Bar Daikhiye
 
Mere Tarah Ap Bhe Tarsein Gey Neand Ko
Ye Dil Kehein Laga Kar Ek Baar Daikhiye

Kyun Dar Badarr Hein Ap Wafa Ki Talash Mein
Apna Hamein Bana Kar Ek Baar Daikhiye


Ess Pur Farein Dour Ka Shikwa Bajaa Mager
Hamein Ek Bar Aazmaa Ke Daikhiye

Muhabbaton Mein Har Ek Lamha

Mahabbaton Me Har Ek Lamha Wisaal Hoga Ye Teh Hua Tha,
Bichar Ke Bhe Ek Dosry Ka Khyaal Hoga Ye Teh Hua Tha

Ye Kya Ke Saansein Ukhar Gai Hein Safar Ke Aagaz Se He
Koi Bhe Thak Kar Na Rasty Mein Nidhaal Hoga Ye Teh Hua Tha

Wohi Hua Na Badalty Mosmon Me Tumny Hamko Bhula Diya
Koi Bhe Rutt Ka Na Chahton Ka Zawaal Ho Ga Ye Teh Hua Tha

Juda Huye Hein Tu Pher Kya Hua Hai Ye Tu Dastor_E_Zindagi Hai
Judaiyon Mein Na Qurbatoon Ka Mallal Ho Ga Ye Teh Hua Tha

Ao Kasthiyon Ko Jalaa Dein Gumnaam Sahilon Par
Ke Ab Yahan Sy Na Wapsi Ka Sawal Hoga Ye Teh Hua Tha..!!

Jamaal_E_Yaar Ko Daikhon Kamaal_E_Yaar Se Pehley

Jamaal-e-Yaar Ko Dekhoon Kamaal-e-Yaar Se Pehle
Me Khushoo Ki Tarah Mehkoon Khayaal-e-Yaar Se Pehley

Karishmen Hussan K Sooraj Siatary Phool Zahir Hain
Magar Me Kis Taraf Dekhoon Misaal-e-Yaar Se Pehley

Duaaon Me Meri Youn To Bahut Taseer Hai Lekin
Khuda Se Aur Kiya Mangoon Sawaal-e-Yaar Se Pehley

Hai Aadat Door Rehne Ki Agar Wo Saamney Aaye
Main Shaam-e-Zindagi Chaahoon Wisaal-e-Yaar Se Pehley..!!


Bohat Farsooda Lagtey Hein

Bohat Farooda Lagtey Hein Mujy Ab Yaar Ke Qissey
Gul_O_Gulzaar Ki Batein Lab_O_Rukhsaar Ke Qissey

Yahan Sab Ke Muqaddar Mein Faqat Zakhm_E_Judaai Hai
Sabhe Jhooty Fasany Hein Wisaal_E_Yaar Ke Qissey

Bhala Ishq_O_Muhabbat Se Kisi Ka Pait Bharta Hai
Suno Tum Ko Sunata Hon Me Karobaar Ke Qissey

Mery Ahbaab Kehty Hein Yehe Ek Aeib Hai Mujh Me
Sar_E_Dewaar Likhta Hon Pas_E_Dewaar Ke Qissey

Me Akser Es Liye Logon Se Khud Nehe Milta
Wohi Be_Kaar Ki Batein Wohi Be_Kaar Ke Qissey...!!


Sadma Tu Hai Mujy Be

Sadma Tu Hai Mujy Be Ke Tujse Juda Hon Me
Lakin Ye Sochta Hon Ke Ab Kya Tera Hon Me

Bikhra Para Hai Mery He Gher Mein Tera Wajood
Be_Kaar Mehfilon Mein Tujy Dhondta Hon Me

Me Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hon Eatraaf
Apny Badan Ki Qabar Mein Kab Se Para Hon Me

Kis Kis Ka Name Lon Me Zubaaz Par Ke Tery Sath
Har Roz Neya Shakhs Daikhta Hon Me

Na Jany Kis Adaa Se Tu Ne Liya Mera Naam
Dunia Samh Rehe Hai Sab Kuch Tera Hon Me

Pohancha Jo Tery Darr Pe Tu Mehsoos Ye Hua
Lambi Se Eik Qataar Mein Jaise Khara Hon Me

Ley Mery Tajarbon Se Sabaq Aay Mery Raqeeb
Do Chaar Saal Umer Mein Tujse Baraa Hon Me

Jagaa Hua Zameer Hai Wo Aaina Qateel
Soney Se Pehly Roz Jisy Daikhta Hon Me..!!

Qissa Abi Hijaab Se Aagy Nehe Barha

Qissa Abi Hijaab Se Aagy Nehe Barha
Me Ap Wo Janab Se Aagy Nehe Barha

Muddat Hui Kitab_E_Muhabat Shuru Kiye
Lakin Me Pehly Baab Se Aagy Nehe Barha

Lambi Musaftein Hein Mager Es Sawaar Ka
Paoon Abi Rakaab Se Aagy Nehe Barha

Logon Ne Sang_O_Kishat Ke Qilay Bana Liye
Apna Mehal Tu Khwaab Se Aagy Nehe Barha

Tol_E_Qalaam Ke Liye Me Ne Kiya Sawaal
Lakin Wo Mukhtasir Jawab Se Aagy Nehe Barha

Wo Tere Chaal Dhaal Ke Bary Mein Kya Kehy
Jo Apny Ehtisaab Se Aagy Nehe Barha

Rukhsaar Ka Pata Nehe Aankhein Tu Khoob Hein
Deedar Abi Niqaab Se Aagy Nehe Barha

Wo Lazzar_E_Gunah Se Mehroom He Raha
Jo Khahish_E_Sawaab Se Aagy Nehe Barha..!!

Husan Ki Jheel Ho Tum

Hussan Ki Jheel Ho Tum Or Kinary Hein Ye Hont
Sach Pocho Tu Mujy Jaan Se Pyary Hein Ye Hont

Me Ne Har Baar Muhabbat Se Inhen Chooma Hai
Usny Har Baar Muhabbat Se ubhary Hein Ye Hont

Hath Honton Pe Mery Rakh Kar Mujy Kehny Lagi
Rokiye Inhein Bohat Shoq Ke Mary Hein Ye Hont

Band Hoty Hein Ye Inkaar Ki Sorat Mein Magar
Adh Khuly Hon Tu Muhabbat Ka Eshary Hein Ye Hont

Ajj Khud Mujy Apny Muqaddar Pe Rashq Aaya
Ajj Honton Mein Mery Usny Utaray Hein Ye Hont

Choom Kar Mery Hont Usny Kaha Tha Ye Qateel
Bass Tumhary Hein Tumhary Hein Tumhary Hein Ye Hont..!!

Tumhary Qafily Ka Har Ghari

Tumhary Kafily Ka Har Ghari Manzar Badalta Hai
Kabhi Rahzan Badalta Hai
Kabhe Rehbar Badalta Hai

Libas_E_Fakhira Ki Aarzo Tu Sab Ko Hai Lakin
Kahan Malboos Ka Andar Koi Paikar Badalta Hai

Tum Ek Insan Ke Badly Huye Tewar Se Hearan Ho
Ye Wo Mosam Hai Ke Panche Bhe Apny Par Badalta hai

Chattano Se Usay Me Ne Muhabbat Say Tarasha Hai
Bass Ab Ye Daikhna Hai Rang Kab Pathar Badalta Hai

Usay Tu Shoq Hai Har Dil Mein Youn Ja Kar Theharny Ka
Wo Kuch He Rooz Mein Ukta Ke Apna Gher Badalta Hai

Ager Malik Ke Darr Sy Janwar Jata Nehe Tu Pher
Ye Insan Kaisa Insan Hai Jo Itny Darr Badalta Hai..!!

Ye Mast Mast Be Misaal Aankhein

Ye Mast Mast Be_E_Misaal Ankhein
Nashy Se Har Damm Nidhaal Aankhein

Uthein Tu Hosh_O_Hawas Chenein
Gerein Tu Kar Dein Kamal Aankhein

Koi Hai In Ke Karam Ka Talib
Kisi Ka Shoq_E_Wisaal Aankhein

Na Youn Sataein Na Youn Jalaein
Karein Tu Kuch Ye Khyaal Aankhein

Hein Jeeny Ka Bahana Yaroo
Ye Roh Parwar Jamaal Aankhein

Daraz Palkein Ghazal Aankhein
Musawari Ka Kamaal Aankhein

Sharab Rab Ne Haram Kar De
Mager Hein Rakhein Halal Aankhein

Hazaron In Se Qatal Huye Hein
Khuda Ke Banday Sambhal Aankhein..!!

Ye Jo Deewany Se Do Chaar

Ye Jo Deewany Se Do Chaar Nazar Aaty Hein
In Mein Kuch Sahib_E_Asrar Nazar Aaty Hein

Tere Mahfil Ka Bharam Rakhty Hein So Jaty Hein
Warna Ye Log Tu Be_Daar Nazar Aaty Hein

Door Tak Na Koi Sitara Hai Na Jugnu
Marg_E_Umeed Ke Aasaar Nazar Aaty Hein

Mery Daman Mein Kanton  Ke Siwa Kuch Be Nehe
Ap Pholon Ke Khareedar Nazar Aaty Hein

Kal Jisy Choo Nehe Sakti The Farishton Ki Nazar
Ajj Wo Ronq_E_Baazar Nazar Aaty Hein

Hashar Mein Kon Gawahi Mere De Ga
Sab Tumhary He Tarafdaar Nazar Aaty Hein....!!


Sad Poetry,Romantic Poetry,Funny Poetry,Latest Ghazal,Parveen Shakir,Ahmad Faraz,Wasi Shah,Urdu Ghazals,

Follow Me